Azan ke Azkar aur Jawab

۞ Hadees: Farmane Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) hai ke,

Jab Moazzin ko Azan kehte Suno tou jo wo kehta hai tum bhi kaho (Yaani Azan ka Jawab do).”

📕 Sunan Ibne Majah, Hadees 718


• Azan ka Jawab Iss Tarah Dey.

Azan : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu Akbar

Azan : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu Akbar

Azan : Ash Hadu Al Lailaha Illallah
Jawab : Ash Hadu Al Lailaha Illallah

Azan : Ash Hadu Al Lailaha Illallah
Jawab : Ash Hadu Al Lailaha Illallah

Azan : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah
Jawab : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah (Sallallahu Alyhi Wasallam)

Azan : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah
Jawab : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah (Sallallahu Alyhi Wsallam)

Azan : Hayya Alas Salah
Jawab : La Hawla Wala Kuwwata Illa Billa Hil Aliyil Azim

Azan : Hayya Alas Salah
Jawab : La Hawla Wala Kuwwata Illa Billa Hil Aliyil Azim

Azan : Hayya Alal Falah
Jawab : La Hawla Wala Kuwwata Illa Billa Hil Aliyil Azim

Azan : Hayya Alal Falah
Jawab : La Hawla Wala Kuwwata Illa Billa Hil Aliyil Azim

Azan : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu Akbar

Azan : Lailaha Illallah
Jawab : Lailaha Illallah


Azaan sunne wala muazzin ke jawaab mein wahi kalimaat kahe jo woh kah rahaa hai.
Hayya ‘alas-Salaah (Aao Namaz ki taraf) [Sahih Bukhari:611, Sahih Muslim:383]

Hayya ‘alas-Falaah (Aao kaamiyaabi ki taraf ke jawaab mein)
Laa hawla wa laa quwwata ilia billahi. (Allah ki taufeeq wa madad ke baghair kisi gunah se bachne ki taqat aur koyi neki karne ki quwwat nahin) kahe. [Sahih Sunan Abu Dawood, Kitabussiyaam: 2357]

phir yeh kahe:

❝ Ash-hadu al laa ilaaha illallaahu wahdahu laa shareeka lalhu wa anna Muhammadan ’abduhu wa Rasooluhu. Radheetu billaahi Rabban, wa bi Muhammadin Rasoolan wa bi Islami deena. ❞

(Main gawahi deta hoon ke Allah ke elaawah koi sachcha mabood nahin woh akela hai uska koi shareek nahin aur bil yaqeen Muhammad uske bande aur uske Rasool hain) main Allah ke Rab hone, Muhammad (ﷺ) ke Rasool hone aur Islam ke deen hone par raazi huwa.)

📕 Hasan, Sunan Abu Dawood: 3854,
📕 Sunan Ibne Majah: 2747, Musnad Ahmad:3/118

Leave a Reply