Ramzan aur Rozon ke Masail Quran Hadees wa Sunnat ki roshni mein | Ramazan Se Mutalliq Kuch Sawal aur Uske Jawabat
Ramzan aur Rozon ke Masail | Ramazan Se Mutalliq Kuch Sawal aur Uske Jawabat
1. Ramzan ke Roze kyun Farz kiye gayein?
Allah Ta’ala ne farmaya:
✓ Aye imaan walon tum par Roze farz kar diye gaye waise hi jaise tum se pehle logon par farz kiye gaye they, taki tum Taqwa ki raah ikhtiyar karo.“
2. Imaan aur Ihtesab ke saath Roze aur Qiyam e Ramzan ka kya matlab hai?
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
✓ Jis ne Imaan ke saath aur Sawab ki niyat se Ramzan ke Roze rakhe us ke pichhle saare Gunah muaaf kar diye jate hain. 📕 Bukhari: Al-Imaan 38, Muslim: Salatul Musafirin wa Kasriha 1268]
Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
✓ Jis ne Imaan ki bina par aur sawab ki garz se Ramzan ka Qiyam kiya us ke pichhle gunah muaaf kar diye jate hain.
📕 Bukhari: al-Imaan 37, Muslim: Salatul Musafirin wa Kasriha 173-(759)]
Rawi Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
Hafiz Ibn Hajar farmate hain:
Imaanan se murad Roze par Allah ki taraf se kiye gaye wadah ko sach mante huye Roze rakhna hai, aur Ihtesaban se murad us ajr ki talab karte huye Roze rakhna hai na ki riya wagairah ki buniyad par.
[Fath ul-Bari: Tahat Hadees 2008]
3. Kya Ramzan mein saare Jinn Qaid kar diye jaate hain?
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
Jab Ramzan ki pehli raat hoti hai toh Jinnon mein se sharkash shayateen ko Zanjeeron mein Qaid kiya jata hai, Jahannum ke darwaze band kar diya jata hai, (mahine bhar) us ka koi darwajah nahin khulta aur Jannat ke darwaze khol diye jate hai (mahine bhar) us ka koi darwaza band nahi
kiya jata, ek nidaa lagane wala nidaa lagata hai: Ai khayr ke talab karne wale, aage badh aur ai shar ka irada karne wale, ruk jaa, aur Allah kuchh logon ko Jahannum se azad kar deta hai.
📕 (Tirmizi, Ibn Majah, Ibn Hibban, Haakim, Bayhaqi)
Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
📕 [Saheeh ul-Jami’ 759] (Hasan)
4. Kya Ramzan se ek do din pehle Nafl Roze rakh sakte hain?
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
✓ Jab Nisf e Shabaan ho jaye toh Ramazan aane tak Roze na rakho.
📕 (Musnad Ahmad, Abu Dawud, Tirmizi, Nisa’i, Ibn Majah)
Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Saheeh ul-Jami’ 397
5. Shabaan ki 29 tareekh ko badal ki wajah se Hilal na dikhayi de toh kya kare?
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
✓ (Ramazan ka) chand dekh kar Roze rakho aur (Shawwal ka) chand dekh kar iftaar (Roze rakhna band) karo aur agar aasmaan saaf na ho toh Shabaan ke 30 din poore kar lo.
📕 [Bukhari:as-Saum 1909; Muslim:as-Siyam 19-(1081)]
Rawi Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
6. Hilal (mahine ka pehla) dekh kar kya Dua padhe?
Talha bin Ubaidullah Radhiallahu Anhu farmate hain:
Nabi صلى الله عليه وسلمjab Hilal (mahine ka pehla) chand dekhte toh yeh Duaa padhte:
“Allahumma Ahlilhu alayna bilyumni
walimaani was-salamatiwalislaami Rabbi wa RabbukAllah.”
Aye Allah! Is chand ko hum par barkat wa imaan aur salamati wa islam ke saath namodar hone wala bana.
📕 (Musnad Ahmad, Tirmizi, Haakim)
Saheeh ul-Jami’ 4726-Hasan
7. Ramzan ke Hilal ke liye kitne logon ki Gawahi Chahiye?
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
✓ Chand dekh kar Roze rakhna shuru karo aur chand dekh kar hi Roze rakhne se rook jao aur apni ibadat (Hajj wagairah) ke auqaat chand ki ruw’yat se hi muqarrar kar liya karo,
agar chand tumhein nazar na aaye toh poore 30 din ki ginti poori kar lo aur agar 2 Musalman gawahi de diye toh in ki gawahi par Roze rakho aur 2 Musalman ki gawahi par hi iftaar kar lo (yani Roze rakhna band kar do).
📕 (Musnad Ahmad, Nisa’i) Rawi: Chand Sahaba
Saheeh ul-Jami’ 3811-Sahih
8. Jis ko din ke kisi hisse mein Hilal ki khabar mile woh kya kare?
Rubai’ bint Mu’awwij Radhiallahu Anha farmati hain:
✓ Nabi صلى الله عليه وسلمne Ashura’ ki subah Ansar ke muhallon mein yeh paigham bheja, jo Roza se nahi hai woh baqiya din Roza rakhe aur jo Roza se hai woh apna Roza poora kare, farmati hain: lihaja us ke baad hum yeh (Ashura’ ka) Roza rakhte aur apne bachcahon se bhi Roza rakhwate.
Unke liye Unn(Wool) ke khilone banate, agar koi bachcha rota toh usey woh gudya thama dete yahan tak ki iftaar ka waqt ho jata.
📕 [Bukhari: as-Saum 1960; Muslim: as-Siyam 136-(1136)] Alfaaz Bukhari ke hain.
9. Kya door daraj ke ilaqon mein Roza aur Laylatul Qadr mein farq ho sakta hai?
Kuraib Rahimahullah farmate hain:
Umm Fazl bint Haris ne unhein Mu’awiah (R.A) ke paas Sham bheja.
Farmate hain: Mai Sham aaya aur un ka diya huwa kaam poora kiya,
abhi main Sham hi mein tha ki Ramzan ka chand nazar aagaya,
Maine Jumu’ah ki raat chand dekha, phir mahine ki akhri dino
mai Madinah pahunch gaya.
Abdullah ibn Abbas (R.A) ne dauran e guftagu chand ka jikr kiya
aur mujh se poochha: tum ne (sham mein) chand kab dekha?
Maine kaha: hum ne Jumu’ah ki raat chand dekha tha,
Unhone poochha: kya tum ne khud dekha tha?
Maine kaha: Haan, aur logon ne bhi dekha aur Roza rakha,
aur Mu’awiah (R.A) ne bhi Roza rakha.
Us par unhone kaha: lekin hum ne toh sanichar ki raat chand dekha tha,
so hum barabar Roza rakhte chale jayenge yahan tak ki 30 ki ginti
poori kar lein ya chand dekh lein,
Maine poochha: kya aapke liye Mu’awiah (R.A) ki riwayat aur un
ka Roza rakhna kaafi (daleel) nahi hai? Aap ne jawab diya: nahi,
Rasool-Allah صلى الله عليه وسلم ne humein aisa hi hukum diya hai.
📕 [Muslim: as-Siyam 28-(1087)]
10. Roze ki Niyat kab karna chahiye?
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
✓ Jis ne Fazr (Subah Sadiq) ke tuloo hone se pehle Roze ki Niyat nahin ki uss ka Roza nahin.
📕 (Musnad Ahmad, Abu Dawud, Tirmizi, Nasa’i)
Rawiah: Hafsa Radhiallahu Anha
Saheeh ul-Jami’ 6538
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
✓ Jo Raat hi mein Roze ki Niyat naa kar le uss ka Roza nahin.
📕 (Nasa’i) An Hafsa
Saheeh ul-Jami’ 6535
NIYAT DIL KE IRAADE KA NAAM HAI TOU RAMZAN KI HAR RAAT ME HUM ROZA RAKHNE KA IRADA KARTE HAI. ISI ME HUMARI NIYAT ZAHIR HOTI HAI, LIHAJA ZUBAN SE NIYAT ADA KARNE KI ZARURAT NAHI KE AISA KARNA BIDDAT HAI.
✓ Roze ke Niyat ki Galat Dua se bachey
11. Qiyam e Ramazan yaani Taraweeh ki masnoon Rakaat kitni hai?
Salamah bin Abdur Rahman Radhiallahu Anhu farmate hain:
✓ Maine Aishah (R.A) se poochha: Ramazan mein Allah ke
Rasool صلى الله عليه وسلم ki Namaaz ki kya kaifiyat thi?
Aap ne farmaya: Nabi (ﷺ) Ramazan aur ghair Ramzan me Gyarah (11)
Rakaat se jyada nahin padhte thein, Aap pehle char(4) Rakaat padhte,
un ke Husn aur Tuaalat ke mutalliq na puchhoo, phir char(4) Rakaat aur
padhte un ke Husn aur tueel hone ke mutalliq na puchho, phir teen(3)
Rakaat padhte, Maine poocha: Aye Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ! Aap witr
padhne se qabl so jate hain? Aap ne jawab diya: Aye Aishah! Meri
Aankhein soti hai magar Mera dil nahin sota.
📕 [Bukhari: Salat ut-Taraweeh 2013;
Muslim: Salat ul-Musafireen wa kasriha 125-(738)]
12. Hazrat Umar (R.A) ne Qiyam e Ramzan ki kitni Rakaat ka hukum diya tha?
✓ Saib ibn Yazid (R.A) farmate hain:
Umar (R.A) ne Ubayy bin Kabb (R.A) aur Tameem ad-Daari (R.A) ko
logon ko Gyarah (11) Rakaat padhane ka hukum diya.
Saib bin Yazid (R.A) farmate hain:
“Ek ek Qaari Sau Sau (100) Aayatein tilawat karta tha,
yahan tak ki hum taweel Qiyam ki wajah se
lathion(stick) ka sahara liya karte thein aur
humari Namaaz, Fazr ke bilkul Qareeb khatm hoti thi.”
📕 [Al-Muwatta: Kitab an-Nidaya lis-Salah Baab Ma ja’aa fee Qiyam e Ramazan]
Sunnat se 8 Rakat Taraweeh hai per 20 rakat ya usse jada bhi padh sakte hai
13. Kya Allah ke Nabi (ﷺ) ne ek raat mein Taraweeh aur Tahajjud alag alag padhi hain?
NAHI
Nuaim bin Ziyad Abu Talha an-Namri (R.A) farmate hain:
Ki unhone Numan bin Bashir ko hams ke minbar par yeh kehte suna:
Hum ne Ramazan ki teyees’ween(23) raat Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ke saath
raat ke pehle ek tihai hisse tak Qiyam kiya, phir humne
pachchis’ween(25) raat Aap صلى الله عليه وسلم ke saath aadhi raat tak Qiyam kiya,
phir humare saath Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne sattais’ween(27) raat Qiyam kiya
yahan tak ki humaein guman hone laga ki humein falah nahin milegi.
unhone kaha: Hum Sehri ko falah kehte they.
📕 (Musnad Ahmad, Musannif ibn Abee Shaybah,
Ibn Nasr fee Qiyam al-layl, Nasa’i,
Musnad Ahmad al-Faribee, Haakim,
Ibn Khuzaima) Alfaaz Ahmad ke hain.
📕 Salat ut-Taraweeh Safa 10 (Saheeh)
Jamat se Taraweeh aur Quran ko mukammil karne ke Masail | Ramazan se Mutalliq Kuch Sawal aur Uske Jawabat
14. Kya ba Jamaat Qiyam e Ramzan Bidaat hai?
✓ Abu Dharr Radhiallahu Anhu farmate hain:
Hum ne Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ke saath Roza rakha, Aap ne humein
Namaaz (Qiyam e Ramazan) nahi padhayi yahan tak ki Ramazan ki sirf
saat(7) raatein baaki reh gayi thi. (22 Roze ho chuke thein),
phir us (23ween) raat Aapne humein Namaaz padhayi aur itni taweeel Namaaz
padhayi ki raat ka ek tihayi hissa guzar gaya, phir chhati raat Aapne
humein Namaaz nahin padhayi, paanchween raat Aapne humari imamat
ki aur itni taweel padhayi ke aadhi raat guzar gayi.
Humne kaha: Aye Allah ke Rasool! Kyun na baqiah raat mein bhi Aap humein
yeh Nafl Namaaz padha den!
Aap (ﷺ) ne farmaya: Jo imaam ke saath yeh Namaaz padhe hatta
ki imaam Namaaz poori kar le, us ke liye poori raat Qiyam ka sawab likha jata hai.
Phir Aap (ﷺ) ne humari imamat nahin ki haata ki Ramazan ki teen
raatein baaqi reh gayi, phir teesre din ki raat mein Aapne humein
Namaaz padhayi jis mein Aapne apne Ahl aur apni biwiyon ko bhi
shamil kar liya, Aapne humein itni taweel Namaaz padhayi ki humein
Falah ki faut hone ka darr hone laga.
Jubair bin Nufair farmate hain: Maine un se (yaani Abu Dharr R.A) se
poochha: yeh Falah kya hai? Unhone kaha: Sehri.
📕 (Musnad Ahmad, Abu Dawud, Tirmizi, Nasa’i, Ibn Majah)
Qiyam e Ramazan Safa 14, Salat ut-Taraweeh Safa 15-Saheeh
15. Kya teen raaton se jyadah Taraweeh Bidaat hai?
✓ Hazrat Aishah (Radhiallahu Anha) farmati hain:
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne ek Masjid mein Namaaz ada ki toh log bhi Aap
ke saath Namaaz mein sharik ho gaye. Phir agle din bhi Aap ne Namaaz
padhi toh log mazeed badh gaye, phir log teesri ya chauthi raat ko bhi
jamaa huye toh Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم (Namaaz ke liye) un ki taraf bahar
nahin nikle. Jab subah (yani Fajr) huyi toh Aapne farmaya: tumhare
(Masjid mein jamaa ho jane ke) amal ko Maine dekh liya tha lekin
Mujhe tumhari taraf nikalne se bas is cheez ne rok liya ke mujhe
andesha huwa kahin yeh Namaaz tum par Farz na kar di jaye.
(Sahabi kehte hain) yeh waqiah Ramazan mein pesh aaya tha.
📕 [Bukahri: at-Tahajjud 1129;
Muslim: Salat ul-Musafireen wa kasriha 177-(761)]
16. Kya Auratein aapas mein ba jamaat Taraweeh padh sakti hain?
✓ Ibrahim Rahimahullah Aishah (RadhiAllahu Anha) se riwayat karte hain:
Hazrat Aishah RadhiAllahu Anha Ramazan mein Auraton ki imamat
kiya karti thin aur Saf ke wast(middle) mein kadhi hoti thi.
📕 [Al-Athar lil-Imaam Muhammad 215]
17. Kya Quran teen(3) din se kum mein khatam karna achha hai?
✓ Hazrat Aishah RadhiAllahu Anha se riwayat hain, farmati hain:
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم teen (3) din se kum mein Quran khatam nahin karte thein.
📕 (Ibn Sa’ad) An Aishah
Saheeh ul-Jami’ 4866-Saheeh
✓ Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
Jo shaksh teen (3) din se kum mein Quraan padh le woh Quran ko gehrayi se nahin samjha.
📕 (Abu Dawud, Tirmizi, Ibn Majah) Rawi: Ibn Umar
Saheeh ul-Jami’ 7743
Ramzan me Namaze witr ke Masail | Ramazan se Mutalliq Kuch Sawal aur Uske Jawabat
18. Sujood e Tilawat mein kya padhe?
✓ Aishah RadhiAllahu Anha farmati hain:
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم raat (ki namaaz) mein
Qur’an ke Sajde mein yeh Duaa manga karte:
(SAJADA WAJHIYA LILLAZI KHALAQAHU WA SHAQQA
SAM’AHU WA BASARAHU BIHAWLIHI WA QUWWATIHI)
Mere chehre ne Usey (Allah ko) sajda kiya jis ne banaya aur
us mein apne tasrif aur quwat se kan aur aankhein banayi.
📕 (Abu Dawud, Tirmizi, Nasa’i)
Sunan Tirmizi Tahqeeqil Albani 580-Saheeh
19. Witr ki Namaaz ka tareeqa kya hai?
✓ Nafi’ Rahimahullah farmate hain:
Abdullah ibn Umar witr ki teen(3) rakaat mein do(2) rakaat par salam
pherte aur aap (in 2 rakaat aur 1 rakaat ke darmiyan) kabhi kisi kaam ka
hukum bhi diya karte the.
📕 [Bukhari: Ma ja’a fee witr 991]
20. Qunoot e witr Rukoo se qabl hai ya baad mein?
✓ Ubayy ibn Kabb RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم teen(3) Rakaat witr padha karte jis mein pehli
rakaat mein {Sabbihi isma rabbika al-aAAla} aur doosri rakaat mein
{Qul ya ayyha al kafiroon} aur teesre rakaat
mein {Qul huwa Allahu Aahad} padha karte thein.
Aap Rukoo se qabl qunoot karte aur jab salam pherte toh
farmate {Subhana al-malikil quddoos} (paaki hai us paak
Malik ki) aur teesri martaba {Subhana al-malikil quddoos}
kehte huye Apni aawaz ko taweel kar dete.
📕 (Nasa’i) Nasa’i Tahqeeqil Albani 1699-Saheeh
21. Kya witr ke baad Namaaz padhna jayez hai?
✓ Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
“Raat mein apni akhri Namaaz witr ko banalo.
📕 [Bukhari: al-Witr 998;
Muslim: Salat ul-Musafireen wa kasriha 151-(751)]
✓ Umm Salamah RadhiAllahu Anha farmati hain:
“Nabi صلى الله عليه وسلم witr ke baad baith kar
do(2) rakaat halki Namaaz padha karte thein.
📕 (Tirmizi, Ibn Majah)
[Sunan Ibn Majah Tahqeeqil Albani 1195] (Saheeh)
22. Kya Taraweeh ke baad mazeed Qiyam ul-layl ki gunzaish hai?
✓ Qays bin Talq (Radhiallahu Anhu) farmate hain:
Talq bin Ali Ramazan mein ek din humare paas aaye, aur humare hi
paas Saum (Roze) ki aur iftaar kiya, phir usi raat humein Namaaz padhayi aur
Witr bhi padhai. Phir apni Masjid mein gaye aur apne saathiyon ko
Namaaz padhayi aur jab Witr (padhani) baqi rahi toh ek shaksh ko aage
kar diya aur kaha: Apne saathiyon ko witr padhao kyunki maine Allah ke
Rasool صلى الله عليه وسلم se suna hai,
Aap farmate they: Ek raat mein do (2) witr nahin.
📕 (Musnad Ahmad, Abu Dawud, Ibn Majah, Tirmizi, al-ziy’aa)
Saheeh ul-Jami’ 7567-Saheeh
Bacche aur Musafir ke Roze ke Masail | Ramazan se Mutalliq Kuch Sawal aur Uske Jawabat
23. Kya bachchon par Roze Farz hai?
✓ Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
Teen (3) logon se qalam utha liya gaya hai, Majnoon yahan tak ki us ka
junoon jata rahe, Sone wale yahan tak ki bedar ho jaye aur bachche
yahan tak ki baligh ho jaye.
📕 (Musnad Ahmad, Abu Dawud, Haakim) Rawi: Ali wa Umar
Saheeh ul-Jami’ 3512-Sahih
24. Kya Haiz ki halat mein Aurat Roze rakh sakti hai?
✓ Abu Saeed Radhiallahu Anha farmate hain:
Nabi صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
Kya aisa nahin hai ki Aurat jab Haiz hoti hai toh
na Namaaz padhti hai aur na Roze rakhti hai?
📕 [Bukhari: as-Saum 1951] An Abee Saeed
[Muslim: al-Imaan 132-(79)] An Abdullah bin Umar
25. Musafir ke liye Roze rakhna behtar hai ya na rakhna?
✓ Allah Ta’ala ne farmaya:
Agar tum mein se koi mareez ho
ya safar mein ho toh utne din gin kar
baad mein Roze rakh le.
📕 [Surah al-Baqarah 2:184]
✓ Hamzah bin Amr Al-Aslami (Radhiallahu Anhu) farmate hain:
Ki unhone kaha: Aye Allah ke Rasool! main apne andar halat e safar mein
Roze rakhne ki quwat pata hoon toh (agar main Safar mein Roze
rakhoon) toh kya mujh par gunah hai?
Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
Yeh Allah ki taraf se rukhsat hai, jo isey le le uske liye
behtar hai aur jo Roze rakhna chahe toh us par koi gunah nahi.
📕 [Muslim: as-Siyam 107-(1121)] An Hamzah
📕 [Bukhari: as-Saum 1943; Muslim: as-Siyam 107-(1121)] An Aishah
✓ Bukhari ki riwayat mein yun hai:
Agar tum chaho toh Roze rakho aur
chaho toh iftaar karo (yani chaho
toh Roze na rakho)
📕 [Bukhari: as-Saum 1943] An Aishah
✓ Ek riwayat mein yun hai:
Tumhare liye jo bhi aasan ho karo.
📕 (Tamam Fee Fawaid) An Hamzah bin ‘Amr Al-Aslami
As-Saheehah 2884-Saheeh