Kaunsi Dawat Me Jaana Jayaz Nahi ? .... » Sawaal: Aisi Kaunsi Dawat Hai Jisme Rasool'Allah Ne Jaaney Se Manaa Farmaya Hai? ♥ Jawaab: Hadees-e-Nabwi Me Aata Hai Ke : - Abu Dawood Ne Akrima Se Riwayat Ki, Aise 2 Shakhs Jo Muqabla Wa Tafakhra (Ghuroor Aur Naaz) Ke Taur Par Daawat Karey, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Unke Yaha Khaane Se Manaa Farmaya Hai. - (Sunan Abi Dawood, Kitab, UtTaami, Baab, Jild 3, Page.483, Hadees-3754)
Islamic Quiz 182 Wo Kaunsi Surah Hain Jiske Bagair Namaz Mukammal Nahi Hoti? A. Surah Ikhlas B. Surah Yasin C. Surah Fateha D. Surah Falaq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Surah Fateha Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Surah Fateha na padhi uski Namaz nahi hui." 📕 Sahih Bukhari 756
Islamic Quiz 172 Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain? A. Fajr aur Zohar B. Fajr aur Asr C. Fajr aur Maghrib D. Fajr aur Isha GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Fajr aur Isha Daleel : ۞ Hadees: Ubayy ibn Ka’b (R.A) se rivayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Ye do Namazein ( Fajar aur Isha ) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do Namazon ka kitna Sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey.” 📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan
Islamic Quiz 260 Wo Kaunsi Masjid hai jaha Namaz ada karne se ek Umrah karne ka sawab milta hai? Options Are 👇 A. Masjid e Aisha B. Masjid e Aqsa C. Masjid e Nabwi D. Masjid e Quba GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Masjid e Quba Hadees: Sahl bin Hunaif (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Jo apne ghar mein paak hokar Masjid Quba mein aakar namaz ada kare usko umrah karne ke barabar ajar milega." 📕 Sunan ibn Majah, Vol. 1, 1412-Hasan
Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Islamic Quiz 176 Wo Kaunsi Cheez Hain Jise Dekh Kar Mikaeel (A.S) Kabhi Hase Nahi? A. Qabar Ka Azaab B. Jahannum C. Maidan-e-Mehshar ki Haulnaki D. Qayamat ke Baare Mein Sunkar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Jahannum Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Jibraeel (As) se farmaya:"Maine Kabhi bhi Mikaeel (A.S) ko Haste Hue nahi dekha." "Jibraeel (As) ne farmaya Jab se Jahannum Paida ki Gayi Mikaeel (A.S) Hase nahi." 📕 Al Silsila Tus Sahiha 3165 ♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez Allah Taala hume Azab-e-Jahannum se bachaye,Hume Jannat ka Mustahik banaye. Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda…
Islamic Quiz 159 Kaunsi Cheez Jannat me Jaane ki Zyada Wajah Banegi? | A). Raaste se Takleef deh cheez hatana | B). Nafil Roze Rakhna | C). Aulad ki Tarbiyat Karna | D). Allah ka Darr aur Acche Akhlaq
Islamic Quiz 269 inmein se Quran ki wo kaunsi surah hai jiski "pahli aayat uske naam se shuru hoti hai ?" Options Are 👇 A. Surah As-saff B. Surah Taha C. Surah Nooh D. Surah Al Qiyamah GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Surah Taha ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Surah Taha Quran ki 20th Surah hai jiski pahli aayat ki shuruwat me hi Taha ka lafz aata hai." 📕 Surah Taha 20
Islamic Quiz 259 Wo kaunsi Qaum hai jis par Allah ka Azab 7 raat aur 8 din tak lagatar aata raha ? Options Are 👇 A. Qaum e Aad B. Qaum e Samud C. Qaum e Loot D. Qaum e Nooh GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Qaum e Aad Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aur Aad inko nihayat tez aandhi se tahas nahas kar diya, ALLAH ne usko 7 raat aur 8 din lagatar un par chalaye rakha, (agar tum us waqt moujud hote) to us qoum ko aisa gira hua (mara…
Quraan-e-Kareem ..... ♥ Quraan-e-Kareem ♥ 22 Saal, 2 Maah, 22 Din Me Nazil Hua aur Isme Siparey → 30 Sajdey → 14 Manzil → 7 Surtein → 114 Makki → 86 Madni → 28 Ruku → 540 Aayat → 6236 Huroof → 323760 Zabar → 53243 Zer → 39582 Pesh → 8804 Madd → 1771 Tashadid → 1243 Nuqtey → 105681 1. Sawaal: Quraan Majid Me Waqfe Laazim ( ﻡ) Kitne Hain ? » Jawaab: Quraan Majid Me Kul 87 Waqfe Laazim Hai. Waqfe Laazim Ka Matlab Ye Hai Ki Quraan Shareef Ki Jis Aayat Me Memm (ﻡ) Ki Shakal Me Nishaani…
Deen e Islam par Qayam rahne ki dua ♥ Mafhoom-e-Hadees: Shahr bin Hawshab (R.A.) se riwayat hai ki maine Umm Salma (R.A.) se pucha ki "Aye Ummul Momeenin! RasoolAllah (ﷺ) aapke pass jab rahte to aksar kaunsi Dua kiya karte they ? Unhone jawab diya - "Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak" (Aye Dilo ko pherne wale(Allah) mere Dil ko tere deen par qayam rakh) Phir farmane lagi ki maine Rasool'Allah (ﷺ) se arz kiya ki aap aksar yahi dua kyu kiya karte hain ? ,. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Aye Umm Salma (RaziAllahu Anha) ! koi Shakhs aisa nahi ki uska Dil Allah ki do ungliyo ke…
Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Islamic Quiz 229 Allah Ta’ala ko Humaari Qurbaniyon ka kounsa hissa pahunchta hai? Options Are 👇 A. Khoon B. Gosht C. Taqwa D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Taqwa Allah Ta’ala ko Humhari Qurbaniyon se Sirf Taqwa (Parhezgaari) Pohochta hai. Daleel : ۞ Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai: “Allah Ta’ala ko Tumhari Qurbaniyon ka Gosht nahi pahunchta, Na un ke khoon balki usey to tumhaare dil ki parhezgaari (Taqwa) pahunchti hai.” 📕 Surah Al-Hajj; 22:37 Download Reel Coming Soon ...
Islamic Quiz 143 In me se Imaan aur Kufr ke Darmiyaan Farq karne waali Cheez kya hai ? A. Roza Chorrna B. Hajj Nahi Karna C. Sadqa Nahi Dena D. Namaz Ka Chorna GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Namaz Ka Chorna Daleel : Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Iman aur Kufr ke Darmiyan farq karne waali cheez Namaz hai." 📕 Jami At-Tirmidhi: 2618
Islamic Quiz 206 Apne Walid ko Chod ke Kisi aur ko Walid Kehna kaisa hain? A. Bola Ja sakta hai B. Saghirah Gunah hai C. Sab se bada Bohtan hai D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Sab se bada Bohtan hai Daleel : Wasila bin asqa bayan karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sab se bada Bohtan aur Jhut ye hai ki aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna Baap kahe." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3509