Badshaguni Shirk hai
Abdullah-bin-Mas’ud (R.A.) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya,
“Badfaeli (Badshagooni Me Yaqeen Karna) Shirk hai, Kisi Ko Badfaeli Ki Waham ho tou (Usey Chahiye) Allah Subhanahu Wa Ta’ala par bharosa kare, Allah Subhanahu Wa Ta’ala Uss Bharose ki wazah se Usko door farma dega.”
📕 Sunan Ibne Majah, Jild : 3, Hadees: 419
📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 511-Sahih
Badshaguni se bachne walo ka inaam
Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Meri ummat ke 70,000 log bina hisaab ke jannat me jayenge, ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karaate hain aur na Shagoon lete hain (yaani acche aur bure shagoon me yakeen nahi karte) aur apne RAB par hi bharosa karte hain.”
📕 Sahih Bukhari, Vol 7, Hadees 6472
✦ Note: Badshaguni yaani koi kisi buri baat par yakeen karke us kaam se rook jaye jaise kaali billi ke raasta kaat jane se kuch bura hoga agar koi aisa sochta hai tou wo Shirk hai kyunki usko Allah aur uski taqdeer par yakeen nahi.