❝Aye Imaan waalo! Tumhaari Doulat aur tumhaari Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na karne paye aur jo log aisa karenge, woh bade ghaate ka souda karne waale honge.❞
Sabko Allah Hi Ki Taraf Loutna Hai Allah Rabbul Izzat Ek Ayat Me Farmata Hai: ♥ Al-Quran: Aye Wo Logon Jo Imaan Laye Ho! Gour Se Suno Ke Allah Aur Uskey Rasool Jis Taraf Tumhe Bulatey Hai Uss Taraf Jao, Jab Ki Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uss Cheez Ki Taraf Tumhe Bulatey Hai Jo Tumhe Zindagi Deti Hai Duniya Aur Aakhirat Ki,.. Agar Tum Aisa Na Karoge Tou Jaan Lo Ke Allah Insan Aur Uskey Dil Ke Bich Me Aad Ban Jata Hai , Usko Hidayat Se Door Kar Deta Hai.. Aur Yaad Rakho Ke Palat Kar Allah Hi Ki Taraf Jana Hai Tum Sabko..”…
Al-Quran: Yaqeenan Allah tumhe Huqm deta hai ke tum… Quran: 15-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Aye Imanwalo!) Yaqeenan Allah tumhe Huqm deta hai ke tum Amaanatein un ke haqdaaro tak pohchaaon.' 📕 Surah An-Nisa 4:58
Aulaad Ke Liye Maa Baap Ka Paigaam ..... » Aulaad Ke Liye Maa Baap Ka Paigaam « 1). Jis Din Tum Hame Budha Dekho Tab Sabr Karna, Aur Hame Samajhne Ki Koshish Karna, 2). Jab Ham Koi Baat Bhul Jaye Tou Ham Par Gussa Na Karna Aur Apna Bachpan Yaad Karna, 3). Jab Ham Budhe Hokar Chal Na Paaye Tou Hamara Sahara Ban'na Aur Apna Pahla Qadam Yaad Karna, 4). Jab Ham Bimaar Ho Jaye Tou Woh Din Yaad Karke Ham Par Paise Kharch Karna, Jab Ham Tumhari Khwahishen Puri Karne Ke Liye Apni Khwahishen Qurban Karte The.
Al-Quran: Shaitan to yahi chahta hai ke Sharab aur Juwe ke… Quran: 09-July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟Shaitan to yahi chahta hai ke Sharab aur Juwe ke jarye tumhare darmiyan Dushmani aur Bugz ke beez daal de aur tumhe Allah ki Yaad aur Namaz se rok de.' 📕 Surah Maida 5:91
Allah ko chorrkar Aisi Cheez ko Na Pukarna jo Tumhe ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ “Aur Allah ko chorrkar Aisi Cheez ko Na Pukarna jo na Tumhe Nafa Pahuncha Sakti hai na hi Nuqsaan” – (Al-Quran 10:106) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ “और अल्लाह को छोड़ ऐसी चीज़ को ना पुकारना जो ना तुम्हे नफा पहुँचा सकती हैं ना ही नुक़सान “ – (अल कुरान, 10:106) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Nek Dost aur Burey Dost ki misaal ✦ Mafhum-e-Hadith: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Nek Saathi (Dost) aur Burey Saathi (Dost) ki Misaal mushk bechney waley Attar aur Lohar jaisee hai, Mushk Bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon me se ek na ek zaroor pa loge. ya tou Mushk hi kharid loge ya kum se kum Mushk ki khushbu tou zarur pa logey. Lekin Lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum badbu pa logey.❞ - Sahih Bukhari, Vol 3, 2101 ✦ Sabaq: Lihaza aise logo se dosti rakha karo jo tumhare…
Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me) *Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta'ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge. - (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Quran aur Namaz se Gaflat ka Anjam Quran aur Namaz se Gaflat ka Anjam ۞ HADEES ۞ Aap (ﷺ) ne Khawb bayan karte hue farmaya: "Jis ka Sir Pattar se kuchla ja raha tha wo Quran ka Hafiz tha, magar wo Quran se Gafil ho gaya, aur Farz Namaz padhey bagair so jaya karta tha." 📕 Sahih Bukhari; Hadith 1143
Agar Tum Sabr karo aur Allah se darte raho tou [ Al-Quran;… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Agar Tum Sabr karo aur Allah se Darte raho tou Inn (Mushriko, Dushmanan-e-Deen) ka Makkar Tum ko Zara sa bhi Nuqsaan nahi pohnchaa sakta." [ Al-Quran; 3:120 ]
Biwi Se Nek Sulook Kiya Karo ..... ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Aur Unsey (Biwi Se) Aacha Bartav Karo Fhir Agar Woh Tumhe Pasand Na Aaye Tou Kareeb Hai Ki Koi Cheez Tumhe Na Pasand Ho Aur Allah Uss Me Bahut Bhalayi Rakhey". - (Tarjuma Kanjul Emaan: Surah Al-Nisa, Ayat:19) » Tafsir: Yaani Ki Apni Biwi Ko Kisi Bhi Vajah Se Talaaq Dene Me Jald Na Karo Mumkin Hai Ki Rab Ta'ala Ussi Biwi Se Aisi Layak Aulaad De Jis Me Tumhare Liye Bahut Khair-o-Barkat Ho. - (Tafsire Nurul Irfaan)
Dunia me 4 Qisam ke Logo ki Niyato ka badla ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Kabshah Anmaari (RaziAllahu Anhu) se kehte hai ke, Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Mai tum se ek Hadees bayan karta hoon usey yaad rakhna" 1). Sadqa karne se kisi ke maal me kami waqai nahi hoti", 2). Jis kisi par Zulm hua ho aur woh Sabr kare tou Allah uski Izzat me Izafa farmata hai", 3). Jo Shakhs (logon se) mangna shuru kar de tou Allah uss par Fikr aur tangi ka darwaza khol deta hai (aur woh har qisam ke Maal-o-Doulat hone ke bawajood mangta phirta hai)" Phir farmaya "Ek aur baat bayan karta…
Quran Jadeed Science aur Muslim Scientist by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=OKcWeJCXrZI Quran Jadeed Science aur Muslim Scientist The Quran and Modern Science, quranic verses on science, quran and science discoveries, science in the quran, Big Bang in Quran, quranic verses about creation of universe, Quran on the creation of the universe, Biology of the Holy Quran, Life of plant in Quran, human creation in quran, embryology in quran, physiology in quran, oceanology in quran, Quran about oceanology Quran aur jadeed science, quran jadeed science aur muslim scientist, quran and modern science, muslim scientist, discoveries and inventions by muslim scientist, 1001 inventions muslim heritage in our world, Science In The Medieval…
Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Hadees of the Day Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs Maal wa Doulat badhaane ke Liye maangna shuru karta hai, to Allah Taala us ki Doulat ko us se bhi kum kar dega.❞ 📕 Musnade Ahmed 9624
Hiqayat (Part 16) » Nabi Hood (Alaihay Salam) • Allah Ta’ala Ne Hood (Alaihay Salam) Ki Nafrman Qoum Ko Saat (7) Din Aur Aath (8) Raat tak Shadeed Aandhee Ke Azaab Se Nest-o-Nabood Kar diya. Aziz Dosto ,…. Aaj Ham Hood (Alaihay Salam) Ka Ziqr Karenge. Hood (Alaihay Salam) Ek Qoum Jo Ki Aad Aram Ya Aad Aulaa Ke Naam Se Mashhoor Thi Unki Taraf Bheje Gaye. Ye Arab Ki Qadeem Tareen (Puraani) Qoum Thi. In Ka Ilaaqa Hajjaj Yamen Aur Omaan Ke Darmiyaan (Center) Me Tha, Aur Ab Ise Raabia Khaali Ke Naam Se Jaana Jaata Hai. Ye Ilaaqa Ab Sunsaan Biyaaban Registaan Hai, Jahaa Koi Aabaadi…
Zikr Azkar ki Fazilat Zikr ki Fazilat Quran me Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: Isliye tum mera zikr karo main bhi tumhe yaad karunga, meri Shukr Guzari karo aur Nashukri se bacho.❞ [Al-Baqra:2:152] Aye emaan waalo! Allah Ta'ala ka bahut ziyada zikr karo. [Al-Ahzaab: 22:41] Aur Allah Ta'ala ko ziyada yaad karne wale mard aur bahut ziyada yaad karne wali aurtain, Allah Ta'ala ne un ke liye maghfirat aur ajr-e-azeem tayyaar kar rakkha hai. [Al-Ahzaab 22:35] Aye insaan! Apne Rab ko apne dil mein aajzi aur khauf ke saath aur buland aawaaz ki nisbat past (dhimi) aawaaz ke sath subh-o-shaam yaad kar aur…