Shawwal ke rozo ki Fazilat

Shawwal ke 6 Rozo ki Fazilat

Hadees of the Day

Shawwal ke 6 Rozo Ki Fazilat

Abu-Ayyub-Ansari (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :

“Jo Roze Rakhe Ramzan ke aur iske sath lagaye 6 Roze Shawwal ke tou isko humesha ke Rozon ka Sawaab milega.”

📕 Sahih-Muslim, Hadees#2758
📕 Sunan-Ibn-Majah, Hadees#1716


Ek aur Riwayat me aata hai ke –

Rasol’Allah (ﷺ) ke Aazad karda Ghulaam Hazrate Sobaan (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –

“Jo Eid-Ul-Fitr ke Baad 6 Din ka Roza rakhe isko purey Saal ke Rozon ka Sawaab milega, Jo ek neki laye isko iska 10 Gunaa ajar milega.”

📕 Sunan-Ibn-Majah; Hadees no.1715

5/5 - (2 votes)
Islamic Quiz 199 : Kis Amal se Ummat me khair qayam rahegi Nabi (ﷺ) ne farmaya?

Islamic Quiz 199

Kis Amal se Ummat me khair qayam rahegi Nabi (ﷺ) ne farmaya? A. Roza iftar …

Read More

24th Ramzan: Jo Shakhs Shab-e-Qadr Imaan ke saath aur sirf Aakhirat ke sawab ke liye Zikr aur ibadat. [Hadees: Sahih al-Bukhari 35]

Ramadan Day 24 | Shab-e-Qadr me Ibadat ki Fazilat…

Ramadan Day 24 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ❝ Jo Shakhs Shab-e-Qadr Imaan ke saath aur sirf Aakhirat ke sawab ke liye Zikr aur …

Islamic Quiz 198 : Roza insan ko kin cheezon se bachata hai?

Islamic Quiz 198

Roza insan ko kin cheezon se bachata hai? A. Bhook se B. Gunaaho aur Jahannam …

Read More

22nd - Ramzan | Dua: Shab e Qadr ki Dua [Hadees: Sunan Ibne Majah 731]

Ramadan Day 22 | Shab e Qadr ki Dua

Ramadan Day 22 ۞ Shab e Qadr ki Dua : Allahumma Innaka ‘Afuwwuntuhibbul ‘Afwa Fa’fu ‘Anni.'(Aye Allah tu muaf karne wala aur muaf karne ko pasand karta hai so mere bhi gunaah muaf farma de.)’ …

21th Ramzan | Shab-e-Qadr ko Ramzan ke Aakhri Ashra ki Taaq Raato me talaash karo. [Hadees: Sahih Bukhari, 2017]

Ramadan Day 21 | Shab e Qadr ko kab Talash Kare…

Ramadan Day 21 ۞ Hadees: Hazrate Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:”Shab-e-Qadr Ko Ramzan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato (21, 23, 25, 27, 29) me Talaash karo…

13th Ramzan | Rozadaar ke liye do khushiya hai [Hadees: Sahih al-Bukhari 1904]

Ramadan Day 13 | Rozadaar ke liye do khushiya hai

Ramadan Quotes: 13th Ramzan ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:❝ Rozadaar ke liye do khushiya hai, Ek “Iftar” ke Waqt aur Doosri apne Rab se milne ke Waqt (Aakhirat me) hogi to apne Roze ka Sawab pa kar khush hoga. ❞ [Sahih al-Bukhari 1904]

11th Ramzan | Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare. [Hadees: Sunan Ibn Majah 1699]

Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na miley tou Paani se kare

Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:”Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai.” [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]

09th Ramzan | Roza Gunaho aur Jahannum ki aag se bachane wali ek Dhaal hai. [Hadees: Sahih Bukhari 1904]

Ramadan Day 9 | Roza ek Dhaal hai

9th Ramadan Hadith: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Roza Gunaho aur Jahannum ki aag se bachane wali ek Dhaal hai.❞ [Sahih Bukhari 1904]

07th Ramzan | Ramzan me Umrah karna RasoolAllah (ﷺ) ke sath Hajj karne ke barabar hai. [Hadees: Sahih Bukhari 1863]

Ramadan Day 7 : Ramzan me Umrah karne ki Fazilat

07th Ramzan ۞ Hadees: Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke:❝ Ramzan me Umrah karna RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ke sath Hajj karne ke barabar hai. ❞📚 Sahih Bukhari 1863

03rd Ramzan | Islam ke Sutoon paanch (5th Ramzan ke Roze rakhna) hai [Hadees: Sahih Muslim]

Ramadan Day 3 : Islam ka 5th Sooton hai Ramzan ke Roze

3rd Ramadan Quotes: ۞ Hadees: “Islaam ke sutoon paanch (5) hai.” (1). Pehla Ye ke Allah hi ki Ibadat ki jaye aur uske siwa tamaam jhoote khudao ka inkaar kiya jaye, (2). Namaaz parhna, (3). Zakaat dena, (4). Baitullah ka Hajj karna aur (5). Ramzan ke Roze rakhna…

01st Ramzan | Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they [Al-Quran: 2:183]

Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye

Ramadan Day 01

Tum par Roze farz kiye gaye Taaki Taqwa Ikhteyar karo

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:

❝ Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye,
jaise tumse pichali Ummato par humne farz kiye they
ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.❞

📕 Surah Baqrah 2:183

4.9/5 - (122 votes)
Roza Na Rakhne Ki Kisko Chut Hai

♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai?

Roza na rakhne ki kisko Chut hai?

Ramzan me roza koun log nahi rakh sakte?, Kin Logo ko Ramzan ke Roze Muaf hai, Tafseeli jaankari ke liye is Audio Bayan ka mutala kare.

Aur bhi Dekhe:

3.8/5 - (6 votes)