♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aboo Umama (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki,
Ek Aadami Aaya Aur Uss Ne Arz Kiya:
Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)!
Waliden Ka Apni Aulaad Par Kitna Haq Hai ?
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Woh Donon Teri Jannat Hain Aur Dozakh.”
(Yaani Unki Khidmat Kar Ke Jannat Haasil Kar Lo
– Ya Nafarmaani Kar Ke Dozakh Ke Mustahiq Ho Jawo).
– [Ibn Majah As-Sunan, 02/1208, Raqam-3662,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib,03/216, Raqam-3749.] – @[156344474474186:]
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey,…
# Hum Tamam Ko Apne Waliden Ka Farmabardar Ban’ne Ki Taufiq Ata Farmaye..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!