♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke,
Ek dehati Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki khidmat me hazir hua aur arz kiya
“Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)! meri biwi ne kaaley rang ka baccha jana hai aur maine uska inkaar kar diya, ..”
Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne uss dehati se daryaft kiya “kya Tumhare paas Uoonth hai ?”
Dehati ne arz kiya “Ji haan!”
Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne daryaft kiya “Uska Rang kya hai?”
Dehati ne arz kiya “Surkh rang ke hain…”
Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne daryaft kiya “kya unme koi Qaaki Rang wala bhi hai?”
Dehati ne arz kiya “haan!”
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Wo kaha se aa gaya?”
Usne kaha “Aye Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Shayad kisi Rang ne usko Ghaseet liya hoga (yaani oonth ki uper Wali nasal me se koi oonth Kaaley Rang wala hoga) ,..”
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Ho sakta hai ke Usko (Tumhare Bacche me bhi) Kisi Rang ne Ghaseet liya ho.(Yaani Tumhara inkaar karna durust nahi),..”
– (Sahih Muslim 1500 , In-book refe:Book 19, Hadith no. 26)
# Sabaq: Yaani ke Kisi Bacche ka Rang Apne Walidain Se Milta Julta Na ho Tou Isme Hairanghi Ki baat Nahi, mumkin Hai ke Uska Rang apne Nanhiyal ya dadhiyal me se kisi par gaya ho ,..
Tou Nanhiyal aur Dadhiyal ka Asar Mumkin Hai Bacche Par Lihaja Aisi Choti Choti Baato Ki Buniyad Par Biwi Ke Kiradar par Shaq Karna Durust Nahi ,..