Hadees of the Day
Baat Baat par Laanat aur Baddua karne se Bacho
Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya
“Momin Naa tou Taana dene Wala Hota hai, Naa Lanat karne wala, Naa Fahash Bakne wala Behooda hota hai.”
Aulaad ki Tarbiyat – Part 8 J). Tarbiyat ka 10th marhala: Baap ka Kirdar Aulad …
Aulaad ki Tarbiyat – Part 7 I). Tarbiyat ka 9th marhala Maa ka Aham Kirdar …
Aulaad ki Tarbiyat – Part 6 G). Tarbiyat ka 7th marhala: Aulaad ke bich Adal …
Aulaad ki Tarbiyat – Part 5 E). Tarbiyat ka 5th marhala: Aulaad ki Raja’at (doodh …
Aulaad ki Tarbiyat – Part 4 C). Tarbiyat ka 3rd Marhala › Aulaad Ladka ho …
Aulaad ki Tarbiyat – Part 3 B). Tarbiyat ka 2nd Marhala › Allah se Nek …
Aulaad ki Tarbiyat – Part 2 Aulaad ki Tarbiyat kaise kare ? Ab aulaad ki …
Aulaad ki Tarbiyat – Part 1 Allah ke Naam se Shuru Jo tamam jahano ko …
Hadees of the Day
Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya
“Momin Naa tou Taana dene Wala Hota hai, Naa Lanat karne wala, Naa Fahash Bakne wala Behooda hota hai.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut (Death) ho Jayein to Allah Ta’ala us Rahmat ke Nateeje mein jo un Bachchon se Woh Rakhta hai Usey Jannat mein Daakhil karega.“
अक़ीका के अहकाम और मसाइल क़ुरआन और सुन्नत की रौशनी में | अक़ीक़ा का तरीका | Aqiqah kaise kare in Hindi
(1). अल्लामा अब्दुर्रहमान बिन जौज़ी (रह.), (2). बेहोशी से शिफ़ा पाना, (3). कज़ा नमाज़ों की अदायगी, (4). गुनाहों से बचने की दुआ, (5). मस्जिद की सफाई का इन्आम, (6). कुफ्र की सज़ा जहन्नम है, (7). माल व औलाद दुनिया के लिए ज़ीनत, (8). कब्र की पुकार, (9). बड़ी बीमारियों से हिफ़ाज़त, (10). जन्नत में दाखिल करने वाले आमाल…
Hazrate Ibrahim aur Ismayeel Alaihay Salam ki Qurbaani ka Azeem Waqia Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) …
Aaj ki Aayat | Verse of the day Jab Quran Parha Jaye tou Gaur se …
Aur Qayamat ke Din koi Dost kisi Dost ko Nahi Puchega. [Quran, Surah Al Marij 70:10]
Aaj ki Aayat | Verse of the day | 6 October Maal aur Aulad Fitna …
“आप माता-पिता बड़े “वह” हैं. छोटी गलतियों पर मुझे मारते पीटते रहते हैं बुरा भला …
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aboo Umama (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki, Ek Aadami Aaya Aur …
Aulad Ke Huqooq Waldain Par kya hai, Unki Tarbiyat kaisi ho aur Aulaad me Insaf kaise kiya jaye ?iske talluk se tafseeli jankari ke liye aayiye is bayan ka mutala karte hai,. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon karey,. jazakAllahu khairan kaseera.
Video Dekhe:
Aulaad ki Academical Talim me Waldain Ki aksar Shikayate aati hai, inhi me se 10 aham Shikayate aur Unke ilaj ke bare me tafseeli jankari ke liye is Bayan ka Mutala kare aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. jazakAllahu khairan kaseera.
Video Dekhe:
Ye Sabse Badi Wajah Hai Aaj Quraan Se Doori Ki – Ke Walidain Apni Aulad …
Jung-e-Badr Ka Wakiya Hum Sab Hi Jantey Hai, Jung-e-Badr Me Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay …
♥ Al-Quraan: Tumharey Pass Tum Hi Me Se Ek Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aaye Hai …
♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Muflisi(Garibi) ke Khauf se apni Aulaad ko Qatl na karo: Allah Rabbul …
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! » (Aye Imaanwalo!) Yakin Jaano Ki Tumhare Maal Aur Aulaad …
Behtareen Neki : Pareshan Logon Ki Madad Karna. Behtareen Sarmaya : Jo Aakhirat Ke Liye …
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) …
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Paak Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Apni Aulaad (Sons & Daughters) …
» Income Par Zakaat: Kiraye Par Chalne Wali Gaadiyo Par Zakat Wajib Na Hogi, Ha! …
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Ibne-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Mairvi Hai Ke, Huzur-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya …
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Aur Unsey (Biwi Se) Aacha Bartav Karo Fhir Agar Woh Tumhe …
♥ Mafhoom-e-Hadees: Riwayat Hai Hazrate Safwan Ibne As’aal Se Farmate Hai Ke, Ek Yahudi Apne …
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshaad Farmate Hain – “(Mardo Ne Nikah Ke Liye) …
» Aulaad Ke Liye Maa Baap Ka Paigaam « 1). Jis Din Tum Hame Budha …
✦ Hadith Roman Urdu: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: …
Siddeeqe Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq.
Aapki Wiladat 573 C.A. me Makka me hui. Waalid ka naam Usman Abu Quhafa ibn Amir aur Waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai.
Aap Quraish ke Banu Taym Kabeele se ta’aaluq rakhte hain. Aap ka Asal naam Abdullah hai.
Aapki Daawat aur mashware se bahut saare log Islam me dakhil hue, jin me Hazrat Usman ibn Affan, Zubair Ibn Awwam, Talha Ibn Ubaidullah, Abdur Rehman bin Awf, Sa’ad ibn Abi Waqqas, Abu Ubaidah ibn Jarrah, Abdullah bin Abdul Asad (Abu Salama), Khalid ibn Sa’id aur Abu Huzifah ibn Mughirah (RaziAllahu Anhuma) mashhoor hain.
Aap ne 8 Gulamo ko Aazad karaya jo Musalman ho gaye they. jin me Mardo me Hazrate Bilal Habashi ibn Ribah, Abu Fakih, Ammar ibn Yasir aur Abu Fuhaira aur Aurto me Lubainah, Nahdiah, Umm Ubais, Harisah bint Muammil shamil hain. is ke liye Aap ne 40,000 dinar kharch kiye.
Waalid ne kaha Tum Budhe aur Kamzor Gulamo ko Aazad karate ho jis se hume koi Faida nahi hoga.”
Aap ne farmaya “Main tou Allah ki Raza ke liye Musalmano ko Aazad karata hu.
12 Nabawi (621 C.A.) me Meraj ke baad Huzoor (ﷺ) Ashaba ko Meraj ki baaten bayan kar rahe they. Hazrate Abu Baqr (RaziAllahu Anhu) thoda der se aaye. Aap aakar Huzoor (ﷺ) ke qareeb jaakar bethe.
Huzoor (ﷺ) ne phir se shuru se pura bayan shuru kiya. Aur Hazrate Abu Baqr (R.A.) har baat par farmate ‘Sadaqata ya RasoolAllah (ﷺ).’
Huzoor (ﷺ) ne khush hokar Aap ko ‘Siddeeque Akbar’ ka Laqab ata farmaya yaa’ni tamam Siddeeque me sab se bada.
Aap ke baare me Pyare Aaqa (ﷺ) farmate hain ke,
9 Hijri me jab Hajj farz hua tou Huzoor (ﷺ) ne Aap ko Ameerul Hujjaj banakar Ashaba ko Aap ke saath Hajj ke liye bheja.
10 Hijri me Hajjatul Wida ke Mouqe par bhi Rasool’Allah (ﷺ) ke saath rahe. jab ye Aayat naazil hui ‘Aaj ke din hum ne tumhare liye tumhara deen mukammal kar diya aur tumhare liye deen-e-Islam pasand kiya.’ tou Ashaba khush hue ke Allah Ta’ala ne Deen-e-Islam ko mukammal kar diya.
Magar Aap Gamzada ho gaye. jab puchha gaya tou farmaya ke: Ye sahi hai ke Deen-e-Islam ko Allah Ta’ala ne mukammal kar diya hai. magar Deen mukammal hone ke baad mumkin hai ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) hum se Anqareeb parda (Rukhsat/Wafat) farmayenge. main ye sochkar ghamzada hu.
Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke wafat ke baad sab Ashaba Gamzada they aur Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ne tou farma diya tha ke – ‘Agar kisi ne mere saamne ye kaha ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka Inteqal ho gaya hai aur Aap (ﷺ) humare darmiyan me nahi hain tou mai talwar se uski Gardan kalam kar dunga.’
Aise mahoul me sab khamosh they tab Hazrate Abu Baqr uthkar aage aaye aur Khutba padhney ke baad Ashaba se farmaya ‘Agar koi Muhmmad (ﷺ) ki parastish karta ho tou wo jaan jaaye ke huzoor (ﷺ) inteqal kar gaye hain aur Jo Rabbe Muhammad (yaani Allah) ki ibadat karta ho tou wo jaan le ke Allah Zinda hai aur kabhi marne wala nahi.’
Huzoor (ﷺ) ke Wafat ke baad Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ke mashware par Aap ko khalifa banaya gaya. Aap 13 Rabi-Ul-Awwal 11 Hijri (8 June 632 C.A.) ko sab se pehle khalifa hue. Aap ka Dour-e-Khilafat 2 saal 4 maah ka raha.
11 Hijri (632 C.A.) me Junge Yamama me taqreeban 70 Ashaba Shaheed hue jo Haafize Qur’an they. Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ne Aap se farmaya ‘Iss tarah Haafize Qur’an kum hote rahe to Qur’an ki hifazat karna mushkil hoga. behtar hai ke hum Qur’an ko jama karke kitaab bana len.’
Iss tarah Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ke mashware se Qur’an Majeed ko jama karke kitaab banane ka kaam Shuru kiya gaya, jo Hazrate Usman Ghani ke Zamane me mukammal hua.
Aap ko 4 Biwiya, 3 Bete aur 3 Betiya thi.
• Sirf Aap Hi Aise Sahabi hain Jinke Waliden Aur Aulaad Bhi Ashaba Hain.
Wafat Aap ki 22 Jamaadil Aakhir 13 Hijri 23 August 634 CA ko 63 baras ki Umr me Madina me hui.
Namaze Janaza Hazrate Umar Farooq (RaziAllah Anhu) ne padhai. Aap ki tadfeen Roza-e-Rasool me Huzoor (ﷺ) ke bagal me ki gayi.
♥ Allah Rabbul Izzat Se Dua hai ke:
Allah Hum tamam ko Hidayat ata farmaye,
Hume Sirate Mustakim par chalaye,
Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
• Note: Likhne me koi khata hui ho tou Jarur Ba-Daleel humari Islah kare… Dua ki Darkhwast.
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya – “Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne …
♥ Al-Quraan: Surah-e-Al Kahf :: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Aur Jab Humne Farishton Ko Hukm Diya Ke …