Zikr ki Fazilat Quran me
Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai:
-
Isliye tum mera zikr karo main bhi tumhe yaad karunga, meri Shukr Guzari karo aur Nashukri se bacho.❞ [Al-Baqra:2:152]
-
Aye emaan waalo! Allah Ta’ala ka bahut ziyada zikr karo. [Al-Ahzaab: 22:41]
-
Aur Allah Ta’ala ko ziyada yaad karne wale mard aur bahut ziyada yaad karne wali aurtain, Allah Ta’ala ne un ke liye maghfirat aur ajr-e-azeem tayyaar kar rakkha hai. [Al-Ahzaab 22:35]
-
Aye insaan! Apne Rab ko apne dil mein aajzi aur khauf ke saath aur buland aawaaz ki nisbat past (dhimi) aawaaz ke sath subh-o-shaam yaad kar aur ghaafilon mein se na ho jana. [AI-A’raaf 7:205]
Zikr ki Fazilat Aahadees ki roshni me
۞ Hadees: “Us shakhs ki misaal jo apne Rab ko yaad karta hai aur us shakhs ki misaal jo apne Rab ko yaad nahin karta, zinda aur murda ki tarah hai.”
📕 Bukhari: 6407, Sahih Muslim:779
۞ Hadees: Aap (ﷺ)ne farmaya: “kya main tumhen tumhare aamaal mein se behtareen (amal) ke baare mein na bataoun, jo tumhare maalik ke nazdeek pakeezah tareen, tumhare darjaat me buland tareen, tumhare liye sona chandi kharch karne se achchha aur tumhare liye iss baat se bhi behtar ki tum apne dushman se aamna saamna karo to tum un logon ki gardanein maaro aur woh tumhaari gardanein maar le. Sahaaba (R.A) ne kaha: “Kyun nahin!” Aap (ﷺ) ne farmaya “Allah Ta’ala ka zikr.
📕 Tirmizi : 2377, Ibne Majah: 7390
۞ Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaya: Allah Ta’ala farmata hain: “Main apne baare mein apne bande ke gumaan ke mutaabiq hoon, jab woh mujhe yaad karta hai tou main us ke saath hota hoon. agar woh mujhe apne dil mein yaad karta hai tou main use apne dil mein yaad karta hoon, agar mujhe kisi jama’at mein yaad karta hai tou main usey us’se behtareen jama’at me yaad karta hoon, agar woh baalisht bhar mere qareeb aaye tou main ek haath uske qareeb aata hoon. agar woh ek haath (ke faasle baraabar) mere qareeb aaye tou main do haath (phailane ke faasle ke baraabar) uske qareeb aata hun, agar woh chlata huwa mere paas aaye tou main daudta huwa uske paas aata hoon.
📕 Sahih Bukhari: 7405, Sahih Muslim: 2675
۞ Hadees: Abdullah bin Busr se marvi hai ke ek aadmi ne kahaa: “Aye Allah ke Rasool(ﷺ)! mujh par islaam ke ahkamaat bahut ziyaadah ho chuke hain, Aap mujhe kisi aise amal ke baare mein bataiye jis par main mazbooti se (mustaqil mizaaji ke saath) amal kar sakun. Aap(ﷺ) ne farmaaya: “tumhaari zabaan hamesha Allah ke zikr se tar rahe.
📕 Sunan Tirmizi:3375, Ibne Majah:3793
۞ Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaaya:
“Jis shakhs ne kitabullah se ek harf padha, uske liye uske badle mein ek neki hai, aur ek apne jaise dus nekiyon ke baraabar hai (ya’ni dus guna ajar milega) Main nahin kahta ki Alif ek harf hai lekin alif ek harf hai laam ek harf hai aur meem ek harf hai.
۞ Hadees: Uqbah bin Aamir (R.A) se marvi hai unhon ne kaha ki hum safar mein the, Rasool (ﷺ) baahar aaye aur farmaya:
“tum mein se kaun hai jise pasand ho ki woh bathaan ya Aqeeq (do wadiyon ke naam) ki taraf savere jaye aur bade bade kuhaanon wali do ountniyan baghair gunah kiye aur baghair qata’ rahmi ke liye aaye. hum ne kaha aye Allah ke Rasool (ﷺ)! hum sab yeh baat pasand karte hain. Aap (ﷺ) ne farmaya: “kya tum mein se koyi shakhs aisa nahin jo subah savere masjid ki taraf aaye aur Allah azzawajal ki kitab ki do aayaat seekhe ya padhe yeh uske liye do ountniyon se behtar hai aur teen aayaat teen ountniyon se behtar hain aur chaar aayaat chaar ountniyon se behtar hain,aur jitni hi aayaat hongi utni hi ountniyon se behtar hain.
۞ Hadees: Jo shakhs kisi jagah baithha aur wahan usne Allah ka zikr nahin kiya to woh jagah Allah ki taraf se uske liye ba’yise nuqsaan (ghabrahat wa parishani) hogi aur jo shakhs kisi jagah leta jahan usne Allah ka zikr nahin kiya to woh jagah us ke liye Allah ki taraf se uske liye ba’yise nuqsaanfghabrahat wa parishani) hogi.
۞ Hadees: Jo qaum kisi aisi majlis se uthhti hai jis men unhon ne Allah ka zikr nahin kiya hota to gadhe ki sadi huyi laash jaisi cheez se uthhti hai aur yeh majlis unke liye ba’yise hasrat hogi.
📕 Sahih Abu Dawood:4855, Musnad Ahmed: 2/224
[post-content id=”20074″]