03rd Ramzan | Islam ke Sutoon paanch (5th Ramzan ke Roze rakhna) hai [Hadees: Sahih Muslim]

Ramadan Day 3 : Islam ka 5th Sooton hai Ramzan ke Roze

3rd Ramadan Quotes: ۞ Hadees: “Islaam ke sutoon paanch (5) hai.” (1). Pehla Ye ke Allah hi ki Ibadat ki jaye aur uske siwa tamaam jhoote khudao ka inkaar kiya jaye, (2). Namaaz parhna, (3). Zakaat dena, (4). Baitullah ka Hajj karna aur (5). Ramzan ke Roze rakhna…

01st Ramzan | Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they [Al-Quran: 2:183]

Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye

Ramadan Day 01

Tum par Roze farz kiye gaye Taaki Taqwa Ikhteyar karo

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:

❝ Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye,
jaise tumse pichali Ummato par humne farz kiye they
ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.❞

📕 Surah Baqrah 2:183

4.9/5 - (122 votes)
Har Neki Qaabile Qadr hai Hadees Muslim 6857

Har Neki Qadr ke Qaabil hai

Hadees of the Day

Har Neki Qadr ke Qaabil hai

– TRANSLITERATION –

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

(Har neki qaabile qadr hai, is liye) kisi neki ke kaam ko maamooli na samjho, agarche apne bhai se muskura kar milna hi kyun na ho.
(kyun ke yeh bhi koyi maamooli neki nahin hai)

Read More

5/5 - (9 votes)
Hadees about Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat

Kharch karnewalo ke liye Farishton ki Dua

Hadees of the Day

Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Koi din aisa nahi jata ke jab bandey subah ko uthte hai tou 2 farishtey aasmaan se na utarte ho, ek Farishta yeh kehta hai ke Aye Allah! (Khairat/Zakaat/Sadaqat) kharch karne wale ko is ka badla de, aur dusra farishta kehta hai, Aye Allah! Kanjush (Baqeel) ke maal ko barbaad karde.”

📕 Bukhari Shareef, 1442

4.8/5 - (18 votes)
6 Baato ki Amaanat aur Jannat ki Zamanat Hadith

6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat

Hadees of the Day

6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya –

“Tum Apni taraf se Mujhe Chhe (6) Baato ki Zamanat de do,
Mai Tumhe Jannat ki Zamanat deta hoon.”

(1). Jab Baat karo tou Sach Bolo.
(2). Jab Wadaa karo tou Poora Karo.
(3). Jab Tumhare Paas koi Amanat rakhe tou Uske Maangne par Wapas Do.
(4). Apni Sharmgaaho ki Hifaazat karo.
(5). Apni Aankho ko Niche rakho. (Gair Galat Cheeze dekhne se bacho)
(6). Apne Haatho ko (Zulm se) roke raho.

📕 Ibn Habban : 271
📕 Ahmad : 5/323
📕 Haakim : 4/358,359

4.8/5 - (39 votes)
Juma ki Namaz kis par Farz hai.jpg

Juma ki Namaz kis par Farz hai?

Hadees of the Day | Jumuah Series

4 logo ke Alawa har Musalman par Farz hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jumuah ki Namaaz Jama’at se Ada Karna har Musalman par Farz hai Siwaye 4 Logon: Ghulaam, Aurat, Nabaligh Bachcha aur Bimaar ke.”

📕 Abu Dawood: 1067 (Sahih)

5/5 - (8 votes)
Qayamat ki Nishaniyan Series Part14

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-14

Aman o Amaan ka Sunehra dour, Mashriq, Maghrib aur jazeera tul Arab mein zameen ka phatna, Har taraf dhuwan chaa jayega, Sooraj maghrib se taloo hoga, Daaba tul arz, Har Momin Bande ki rooh qabaz ker li jayegi …

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-13

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-13

Yajooj o Majooj Quran aur Hadees ki roshni mein, Yajooj Majooj ki masroofiyat, Yajooj Majooj ka khurooj, Yajooj Majooj ka fitna fasaad, Deewaar e Zulqurnain me Suraakh, Yajooj Majooj ki Shakal o Soorat, Kasrat aur Halakat …

Qayamat ki Nishaniyan Series Part 12

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-12

Isa Alaihi Salam ka Nuzool, Nuzool Isa Alaihe Salam Quran majeed ki roshni me, Nuzool Maseeh Alaihe Salam Aahadees ki roshni me ….

Khurooj e Dajjal (Arrival of the Antichrist) | Qayamat ki Nishaniyan Series Part 11

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-11

71. Khurooj e Dajjal (Arrival of the Antichrist), Maseeh dajjal tamaam dajjalon aur kazabon ka sardar hoga, Dajjal badey Ghusse se khurooj karega, Dajjal ki Shakal o Soorat, Kya Dajjal Aadmi hoga?, Kya Dajjal Zinda hai?, Kya Nabi Kareem (ﷺ) ne dajjal ko dekha tha?, Dajjal ki Shobde Baziyan …

Qayamat ki Nishaniyan Series Part 9

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-9

63. Haiwanat o jamadaat insan se humkalam hongey, 64. Shajar o hajar pukar uthienge, 65. Momin ka har khwab saccha hoga, 66. Madina wiraan ho jayega, 67. Arab ke dasht o sehra baghaat me badal jayenge, 68. Qayamat ki 10 Badi Badi Nishanian, 69. Qayamat ki Alamaat e Kubra ka tasalsul …

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-8

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-8

57. Mard kum aur Aurtien Jyada ho jayengi, 58. Misr, Shaam aur Iraq apne paimaney aur khazaney rok lengey, 59. Maut ki Tamana ki jayege, 60. Baitullah par charhai kerne wala lashker zameen me dhans jayega, 61. Ek Qahtani hukmaran hoga, 62. Ek Jhajah nami badshah hoga …

Rehmat ke Farihste dakhil nahi hote jaha Ghunghroo Ya Ghanti ho

Rehmat ke Farihste Dakhil nahi hote jaha Ghunghroo ya ghanti ho …

Hadees of the Day

Rehmat ke Farihste dakhil nahi hote
jaha Ghunghroo Ya Ghanti ho

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Ghanti Shaitan ka Baaja hai.”

Ek aur riwayat me Biwi Hazrate Umme Salamah (R.A) riwayat karti hai ke:
Maine Rasool’Allah (ﷺ) ko ye farmate huye suna ki,
“Farishte (Rehmat ke) Un Gharon me nahi daakhil hote Jinme Ghunghroo ya Ghanti ho,
aur farishtey (Rehmat ke) Un Kaafilon ke saath nahi jaate jinme Ghanti ho”

📕 Sahih Muslim, Hadees 5548
📕 Sunan An-Nasayi , Hadees 5224

4.6/5 - (12 votes)
Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-7

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-7

51. Qustuntunia (istanbul) ki fatah, 52. Room (italy) fatah hoga, 53. Kuffar Musalmano per toot padengey, 54. Har Ghar me Fitna dakhil ho jayega, 55. Isaion se mil kar Musalman tisre dushman se ladenge phir Isaion aur Musalmano me jung e azeem hogi, 56. Darya e faraat (Euphrates River) se Soney ka Pahaad namudar hoga …

Qayamat ki Nishaniyan Series Part 6

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-6

44. Naukrani Apne Malik ko janam degi, 45. Duniya se Muhabbat aur mout se Nafrat hogi, 46. Nek Log madoom(faut) ho jayenge, 47. Deen ajnabi ho jayega, 48. Log badal jayenge, 49. Barish bakasrat hogi magar khaimey mehfooz rahiengey, 50. Barish bakasrat hogi magar paidawar nahi hogi…