Subah aur Shaam ke ZikrAzkar | Morning & Evening Prayers

Table of Contents

1.〘 أصبحنا على فطرة الإسلام وعلى كلمة الإخلاص وعلى دين نبينا محمد وعلى ملة أبينا إبراهيم حنيفاً مسلماً وما كان من المشركين

[ Asbahna ‘ala fitrat-il-Islam wa ‘ala kalimat-il-ikhlaas wa ‘ala deeni nabiyyina Muhammad, sallalahu ‘alayhi wa sallam, wa ‘ala millati abeena Ibraheem haneefan musliman wamaa kaana minal-mushrikeen. ]

Tarjuma › Hum ne subah ki (hum ne shaam kiya) fitrat-e-Islaam, kalimah ikhlaas, apne Nabi (ﷺ) ke deen aur apne waalid Ibraheem ki millat par jo ke yaksoo Musalmaan the aur Mushrikeen se nahin they.

📕 Ahmad 15367, Sahih Al Jame 4674


2.〘 اللهم بِكَ أصْبَحْنَا،وَبِكَ أمْسَيْنَا،وَبِكَ نَحْيَا،وَبِكَ نَمُوْتُ وَإلَيْكَ النُّشُوْرُ

[ Allaaltumma bika Asbahnaa wa bika amsaynaa, wa bika nahyaa, wa bika itamootu wa ilavkan-nnshoor ]

Tarjuma › Aye Allah! hum ne tere naam ke saath subah ki, tere naam ke saath shaam ki, tere naam ke saath hum zindah hain aur tere naam ke saath hum marte hain aur teri taraf hi laut kar jaana hai.

📕 Sunan Abu Dawood 5028,
📕 Sunan Tirmizi 3391, Sunan ibne Majah:3828


3.〘 يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغيثُ أَصْلِحْ لِي شَأْنِيَ كُلَّهُ وَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ

[ Ya Hayyu yaa Qayyoom, Birahmatika astagheeth, aslih lee sha’nee kullahu, wala takilnee ila nafsee tarfata AAayn ]

Tarjuma › Aye humesha Zindah rahne waale, Aye qaayem rakhne waale, teri rahmat ke saath hi main madad maangta hoon, meri mukammil haalat durust farma de, mujhe lahza bhar bhi mere nafs ke supurd na kar.

हिंदी तर्जुमा › ऐ जिन्दा रहने वाले! ऐ क़ायम रहने वाले! मैं तेरी ही रह़मत से फरयाद करता हूं, तू मेरे तमाम काम दुरुस्त कर दे और आंख झपकने के बरार भी मुझे मेरे नफ़्स के ह़वाले न कर।

📕 Haakim 1/545


4.〘 اللّٰهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لَا إِلٰهَ إِلَّا أَنْتَ، خَلَقْتَنِيْ وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوْذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِيْ، فَاغْفِرْ لِيْ، فَإِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الذُّنُوْبَ إِلَّاأَنْتَ۔

[ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana ‘Abduka, wa ana ‘ala ‘ahdika wa wa‘dika mastata‘tu, a‘udhu bika min sharri ma sana‘tu, abu-u laka bini‘matika ‘alaiya, wa abu-u laka bidhanbi faghfirli, fa-innahu la yaghfirudhunuba illa anta. ]

Tarjuma › Aye Allah! tu mera Rab hai tere elaawah koi sachcha mabood nahin tuney mujhe paida kiya hai, main tera bandah hoon aur tere ahad aur tere wa’de par qaayem hoon, jitni mujh me taaqat hai, jo (khata gunaah) maine kiya uske sharr se teri panaah me aata hoon, main tere liye apne upar teri neymat ka iqraar karta hoon, aur apne gunaah ka bhi iqraar karta hoon, mujhe bakhsh de kyun ke gunaahon ko tere elaawah koi nahin bakhsh sakta.

۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “jis shakhs ne emaan wa yaqeen ke saath yeh kalimaat kahe aur raat ko faut ho gaya woh jannat mein daakhil hoga. isi tarah woh shakhs bhi jisne subah ke waqt yeh kalimaat kahe.

📕 Sahih Bukhari: 6306

5.〘 Allaahumma ‘Aalhnal-ghaybi wash Shahaadati faatiras-samaawaati wal’ardhi, Rabba kulli shay’in wa maleekaliu, ‘ash-hadu ‘al laa ilaalta illaa ’Anta, a’oozu bika min sharri nafsee, wa min sharrish-shaytaani wa shirkihi, wa ‘an aqtarifa ‘alaa nafsee soo’an, ‘aw ‘ajurrahtt ilaa Musliminfi

Tarjuma › Aye Allah! Aye ghaib wa haazir ko jaanne waale, Aye aasmaanon aur zameen ko naye sire se banane waale, Aye har cheez ke Rab aur Maalik, main gawaahi deta hoon ke tere elaawah koi sachcha mabood nahin, main apne nafs ke sharr, shaitaan ke sharr aur us ke shirk se teri panaah mein aata hoon, aur is baat se teri panah me aata hoon ke main apne nafs par buraayi ka irtekaab karoon ya kisi musalmaan ki taraf usey kheench kar laaoun.

📕 Sunan Tirmizi: 3392
📕 Sunan Abu Dawood:5067


6.〘 Allahumma inni as’alukal-‘afwa wal-‘afiyah fid-dunya wal-akhirah. Allahumma inni as’alukal-‘afwa wal-‘afiyah fi dini wa dunyaya wa ahli wa mali. Allahum-mastur ‘awrati, wa amin raw’ati wahfazni min bayni yadayya, wa min khalfi, wa ‘an yamini wa ‘an shimali, wa min fawqi, wa ‘audhu bika an ughtala min tahti

Tarjuma › Aye Allah! main tujh se duniya wa aakhirat me darguzar aur aafiyat ka sawaal karta hoon, aye Allah! main tujh se apne deen, apni dunya, apne ahal aur apne maal mein darguzar aur aafiyat ka sawaal karta hoon, aye Allah! mere posheedah umoor par pardah daal, aur meri ghabrahaton me mujhe aman de, aye Allah! mere saamne se, mere peeche se, mere daayen se, mere baayen se, mere upar se meri hifaazat farma, aur main teri azmat ke saath panaah mein aata hoon ke main apne neeche se achaanak halaak kar diya jaaoun.

📕 Sunan Abu Dawood: 5074,
📕 Sunan Ibne Majah 3871,
📕 Sunan Nasai: 5531


7.〘 Bismillahil-ladhi la yadurru ma’a ismihi shay’un fil-ardi wa la fis-sama’i wa Huwas-Sami’ul-‘Alim

Tarjuma › Allah! ke naam ke saath jis ke naam ke saath na zameen mein aur na hi aasmaan mein koyi cheez nuqsaan de sakti hai, aur woh sunne waala, jaanne waala hai.

📕 Sahih, Sunan Abu Dawood :5088,
📕 Sunan Tirmizi:3388, Sunan Ibne Majah: 3869

Fazilat › Jis shakhs ne subah shaam teen martabah yeh kalimaat kahe usey koi cheez nuqsaan nahin de sakti.


8.〘 Aoozu bikalimaatil-laahit- taammdti min sham maa khalaqa

Tarjuma › Main Allah ta’ala ke kaami! kalimaat ke saath har  us makhiooq ke shar se jo usne paida ki (Allah ki) panaah mein aata hoon. (3 Martabah)

📕 Sahih Muslim:2709, Sunan An-Nasai:591

Fazilat › Jis shaks ne shaam ko 3 martabah yeh kalimaat kahe use us mat koi zahriia jaanwar nuqsan nahin pohuncha sakega.


9.〘 Allaahuntma ‘aafinee fee b’adanee, Allaahumma ‘aafinee fee sam’ee, Allaahumma ‘aafinee fee basaree, laa  ilaaha illaa Ant a. Allaahumma innee a’oozu bika minal-kufvi, walfaqri, wa a ‘oozubika min azaabil-qabri, laa ’ilaaha illaa Anta.

Tarjuma › Aye Allah! mujhe mere badan mein aafiyat de, Aye Allah! mujhe meri sama’at mein aafiyat de, Aye Allah! mujhe meri basaarat mein aafiyat de, tere elaawah koi sachca ma’bood nahin, aye Allah! main kufr aur mohtaaji se teri panaah me aata hoon aur main qabr ke azaab se teri panaah mein aata hoon, tere elaawah koi sachcha mabood nahin.

📕 Sunan Abu Dawood: 5090,
📕 Musnad Ahmed 5/42, Al Adabul Mufrad:701


10.〘 Subhaanallaahi wa bihamdihi ‘Adada khalqihi, wa ridhaa nafsihi, wa zinata ‘arshihi wa midaada kalimaatihi.

Tarjuma › Allah Ta’ala paak hai apni tareef ke saath, apni makhlooq ki tadaad ke barabar, apne nafs ki khushnoodi ke barabar, apne arsh ke wazan ke barabar aur apne kalimaat ki siyaahi ke barabar.

📕 Sahih Muslim, Kitab Al-Dhikr Wa Dua: 6914

11.〘 Astaghfirullaaha wa atoobu ilayhi

Tarjuma › Main Allah se bakhshish maangta hoon aur usi ki taraf taubah karta hoon.(1oo Martabah)

📕 Sahih Bukhari:6307,
📕 Sahih Muslim, Kitab Al-Dhikr Wa Dua: 2702

Walafzhu Lil Sahih Bukhari mein 70 martaba kanhne ka ‘zikr hai.


۞ Dua list ۞

Wazu se pahle aur baad ke azkaar


Namaz ki Duaien

  • Dua-e-lstaftaah
  • Qunoot-e-witr ki duayein
  • Namaaz-e-witr se salaam pherne ke baad azkaar
  • Qunoot-e-Naazilah
  • Suratul Faatiha
  • Ruku1 ki duayein
  • Ruku1 se uthhne ki dua
  • Ruku1 ke baad qiyaam ke azkaar
  • Sajdah ki Fazeelat
  • Sajde ki duayein
  • Jalsaye istarahat (do sajdon ke darmiyaan) ki duayen
  • Tashahhud
  • Nabi kareem par darood padhna
  • Durood Shareef padhne ki fazeelat
  • Salaam pherne se pahle Aakhir Tashahud ke baad ki Dua
  • Salaam pherne ke baad ke Azkaar
  • Fajr aur Maghrib ki namaaz ke baad ki duayein


  • Shaam ke Azkaar
  • Sote waqt ke Azkaar
  • Raat pahlu badalte waqt ki dua
  • Bura khwab dekhne wala kya kahe?


Khane peene ke waqt ki Duayein

  • Khana khate waqt ki dua
  • Khana khane se faarigh hone ki duayein
  • Khaaa khilaane wale ke liye dua
  • Jo shakhs kuchh khilaye pilaye uske liye dua


Safar ki duayein


Masaayib-o-Mushkilaat se Najaat Paane ke Azkaar

  • Namaze-lstekharah
  • Jise Museebat pahunche uski dua
  • Jis par koi mushkil aan pade uske liye dua
  • Kasrat-e-Durood ki Barkat-o-taaseer
  • Shaitani yalghar se bachne ke Azkaar
  • Qalbi wasawis ke tod ki dua
  • Dushman se bachao aur Dauran-e-Jung ke Azkar
  • Dushman ke liye bad dua
  • Dushman par ghalbah pane bughz-o-keenah se bachne ki dua


Qarz ke talluk se Dua



Munasibat par Masnoon duayein


Mutafarriq Duayein


Qur’ani duayein

  • Aadam (A.S) ki dua
  • Ibraheem (A.S.) ki duayein
  • Sulaimaan (A.S.) ka Izhaar-e-Tashakkur
  • Yunus (A.S.) ki dua
  • Ayyub (A.S.) ki dua
  • Yaqoob (A.S.) ki dua
  • Yusuf (A.S.) ki dua
  • Moosa (A.S.) ki dua
  • Ashab-e-kahf ki dua
  • Nabi Kareem(ﷺ) ki Zubaan-e-aqdas par kasrat se rahne wali dua
  • Surah Baqrah ki aakhri ayat ki duayein
  • Eman par sabit qadam rahne ki dua
  • Ibaadur Rehmaan ki duayein
  • Guzishta Musalmano ke liye momineen ki dua
  • Ahl-e-Taqwa ki dua
  • Ahl-e-Emaan ki dua
  • Istaghfaar ki fazeelat

Rate this post

1 thought on “Subah aur Shaam ke ZikrAzkar | Morning & Evening Prayers”

Leave a Reply

Related Posts: