Islamic Quiz 142 Wo Kounsi Surah hai Jiski Tilawat 1/3 Quraan Padhne ke Barabar hai? A. Surah Al-Fatiha (1) B. Surah Yasin (36) C. Surah Al-Mulk (67) D. Surah Al-Ikhlas (112) GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Surah Al-Ikhlas (112) Daleel : Hadees: Abu darda (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Kya thak jata hai tum mein se koi is baat se ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ?"Sahaba ne arz kiya ki 'Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey padhh saktey hain ?'Aap (ﷺ) ne farmaya: "Qul Huwallahu Ahad…
Islamic Quiz 133 Wo kya hain jo kuch log ussey durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein hi chahenge? A. Namaz B. Zikr C. Amaal D. Quraan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Quraan Daleel : Hadees: Jabir (R.A) bayan karte hain, RasoolAllah (ﷺ) hamarey paas tashreef laaye to hum Quran padh rahe they aur hum mein Arabi aur ajmi bhi they, Aap (ﷺ) ne farmaya padho sab theek hain anqareeb aisey log aayenge jo usse is terhan (mubaligha ke saath) durust karenge jaisay teer durust kiya jata hain.…
Islamic Quiz 255 Quran Kareem mein Surah An-Nisa hai, ismein An-Nisa ka matlab kya hota hai ? Options Are 👇 A. Aurtein B. Mard C. Bacche D. Farishte GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Aurtein Surah An-Nisa Quran ki 4th surah hai aur iska matlab hota hai "Aurtein". Is surah mein Aurton ke Huqooq, Nikah, Talaq, Wirasat aur Maal ki Hifazat jaise mouju par insaniyat ki rehnumayi ki gayi hai. 📕 Surah An Nisa Allah Rabbul izzat hume kehne sunne se jyada amal ki taufik de. Ameen.
Islamic Quiz 242 Wo Kaunsi Cheez hain Jo Aadmi ko Qabr mein aur Oont (Camel) ko Handi mein Utar deti hain? Options Are 👇 A. Zinaa B. Takabbur C. Sharabnoshi D. Nazar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D) ✅ Nazar Daleel : ۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hain: "Nazar Aadmi ko Qabar mein Daqil Kar deti hain aur Oont ko Haandi mein." 📕 Al Silsila Tus Sahiha 2325
Islamic Quiz 131 Wo Kounsa Amal hai jo darje mein Namaz Roze aur Zakat se bhi badhkar hain? A. Nafeel Namazo ki Qasrat B. Sadqa Khairaat C. Jhagadne walo me Sulah kara dena D. Sahih Jawab ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Jhagadne walo me Sulah kara dena Daleel : Hadees: Abu darda (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Kya main tumhe wo amal na batauu jo darje mein Roze, Namaz aur zakat se badhkar hai. logon ne kaha , jarur bataeeye, to RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Jhagadne walo mein sulah kara…
Islamic Quiz 202 Kounse Do Gunaah hain Jiski Saza Duniya mein hi Mil jati Hain? A. Shirk o Bidat B. Riyakari Rishwath C. Zulm Aur Qata Rehmi D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Zulm Aur Qata Rehmi Daleel : ۞ Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Koi Gunaah Is Layeq nahi ke Allah Taala Uski Saza Duniya mein bhi Jaldi Dede aur Uske Saath Saath Aakhirat mein bhi Jama Rakhe Jaise ke Zulm O Zyadati aur Qata Rehmi." 📕 Sunan Abu Dawood 4920
Islamic Quiz 249 Quran Majid ke mutabiq in me se kounsa mahina hurmat wala hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rabbi Ul Awwal C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : Quran me Majid ki Surah Tauba 9:36 me 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek “Muharram” hai. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Saal baarah mahine ka hota hai, us mein chaar hurmat ke mahine hote hain, teen to ek ke baad ek Zil Qada, Zil Hijja aur Muharram aate hain aur ek Rajab jo Jumadal Aakhir aur…
Islamic Quiz 205 Saari Makhlooq mein sab se Boore Log Koun hai? A. Zaani B. Bakheel C. Qabro Par Masjid Banane Wale D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Qabro Par Masjid Banane Wale Daleel : Hazrat Ayesha (R.A) se riwayat hai ki, jab Nabi Kareem (ﷺ) bimar pade to Aap (ﷺ) ki baaz biwiyo (Umme Salma R.A aur umme Habiba R.A.) ek Girje ka zikr kiya jise unhone Habsha mein dekha tha jiska naam Mariya tha. Umme Salma aur Umme Habiba (R.A) dono Habash ke Mulk mein gayi thi unho ne uski…
Islamic Quiz 272 Kounse Nabi ki biwi ke baare me Allah ne farmaya ke: “Wo Dozakh ki Aag me jalegi aur Wo Nabi bhi unko bacha nahi sakte?” Options Are 👇 A. Nooh (A.S) ki Biwi B. Zulqarnain (A.S) ki Biwi C. Loot (A.S) ki Biwi D. Zulkifl (A.S) ki Biwi GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A & C ) ✅ Nooh (A.S) ki Biwi aur Loot (A.S) ki Biwi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quran me farmata hai: "Allah ne kafiron ke liye Noooh (A.S) ki biwi aur Loot (A.S) ki biwi ki misal bayan farmayi hai, dono…
Islamic Quiz 186 Meraj ke Waqt Nabi (ﷺ) ne Aise logon ko dekha jin ke Pait mein Saanp bhare huwe they ye log koun they? A. Sharab peene wale B. Zina Karne wale C. Sood khane wale D. Gheebat karne wale GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Sood khane wale Daleel : ۞ Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝Jis Raat mujhe Meraj hui mera guzar ek aise giroh par huwa jin ke pait Ghadon ki tarah hain aur un mein Saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, Mai ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun…
Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Islamic Quiz 181 Woh Kounsi Surah hai jiski Ek hi Aayat mein Allah Subhanahu ke 9 naam liye gaye hain? A Surah Aal-e-Imran B Surah Al-Hashar C. Surah Baqrah D Surah Anbiya GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Surah Al-Hashar Daleel : Surah Al-Hashr ki Aayat 23 me Allah Taala ke 9 Naam aaye hai. هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْمَلِكُ الْقُدُّوسُ السَّلَامُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيزُ الْجَبَّارُ الْمُتَكَبِّرُ ۚ سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يُشْرِكُونَ 1. Allah2. Al-Malik3. Al-Quddus4. As-Salam5. Al-Muameen6. Al-Muhaimeen7. Al-Aziz8. Al-Jabbar9. Al-Mutakabbir 📕 Al-Quran, Surah Al-Hashr
Islamic Quiz 156 Wo Kounsi Neki Hain Jisko Karne ki Tamanna Insan Maut ke Waqt Karega Jiska Zikr Surah Munafiqoon mein hain? A. Quran Padhne ki B. Namaz Pardhne ki C. Sadqa Karne ki D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Sadqa Karne ki Daleel : ۞ Allah Taala Quraan me farmata hain – "Aur Jo kuch Humne Tumhe de rakha Hain is mein se (Humari Raah mein) Isse pehle Kharch karo ke Tum Mein se kisi ko mout Aajaye toh kehne lage Aye Mere Parwardigaar Mujhe Tu Thodi der ki Mohlath kyun…
Islamic Quiz 257 Allah Taala ko apne bande ka Kaunsa Amal sabse Zyada pasand hai ? Options Are 👇 A. Waqt par Namaz padhna B. Waqt par Quran padhna C. Wakt par Umrah Karna D. Wat par Zakat dena GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Waqt par Namaz padhna Abdullah bin Masood (R.A) ne RasoolAllah ﷺ se pucha, "Kounsa kaam ALLAH ko sabse ziyada pasand hai?" Aap ﷺ ne farmaya "Waqt par Namaz Padhna" , pucha ki phir kaunsa ? farmaya "Waldein ke saath achcha suluk karna", pucha ki phir kaunsa ?Aap ﷺ ne farmaya ki "ALLAH…
Islamic Quiz 213 Koun se Nabi ko Unki Maa ne Allah ke hukm se darya mein baha diya tha? A. Nabi Yaqub (A.S) B. Nabi Yusuf (A.S) C. Nabi Musa (A.S) D. Nabi Isa (A.S) GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Nabi Musa (A.S) Daleel : Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur humne Musa (A.S) ki Maa taraf wahee nazil farmayee thi ki agar tumhe apne bete ki jaan ka khauff ho tou usko dariya mein baha dena aur koi khauf ya gam mat karna, beshak hum usko tumhare paas wapas pahucha denge aur (phir) usko…