Takkabur kise kehte hai ?
Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai.
✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki “Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai.” [Sahih Muslim: Hadith 91]
Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai:
1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis ke jo munkir huwa aur guroor kiya aur kaafir ho gaya. ❞ [Surah Baqrah 2:34]
2). ❝ Takkabur se apne Nafs ki pakizagi na jataya karo, jo parhezgar hain usko Allah khoob jaanta hai. ❞ [Surah Najm, 53:32]
✦ Qaul: Hazrate Abu Bakr Siddhiq (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke: “Bhala Wo Shakhs kis tarha Takabbur kar sakta hai, Jo Mitti se bana ho, Mitti me milne wala ho aur mitti me Keede-Makore ki gizah ban’ne wala ho.
Tou Malum hua Takabbur karna insan ko zeba nahi deta jabki agar koi takabbur karne ka haq rakhta hai to wo hai sirf Allah subhanhu taala ki jaat, AL–MUTAKABBIR yaani sabse aala, yeh Allah ki sifat hai. kyunki wahi tamam zahano ko banane wala aur palne wala hai.
Allah Ta’ala hum tamam ko Takabbur se bachaye aur aazizi inkesari ikhteyar karne ki taufik ata farmaye. Ameen Allahumma ameen…