Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh (Quran 46:32)

Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh…

Aaj ki Aayat | Verse of the day

Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Taala ka farman hai:

“Aur Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Pas Woh Zameen mein Kahin (Bhaag kar Allah ko) Aajiz Nahi kar Sakta, Na Allah ke Siwa aur koi Uske Madadgaar Honge, Yeh Log Khuli Gumraahi mein hain.”

📕 Surah Al-Ahqaaf, 46:32

4.5/5 - (31 votes)
Jo Jaanbujh kar Farz Namaz Chorh de wo Allah ki Panaah se Nikal gaya

Jaanbhujkar Namaz chorne ka Gunah

Hadees of the Day

Jaanbhujkar Namaz chorne ka Gunah

Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne mujhe waseeyat farmayee ki:

“Allah ke saath kisi ko Sharik na karna chahe Tumhare tukde tukde kar diye jaye ya tumhe Aag mein jala diya jaye aur Farz Namaz ko jaan bujh kar kabhi mat chorhna kyunki jo jaanbujh kar Farz Namaz chorh de to Allah ke Zimme se bari ho gaya (yaani ab wo Allah ki panah mein nahi) aur Sharaab na peena kyunki Sharaab har burayee ki kunji (key) hai.”

📕 Sunan Ibn Maja, Jild-3, 915-Hasan

Read More

4.4/5 - (16 votes)
Pardey ki Ahmiyat

Pardey ki Ahmiyat aur Khawateen ki Ghaflat by Sis. Qamar Tafheem

Pardey ki Ahmiyat aur Khawateen ki Ghaflat by Sis. Qamar Tafheem

Khawatin ke Parde ki Ahmiyat ke ziman me Allah Taala ka hukm kya hai aur iske bare me Ilm na hone ki wajah se kis hadd tak Gaflat barti ja rahi hai.

Iske Talluk se Tafseeli jankari ke liye Mohtarma Aalima Behan Qamar Tafheem ke is bayan par gour karte hai.

Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. JazakAllahu khairan kaseera.

5/5 - (5 votes)
Quran padhne wale ki fazilat

Quran padhne Wale ki Fazilat

Hadees of the Day

Quran padhne Wale Nek Farishto ke Sath Honge

Aisha (R.A) se riwayat hai ki
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne me mahir ho,
tou wo Shakhs aise likhne wale (Farishto) ke saath hoga.
jo Buzurg aur Nekokar (Kiramin-Bararah) hain.

Aur Jo Shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai tou
usko Dohra (double) Ajar milega.”

📕 Jami’at Tirmidhi, Hadith#813

♥ Subhan’Allah !
Allah Rabbul Izzat hum Sabko Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey !!!

5/5 - (4 votes)
01st Ramzan | Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they [Al-Quran: 2:183]

Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye

Ramadan Day 01

Tum par Roze farz kiye gaye Taaki Taqwa Ikhteyar karo

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:

❝ Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye,
jaise tumse pichali Ummato par humne farz kiye they
ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.❞

📕 Surah Baqrah 2:183

4.9/5 - (122 votes)
Maa Baap ke liye Dua

Maa Baap ke liye Dua

Maa Baap ke liye Dua

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

‟Maa Baap ke liye yeh Dua karo ke
‘Aye mere Rab! Jis tarah unhone mere bachpan me
mujhe pala hai tu bhi unke saath rehmat ka
muamla farma.’

📕 Surah Al-Isra 17:24

4.1/5 - (15 votes)
Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo [Quran 28:77]

Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Allah ke fazl se Aakhirat ka ghar banane ki koshish karo

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

❝Allah ne tumhe jo kuch de rakha hai, uske zariye Aakhirat waala ghar banaane ki koshish karo aur duniya me se bhi apne hisse ko nazar andaaz na karo.❞

📕 Surah Al-Qasas 28:77

5/5 - (4 votes)
Azan ke baad ki Dua | Sahih Hadees ki roshni mein

Azan ke baad ki Dua | Nabi ﷺ ke liye Waseele ki Dua

Azan ke baad ki Dua 

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،
آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ

Allahumma Rabba Hadhihi D-Dawatit-Tammaa
Was-Salatil Qaimah, 
Aati Muhammadan Al-Wasilata Wal-Fazilah,
Wabaathhu Maqaman Mahmudan
il-Ladhi Waadtah

तर्जुमा : ऐ मेरे अल्लाह जो इस सारी पुकार का रब है और कायम रहने वाली नमाज़ का भी रब है, नबी-ऐ-करीम मुहम्मद (ﷺ) को क़यामत के दिन वसीला अता फ़रमा और मुकाम-ए-महमूद पर उनका क़याम फर्मा जिसका तूने उनसे वादा किया है।

📕 Sahih Bukhari, Vol 1, 614

Read More

5/5 - (13 votes)

इस्लाम सुलह और शांति सिखाता है

मफहूम-ऐ-हदीस ﷺ

अल्लाह के नबी (सलल्लाहो अलैहि वसल्लम) ने एक रोज़ सहाबा से फ़रमाया:

“क्या मै तुम्हे उस चीज़ के बारे में न बता दू जिसका दर्जा रोज़े , नमाज़ , सदके से भी ज्यादा ?” लोगो ने जवाब दिया: ए अल्लाह के रसूल! हमे जरुर बताये!

आप (सलल्लाहो अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया:

“उन लोगों में सुलह और शांति करा देना जिनमे फूट पड़ी हो, यक़ीनन आपस में नाइत्तेफाकी और लडाई बर्बादी लाने वाली चीज़ है.”

📕 सुनन अबू दावुद, किताब-अल-अदब, हदिस ४९१९

अफ़सोस की बात है के
आज हमने दींन का पैगाम अपने गैरमुस्लिम दोस्त और भाइयो को नहीं बताया यही वजह है के उन्होंने इस अमन के दींन का मुआज़ना दहशतगर्दी से कीया, ‎अल्लाह‬ हम सब को इखलास के साथ दावते इस्लाम पोहचाने की तौफीक दे !

5/5 - (2 votes)
Quran 22:11 | Baaz log Kinare par khade hokar Allah ki ibadat karte hai

Baaz log Kinare par khade ho kar Allah ki ibadat karte hai

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Baaz log Kinare par khade ho kar Allah ki ibadat karte hai

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Aur Baaz Log Aise hai Jo Allah ki Ibaadat Kinare par Khade ho kar karte hai, Agar Unhe Faida Pahuncha tou Mut’mayin honge, 
aur Agar Musibat Aa Padi tou Usi Waqt Mooh Ferlia,
Ye Dunia Wa Aaqirat Dono me Nuksaan Utaane Wale hai, Aur Yahi Khula Nuksaan hai”

📕 Al-Quran, Surah Hajj 22:11

Lihaja Allah ki taraf se aane waali har Aazmaish me poora Utarna aur Allah aur Uske Rasool (ﷺ) ke Ehkamat ke tabey rehna humpar wajib hai. Allah Taala hume Amal ki toufiq de.

Ameen! Allahumma Ameen

5/5 - (3 votes)
Maghfirat ki Dua | मगफिरत की दुआ | Qurani Dua-6

Maghfirat ki Dua | Qurani Dua-6

Maghfirat ki Qurani Dua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ رَبَّنَا لاَ تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا ❛ …

Read More

Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ?

Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge?

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Allah ki Madad Qareeb hai

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

—✦ TRANSLITERATION ✦—

“Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ?
halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,
Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke
“Allah ki madad kab aayegi ?”
(phir unhe tasalli di gayi ke)
Haa! Allah ki Madad Karib hai.”

📕 Al Quran 2:214

Read More

4.4/5 - (26 votes)
Kullu Nafsin Zaikatul Mout meaning

Har Nafs ko Mout ka Maza chakhna hai ( Kullu Nafsin Zaikatul Mout )

Verse of the Day | Aaj ki Aayat

Kullu Nafsin Zaikatul Mout

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai:

❝ Har jaandar ko mout ka mazaa chakhna hai (Kullu Nafsin Zaikatul mout)
aur tumhe Qayamat ke din purey purey badley milenge,
phir jo koi Dozakh se door rakha gaya aur Jannat me dakhil hua so wo pura Kamiyab hua, Duniya ki Zindagi tou dhokey ke Maal ke siwa kuch bhi nahi hai.❞

📕 Surah Aal-e-Imran 3:185

Read More

4.6/5 - (9 votes)
Meri Namaz Roza Qurbani sab Allah ke liye hai.jpg

मेरी नमाज़, क़ुरबानी, मेरा जीना मरना सब कुछ अल्लाह के लिए है

۞ बिस्मिल्लाह-हिर्रहमान-निर्रहीम ۞

मेरी नमाज़, क़ुरबानी, मेरा जीना मरना सब कुछ अल्लाह के लिए है

“आप फ़रमा दीजिए बेशक! मेरी नमाज़ मेरी कुर्बानी मेरा जीना मेरा मरना सब कुछ अल्लाह ही के लिए है जो सारे जहान का मालिक है।”

📕 क़ुरआन; सूरह अल अनआम 6:162

4.7/5 - (12 votes)
Us Qayamat ke din se Daro

Uss Qayamat ke din se Daro …

Uss Qayamat ke din se Daro

✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦

Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:

“Us Qayamat ke din se Daro jab na koi jaan kisi jaan ke kaam aayegi.”

📕 Al-Quran; Surah Baqrah 2:48

© HindiQuran.in

5/5 - (2 votes)
Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega

Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega

Aaj ki Aayat | Verse of the day

Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Ta’ala farmata hai:

“Aur Jis Shakhs ka Aamaal Naama Uski Peeth Piche se diya Jayega, tou woh Maut ko Bulane Lagega, aur Bhadakti huyi Jahannam mein Daakhil hoga.”

📕 Quran 84: 10-12

Rate this post