Dua e Qunoot | Witr ki Namaz mein padhne ki Dua

۞ Hadees: Hasan bin Ali (R.A.) ne farmaya ki RasoolAllah (ﷺ) ne hum ko
kuch kalimat Sikhaye Jinhe hum Witr ke Qunoot me padhte hain wo ye hain:

✦ Dua e Qunoot ✦

اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ

Allahumma ahdini fiman hadayat

وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ

Wa Aafini fiman Aafayat

وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ

Wa tawallani fiman tawallayat

وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ

Wa barikli fima Aatayat

وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ

Wa qinni sharra ma qadayat

إِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ

innaka taqdi wa la yuqda alayak

وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ

Wa Innahu la yazillu man walayat

وَلاَ يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ

Wa la yaizzu man aadayat

تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ

Tabarakta Rabbana wa taalayat


✦ Tarjumah ✦

Aye ALLAH ! mujhe Un logo ke saath hidayat de jinhe tuney hidayat bakhshi ,
Aur meri un logo ke saath nigehbani farma jinko tune nigehbani ata ki ,

Aur mujhe un logo ke saath apni dosti ata farma jinko
tuney apni dosti ata ki,
Aur jo kuch tuney ata kiya hai
usmein Barkat ata farma ,

Aur us buraayi se mujhe mehfooz rakh jiska tuney faisla kiya hai ,
kyunki tu hi faisla karne wala hai aur tere faisle ke upar koi faisla nahi kar sakta.

Aur wo kabhi zaleel nahi ho sakta jiske saath tu Dosti kar le,
Aur wo kabhi Beizzat nahi ho sakta jiski tu himayat kar le,
Aye Humare RAB , tu bada Barkat wala hai aur Azeem hai.

[ Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1412-Sahih ]
[ Sunan Nasaii, Jild 1, 1748-Sahih ]
[ Sunan ibn Majah, Jild 1, 1178-Sahih ]

MORE DUA’S

Leave a Reply