Tawheed aur Shirk ki Haqeeqat

۞ TAWHEED

Tawheed ka matlab hai “Ek” janna aur “Ek” man’na. Tawheed se muraad Allah ko uski zaat, sifaat, uski ibadat aur uske huqooq me munfarid, yakta aur bemisaal maan’na.

Quraan-o-Hadees ki roushni me Tawheed ki 3 kisme hai.

1. Tawheed-e-Ruboo’biat,
2. Tawheed Asma’wa’sifaat,
3. Tawheed Ulu’hiat ya Tawheed Al’ebaada.

1. Tawheed-e-ruboo’biat:

is se muraad “Allah ko Qayenat ki har cheez ka Khaliq, Malik, Raziq aur tamaam umoor ki tadbeer karnewala man’na.”

(Aye Nabi) Aap (In Mushrikeen se) poocho ke tumko Aasman aur Zameen me Rizq koun pahunchata hai, ya tumhare kaano aur aankho ka Maalik koun hai aur Jaandar ko Bejaan se aur bejaan ko Jaandar se koun nikalta hai, aur tamaam kaamo ka intezaam koun karta hai, wo fauran kahenge ke (ye sub kaam karne wala) Allah hai. tou unsey pucho ke phir tum(Allah se) darte kyon nahi.❞

Al-Quran; Surah Yunus 10:31

Is aayate mubarak se pata chala Mushrikeen-e-Makka Tawheed’e’ruboo’biat ko mantey they.

2. Tawheed Ulu’hiat:

Tawheed Ulu’hiat se muraad ye hai ke Allah hee Haqeeqi aur akela mabood hai. yahi wo Tawheed hai jisko Mushrikeen-e-Makka samet har daur ke Mushrik Maan’ne se inkaar karte rahe. Namaz, Roza, Haj, Qurbaani, Dua, Nazr wa Niaz sirf Allah ke liye ho.”

Aur (Aye Logon!) Tumhara Mabood tou bus ek hee hai, Uske alawa koi ibadat ke layaq nahi, wo bahut Raham karnewala aur Meharbaan hai.” (Al-Quran; Surah Al-Baqrah 2:163)

3. Tawheed Asma’sifaat:

Tawheed Asma’sifaat se muraad ye hai ke Allah ke unn sab Asma aur Sifaat ka iqraar kiya jaye jin se Allah ne Quran me apne aap ko mousuf kiya ya Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Aahadees me unka zikr kiya aur Allah ke Asma aur Sifat me kisi ko Shareek na kiya jaye.

Jaise Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmaya:

Aye Iblees tujhe usey sajda karne se kis cheez ne roka jisey maine khud Apni Qudrat se paida kiya. (Surah Sad 38:75)

Rehmaan Arsh par Qayim hai. (Surah Taha 20:5)

Allah ne Musaa (Alaihay Salam) se Qalaam kiya. (Surah An-Nisa 4:164)

Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Aahadees me farmaya ke:

Hadith: Allah Aasmaani Duniya par Nuzool farmata hai. (Muslim:758)

Allah ke Asma wa Sifaat ko Haqeeqat par Mahmoul karte huye kisi Qisam ki taweel, kaifiat, tateel aur tamseel ke bagair emaan lana Tawheed Asma wa Sifaat hai.

• Deen-e-Isalm Ki Dawat Ka Sahi Tarika ye hai ke Dawat ka aagaz Tawheed se kiya jaye. Logo par Tawheed aur Shirk ke Fark ko wazeh kiya jaye.

Hadith: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Pahli cheez jis ki taraf logon ko Dawat di jaye wo Kalma-e-Shahadat hona chahiye.” Yaani ye ke log Allah hi ko Ilaah waahid maaney.” (Bukhari:1395, Muslim:19)


SHIRK

Shirk ka logvi maani hota hai Sharik karna aur Sharai aitbar se Shareek ka matlab hota hai ke Allah Ta’ala ki “Zaat” ya phir “Sifat” me kisi ko Sharik karna.

Hadith: Sabse Badaa Gunaah ye hai ke tu Allah ke Saat kisi ko Shareek karey halan ke uss(Allah)ne tujhe paida kiya.”  (Bukhari 4477, Muslim 86.)

Al-Quran: Allah ke saath Shirk na karna. beshaq Shirk Badaa bhari Zulm hai.  (Surah Luqman 31:13)

Lihaza Shirk se Bachey aur Tawheed Mouhid parast baney.

Shirk ke Nuqsanat:

Shirk jaise Kabira Gunaah ke Anzam ke barey me Quraan-e-Kareem me farmaya ki:

Jisney Allah ke sath kisi ko Shareek tehraya, Allah ne uspar Jannat Haraam kar diya. uska thikhana Jahannum hai aur Zalimo ka koyi madadgar na hoga.(Al-Quran; Surah Al-Maida 5:72)

Hadith: “Jo koyi iss haal me Marey ke wo Allah ke siwa kisi aur ko pukaarta ho tou wo Jahannum me dakhil hoga.” (Bukhari 4497, Muslim 92)

• Shirk Karne wale ko Uske Nek Aamal fayda nahi denge:

Nek Aamal (Jaise Sadqa, Khairat, Namaz, Roza,…) Aqeede Shirk ki Moujoodgi me beqaar ho jate hai aur Allah ke yaha Qabil Qabool nahi rehte. Chunache Allah ne 18 Jaleel-ul-Qadar Ambiya(Alaihay Salam) ka Naam leney ke baad farmaya: ❝ Aur Agar Unn Logon ne Shirk kiya hota tou Unkey bhi Sab Aamal Zaya ho jatey.(Surah Al-An’am 6:88)

• Kya Musalman bhi Shirk kar sakta hai?

Aksar ye Sawal bhi log karte hai ke ‘La’ilaaha’illAllah Muhammadur RasoolAllah Padh ne wala bhi Mushrik ho sakta hai ?’ to aayiye iske talluk se bhi galatfehmi ka ijala kar lete hai.

Hadith: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Tum Yaqeenan Apne se pehli Ummato ki pairwi karoge aur pehli Ummato se aapki Muraad Yahood wa Nasara hai.” (Bukhari.3456, Muslim.2669)

Kya tum ne unhe nahi dekha jinhe Kitab ka kuch hissa mila hai ke wo Boot aur Tagoot par emaan laate hai.” (Al-Quran; Surah An-Nisa 4:51)

Hadith: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne kaha: “Qayamat Uss waqt tak Qayam na hogi jab tak Meri Ummat ki ek Jamaat Mushriko se na jaa Miley aur meri Ummat ke bahut se log Boot Parasti na karey.” (Tirmizi 2219)

• Jab kisi Qabr ki Parashtish ho tou usko Boot-Parasti kaha jayega:

Hadith: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Aye Allah! Meri Qabar ko Boot na banana jiski ibadat ki jayey. Allah ka uss Qaum par sakht Gazab nazil hota hai jo Apne Nabiyo ki Qabaro ko Ibadat-Gaah bana letey hai.” (Muwatta Imaam Malik 9:88)

Hadith: Maa Aisha (RaziAllahu Anhu) farmati hai ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne aakhri waqt me farmaya: “Yahood wa Nasara par Allah ki Laanat ho, Unhone apne Ambiya ki Qabro ko SajdaGaah bana liya”. Agar Iss baat ka khouf na hota ke (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Qabar ko bhi Sajda Gaah bana liya jayega tou Aap ko band Hujrey me Dafan na kiya jata aur Aap ki bhi Qabar khuli hoti. (Bukhari.1390, Muslim.529)

Muashre me Shirk failne ki ek aham wajah ye hai ke Shaitan Awliya Allah se Muhabbat ko Aad banakar Guloo karwata hai. Qaum Nooh ko dekhiye –

Hadith: “Wadd, Suwa, Ghutaif, Yauq, Nasr Noah Ki Qaum ke Swaleheen they Jin ki logon ne baad me Parashtish shuru kar di.” (Bukhari 6:442)

❝ Aur Unhone kaha ke tum apne Maboodo ko hargiz na Cho’dna aur Wadd, Suwa, Ghutaif, Yauq, Nasr ko kabhi na cho’dna”.  (Surah Nuh 71:23)

• Mushrikeen Makka Gairullaah Ki Ibadat kyon kiya karte ?

Allah iska jawab Quraan me deta hai:

Hum (Mushrik) unki ibadat sirf isliye karte hai ke wo Allah ki Nazdeeki ke martabe tak humari rasayi kara de.(Al-Quran Surah Zumar 39:3)

Yaani Mushrikeen-e-Makka Gairullaah ko apna Sifarishi aur Allah ke Qareeb ka Zariya samajhte they.

Wo kehte hai ke ye Allah ke paas humare Sifarishi hai.” (Surah Yunus 10:18)

Hadith: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai “Ye aise log hai jab inme se koi Nek banda mar jata tou uski Qabar par Sajda Gaah bana dete hai aur Tasveere bana dete hai. Ye Allah ke Nazdeek Badtareen Maqlooq hai.” (Bukhari.427, Muslim.528)

Kya aaj Nek logon ki Qabro ko aisa hi nahi karte? Isiliye Quraan me Allah Ta’ala farmata hai,

Beshaq tum Allah ke siwa jin ko pukaarte ho wo tum jaise bandey hee hai.(Surah Al-A’raf 7:194)

Jin Awlia Allah ko Mushrikeen pukarte they unke barey me Allah Ta’ala ne Quran me farmaya:

Murde hai, Zinda nahi! unko ye bhi maloom nahi ke ye kab uthaye jayenge.(Surah An-Nahl 16:21)

Aur jab (Qayamat ke din) log jama kiye jayenge wo unkey dushman ho jayenge aur unki ibadat ka inkar kar denge. (Surah Al-Ahqaf 46:6)

Allah ki Zaat me Shirk ka Mafhoom ye hai ki –

Na Us’sey koyi paida huwa naahi Wo kisi se paida huwa.(Surah Al Ikhlas 112:3)

Yaqeenan Wo kafir hai jo kehte hai ke Isa Ibne Mariyam hi Allah hai.(Surah Al-Maidah 5:72)

Aur Unhone uske baaz bando ko uska juzz tehraa diya. beshaq (aisa) insan khullam khulla na shukra hai.(Surah Az-Zukhruf 43:15)


✩ Wajahat:

Lihaza hum sab par lazim hai ke Deen ka buniyadi aur Sahee aqeeda Quraan aur Hadees ki roshni me janey aur usi Paigam-e-Haq ki pairwi kare, Kitabo Sunnat ke Sahibe ilm se apni aur auro ki islaah karte rahe, Saheee Ilm-e-Deen hasil karey taaki har kism ki gumrahi se khud bhi bach sakey aur auro ko bhi bachane ki koshish ki jaye.. !!!

Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Allah Taala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq de.. Ameen !!!

Leave a Reply