Safar ki deegar Dua’yein – सफर की दुआएं

1. Sawari par Sawar hone ki Dua

Table of Contents

بِسْمِ اللهِ  الْحَمْدُ لِلهِ ، سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ ، وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ ،

الْحَمْدُ لِلهِ ، الْحَمْدُ لِلهِ ، الْحَمْدُ لِلهِ ، اللهُ أَكْبَرُ ، اللهُ أَكْبَرُ ، اللهُ أَكْبَرُ ، سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي فَاغْفِرْ لِي ، فَإِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ

Bismillaah, Al-ḥamdu lillaahi, subḥaan-alladhee sakhkhara lanaa haadhaa wa maa kunnaa lahu muqrineen, wa innaa ilaa rabbinaa la munqaliboon

Al-ḥamdu lillaah, al-ḥamdu lillaah, al-ḥamdu lillaah, allaahu akbar, allaahu akbar, allaahu akbar, subḥaanak-allaahumma innee ẓalamtu nafsee faghfir lee, fa innahu laa yaghfir-udh-dhunooba illaa ant

ALLAH ke naam se shuru, wo zaat paak hai jisne hamare liye ise mutee’ kar diya aur hum ise qaboo mein lane wale na the aur beshak hum apne Rab ki taraf lautne wale hai. waale hain. Tamam tareefe Allah ke liye hai hain, tamaam tareefe Allah ke liye hain, tamaam tareefe Allah ke liye hain, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Aye Allah tu paak hai, Aye Allah yaqeenan main ne apne nafs par zulm kiya hai mujhe bakhsh de kyun ke gunaahon ko tere elaawah koi nahin bakhsh sakta.

     📕 Sunan Abu Dawood: 2602-Sahih,
📕 Sunan Tirmizi: 3446, 📕 Mustadrak Hakim: 2/38


2. Safar ki Dua

اللهُ أَكْبَرُ ، اللهُ أَكْبَرُ ، اللهُ أَكْبَرُ ،

سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ ، وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ ،

اللَّهُمَّ إِنَّا نَسْأَلُكَ فِي سَفَرِنَا هَذَا الْبِرَّ وَالتَّقْوَى ، وَمِنَ الْعَمَلِ مَا تَرْضَى ،

اللَّهُمَّ هَوِّنْ عَلَيْنَا سَفَرَنَا هَذَا وَاطْوِ عَنَّا بُعْدَهُ ، اللَّهُمَّ أَنْتَ الصَّاحِبُ فِي السَّفَرِ ، وَالْخَلِيفَةُ فِي الأَهْلِ ،

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ وَعْثَاءِ السَّفَرِ ، وَكَآبَةِ الْمَنْظَرِ ، وَسُوءِ الْمُنْقَلَبِ فِي الْمَالِ وَالأَهْلِ.

Allaahu akbar, Allaahu akbar, Allaahu akbar,

Subḥaan-alladhee sakhkhara lanaa haadhaa wa maa kunnaa lahu muqrineen, wa innaa ilaa rabbinaa la munqaliboon,

Allaahumma innaa nas’aluka fee safarinaa haadhal-birra wat-taqwaa, wa minal-‛amali maa tarḍaaa,

Allaahumma hawwin ‛alaynaa safaranaa haadhaa waṭwi ‛annaa bu‛dah,

Allaahumma antaṣ-ṣaaḥibu fis-safar, wal-khaleefatu fil-ahl,

Allaahumma innee a‛oodhu bika min wa‛thaa’-is-safar, wa ka’aabat-il-manẓari, wa soo’-il-munqalabi fil-maali wal-ahl

Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, paak hai woh zaat jisne humaare liye isey musakhkhar kiya, jab ke hum isey mutee karne waale nahin they aur yaqeenan hum apne Rab ki taraf hi lautne waale hain,

Aye Allah ! hum tujh se apne is safar mein neki aur taqwa ka sawaal karte hain aur uss amal ka jise tu pasand karta hai. Aye Allah! hum par humaara yeh safar aasaan karde aur hum se iski doori ko lapet de.

Aye Allah safar mein tu hi humaara saathi aur ghar waalon par nigehbaan hai, Aye Allah main safar ki mashaqqat, takleefdah manzar aur maal aur ghar waalon mein bure lautne se teri panaah mein aata hoon.

Jab Aap (ﷺ) waapas tashreef laate tou yahi kalimaat kahte aur mazeed ezafah karte,

Aa’iboona taa’iboona, ‘aabidoona, lirabbinaaa haamidoon.

Hum lautne waale, taubah karne waale, ibaadat kame waale, aur apne rab ki tareef karne waale hain.’

    📕 Sahih Muslim, Kitaabul Hajj:1324,
    📕 Sunan AbuDawood, kitabul Jihad:2099


3. Basti ya shahar mein daakhil hone ki dua 

للَّهُمَّ رَبَّ السَّمَوَاتِ السَّبْعِ وَمَا أَظْلَلْنَ ، وَرَبَّ الأَرَاضِينَ السَّبْعِ وَمَا أَقْلَلْنَ ، وَرَبَّ الشَّيَاطِينِ وَمَا أَضْلَلْنَ ، وَرَبَّ الرِّيَاحِ وَمَا ذَرَيْنَ ،

أَسْأَلُكَ خَيْرَ هَذِهِ الْقَرْيَةِ وَخَيْرَ أَهْلِهَا وَخَيْرَ مَا فِيهَا ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَشَرِّ أَهْلِهَا وَشَرِّ مَا فِيهَا

Allaahumma rabbas-samawaat-is-sab‛i wamaa aẓlalna, wa rabbal-araaḍeen-as-sab‛i wa maa aqlalna, wa rabbash-shayaaṭeeni wa maa aḍlalna, wa rabbar-riyaaḥi wa maa dharayna,

as’aluka khayra haadhi-hil-qaryati wa khayra ahlihaa wa khayra maa feehaa, wa a‛oodhu bika min sharrihaa wa sharri ahlihaa wa sharri maa feehaa

Aye Allah! saaton aasmaanon aur jin cheezon par unka saaya hai, ke rab.aur saaton zameenon aur jin cheezon ko unhon ne uthhaya huwa, ke rab, aur shayateen aur jin logon ko unhon ne gumraah kiya hai, ke Rab, aur hawaaon aur jin cheezon ko yeh udaye phirti hain, ke Rab main tujh se iss basti ki bhalayi, iss mein rahne waalon ki bhalayi aur jo is mein hai uski bhalayi ka sawaai karta hoon, aur main iske sharr aur iske rehne waalon ke sharr aur jo iss mein hai uske sharr se teri panaah mein aata hoon.

📕 Al Mustadrak Hakim; 1/442, Hadees :1634,
📕 Sunan Kubra Lil Baihaqi. 5/252,
📕 Sunan Kubra Nisai:10377


4. Musaafir ko rukhsat karte waqt ki dua

1. أَسْتَوْدِعُ اللهَ دِينَكَ وَأَمَانَـتَكَ ، وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ

Astawdi‛-ullaaha deenaka wa amaanataka, wa khawaateema ‛amalik.

Main tumhaara deen, tumhaari amanat aur tumhare amaal ka anjaam Allah ke supurd karta hoon.

📕 Sunan Tirmizi; 3442,3443-Hasan,
📕 Sunan Ibne Majah:2826,
📕 Musnad Ahmed: 2/358

2. زَوَّدَكَ اللهُ التَّقْوَى ، وَغَفَرَ ذَنْبَكَ ، وَيَسَّرَ لَكَ الْخَيْرَ حَيْثُمَا كُنْتَ

Zawwadak-allaahut-taqwaa, wa ghafara dhambaka, wa yassara lakal-khayra ḥaythumaa kunt

Allah Ta’ala tumhein Zaad-e-Raah mein taqwa de, tumhaare gunaah muaf kare aur jahaan kahin bhalaayi ho tumhaare liye aasaan kar de.

📕 Sunan Tirmizi:3444-Hasan


5. Padaao daalne ki dua

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

A‛oodhu bi kalimaat-illaahit-taammaati min sharri maa khalaq

Main Allah ta’ala ke kaamil kalimaat ke saath uski makhlooq ke shar se, panaah mein aata hoon.

📕 Sahih Muslim, Kitabuzzikr Wad Dua:2708,
📕 Sunan Ibne Majah, Kitaabuttib:3537


6. Musaafir ki muqeem ke liye dua

أَسْتَوْدِعُكَ اللهَ الَّذِي لَا تَضِيعُ وَدَائِعُهُ

Astawdi‛uk-allaah-alladhee laa taḍee‛u wadaa’i‛uh

Main tumhen Allah ke supurd karta hoon jiski amanaten zaaye’ nahin hotin.

📕 Sunan Ibne Majah:2825-Sahih,
📕 Musnad Ahmed: 2/403


7. Safar se waapsi ki dua

اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ

لاَ إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ المُلْكُ وَلَهُ الحَمْدُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ، آيِبُونَ تَائِبُونَ عَابِدُونَ سَاجِدُونَ لِرَبِّنَا حَامِدُونَ، صَدَقَ اللَّهُ وَعْدَهُ، وَنَصَرَ عَبْدَهُ، وَهَزَمَ الأَحْزَابَ وَحْدَهُ

Allahu akbar, Allahu akbar, al-laahu akbar [only said when going through heights]

Laa ilaaha il-lal-laahu waḥdahu laa shareeka lah, lahul-mulku wa lahul-ḥamdu wa huwa ‛alaa kulli shay’in qadeer, laa ilaaha ill-allaahu waḥdahu, anjaza wa‛dahu, wa naṣara ‛abdahu, wa hazam-al-’aḥzaaba waḥdah

Allah ke elaawah koii sachcha mabood nahin, uska koi shareek nahin, usi ke liye baadshaahat hai aur usi ke liye tamaam tareefe aur woh har cheez par qudrat rakhne waala hai, hum lautne waale taubah karne waale, ibaadat karne waale aur apne Rab ki tareef karne waale hain, Allah ne apna waadah sachcha kar diya, apne bande ki madad ki aur akele hi tamaam lashkaron ko shikast di.

📕 Sahih Bukhari:6355, Sahih Muslim:1344


8. Bazaar mein dakhil hone ki dua

لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ ، يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ حَيٌّ لَا يَمُوتُ ، بِيَدِهِ الْخَيْرُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

laa ilaaha ill-allaahu waḥdahu laa shareeka lah, lah-ul-mulku wa lahul-ḥamdu, yuḥyee wa yumeetu wa huwa ḥayun laa yamootu, bi yadi-hil-khayru, wa huwa ‛alaa kulli shay’in qadeer

Allah ke elawah koi sachcha mabood nahin woh akela hai uska koi shareek nahin, usi ke liye baadshahat hai aur usi ke liye tamaam tareefaat, woh zindah karta hai aur maarta hai, woh humeshah zindah rahne waala hai kabhi nahin marega, usi ke haath mein bhalayi hai aur woh har shay par qudrat rakhne waala hai.

📕 Sunan Ibne Majah:2235,
📕 Mustadrak Hakim: 1/538 H: 1974

۞ Dua list ۞

Wazu se pahle aur baad ke azkaar


Namaz ki Duaien

  • Dua-e-lstaftaah
  • Qunoot-e-witr ki duayein
  • Namaaz-e-witr se salaam pherne ke baad azkaar
  • Qunoot-e-Naazilah
  • Suratul Faatiha
  • Ruku1 ki duayein
  • Ruku1 se uthhne ki dua
  • Ruku1 ke baad qiyaam ke azkaar
  • Sajdah ki Fazeelat
  • Sajde ki duayein
  • Jalsaye istarahat (do sajdon ke darmiyaan) ki duayen
  • Tashahhud
  • Nabi kareem par darood padhna
  • Durood Shareef padhne ki fazeelat
  • Salaam pherne se pahle Aakhir Tashahud ke baad ki Dua
  • Salaam pherne ke baad ke Azkaar
  • Fajr aur Maghrib ki namaaz ke baad ki duayein


  • Shaam ke Azkaar
  • Sote waqt ke Azkaar
  • Raat pahlu badalte waqt ki dua
  • Bura khwab dekhne wala kya kahe?


Khane peene ke waqt ki Duayein

  • Khana khate waqt ki dua
  • Khana khane se faarigh hone ki duayein
  • Khaaa khilaane wale ke liye dua
  • Jo shakhs kuchh khilaye pilaye uske liye dua


Safar ki duayein


Masaayib-o-Mushkilaat se Najaat Paane ke Azkaar

  • Namaze-lstekharah
  • Jise Museebat pahunche uski dua
  • Jis par koi mushkil aan pade uske liye dua
  • Kasrat-e-Durood ki Barkat-o-taaseer
  • Shaitani yalghar se bachne ke Azkaar
  • Qalbi wasawis ke tod ki dua
  • Dushman se bachao aur Dauran-e-Jung ke Azkar
  • Dushman ke liye bad dua
  • Dushman par ghalbah pane bughz-o-keenah se bachne ki dua


Qarz ke talluk se Dua



Munasibat par Masnoon duayein


Mutafarriq Duayein


Qur’ani duayein

  • Aadam (A.S) ki dua
  • Ibraheem (A.S.) ki duayein
  • Sulaimaan (A.S.) ka Izhaar-e-Tashakkur
  • Yunus (A.S.) ki dua
  • Ayyub (A.S.) ki dua
  • Yaqoob (A.S.) ki dua
  • Yusuf (A.S.) ki dua
  • Moosa (A.S.) ki dua
  • Ashab-e-kahf ki dua
  • Nabi Kareem(ﷺ) ki Zubaan-e-aqdas par kasrat se rahne wali dua
  • Surah Baqrah ki aakhri ayat ki duayein
  • Eman par sabit qadam rahne ki dua
  • Ibaadur Rehmaan ki duayein
  • Guzishta Musalmano ke liye momineen ki dua
  • Ahl-e-Taqwa ki dua
  • Ahl-e-Emaan ki dua
  • Istaghfaar ki fazeelat

Rate this post

1 thought on “Safar ki deegar Dua’yein – सफर की दुआएं”

Leave a Reply

Related Posts: