Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Allah Taala ne Har cheez ke saath
accha tareeqa ikhteyaar karna
Zaroori qaraar diya hai.”
Daily Beautiful Hadith of the day in the light of Authentic Sources | Daily Hadees notification
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Allah Taala ne Har cheez ke saath
accha tareeqa ikhteyaar karna
Zaroori qaraar diya hai.”
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jab tum me se koi Dua kare tou
Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare,
Phir Nabi (ﷺ) par Durood bheje
Uske baad jo chahe Dua maange.”
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Gunaah se Sacchi Tauba karne wala
us shakhs ki tarah ho jata hai
jiska koi gunah nahi.”
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jab Tum Mein se Koi Khana Khaye aur Niwaala Gir Jaye tou Us Mein se Jo na Pasand Samjhe Us Hisse ko hata de phir Woh Baaqi Niwala Khaa Le,
Usey Shaitaan Ke Liye Na Chhode.”
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Logo par ek Aisa Zamana aayega ki insan koi parwah nahi karega ke jo usne haasil kiya hai wo Halaal se hai ya Haraam se.”
Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmate hain:
“Allah ke Rasool (ﷺ) ne kabhi bhi Kisi Khane mein Aib nahi Lagaya,
Jab Aapko Pasand Aata tou Kha Lete nahi tou Chhor dete.”
Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne mujhe waseeyat farmayee ki:
“Allah ke saath kisi ko Sharik na karna chahe Tumhare tukde tukde kar diye jaye ya tumhe Aag mein jala diya jaye aur Farz Namaz ko jaan bujh kar kabhi mat chorhna kyunki jo jaanbujh kar Farz Namaz chorh de to Allah ke Zimme se bari ho gaya (yaani ab wo Allah ki panah mein nahi) aur Sharaab na peena kyunki Sharaab har burayee ki kunji (key) hai.”
Hadees of the Day Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi Hazrate Ali (R.A) …
Sa’d Bin Ubadah (R.A) se riwayat hai,
Maine Nab-e-Kareem (ﷺ) se poochha
“Kaunsa Sadaqah Afzal hai?”
Aap (ﷺ) ne farmaya
“Paani Pilana”
📕 Sunan Ibn e Maja, Hadith 3684
# Wajahat:
Jahan par logo ko Paani ki Haajat ho waha “Sabeel rakhna” Ya Kuwa Ya Hauz bana dena.
Isi tarah Jahan jis cheez ki Musalmano ko Zarurat ho aur takleef ho rahi ho , waha usi ka Sadqa Afzal Hoga.
Aur Hasil yeh hai ke Allah ki Makhlookh ko Rahat Pahuchana. Is se Jyada Sawab Kisi Cheez me nahi, yaha tak ke Janwaro ko Rahat Pahuchane me bhi Bada Ajar hai.
♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
Allah Taala hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik dey. Ameen.
Hadees of the Day Hasad kaha Jayaz hai? Abdullah Bin Mas’ud (R.A) se riwayat hai …
Aisha (R.A) se riwayat hai ki
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne me mahir ho,
tou wo Shakhs aise likhne wale (Farishto) ke saath hoga. jo Buzurg aur Nekokar (Kiramin-Bararah) hain.
Aur Jo Shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai tou
usko Dohra (double) Ajar milega.”
📕 Jami’at Tirmidhi, Hadith#813
♥ Subhan’Allah !
Allah Rabbul Izzat hum Sabko Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey !!!
Hadees of the Day ✦ Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna …
Hadees of the Day Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: …
Hadees of the Day Maahe Shaban ki Barqat Usamah bin Zaid (R.A) riwayat hai ki …
Jabir Bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya –
“Jannat ki Kunji ( Key / Chaabi ) Namaaz hai
aur Namaaz ki Kunji Wuzu hai.”
📕 Jami at Tirmidhi, Hadees-04 (Sahih)
Ek aur riwayat me Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
“Jo shakhas Namaz padhne ko zaruri samjhe woh Jannat me dakhil hoga.”
RasoolAllah (ﷺ) farmate hai –
“Kisi Aadmi ke Bura hone ke liye yehi Kafi hai ke Wo Apne Muslim Bhai ko Haqeer samjhe. Har Muslim ki Jaan, Maal aur Izzat Tamaam Muslims par Haraam hain.”
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai:
“Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai.”
Allah Ta’ala ne Farmaya:
“khabardaar! Zina ke Qareeb bhi na Phatakna Kyunki Woh Badi Behayaai hai aur Bahot hi Buri Raah hai.”
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
(Har neki qaabile qadr hai, is liye) kisi neki ke kaam ko maamooli na samjho, agarche apne bhai se muskura kar milna hi kyun na ho.
(kyun ke yeh bhi koyi maamooli neki nahin hai)
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Allah ka Naam Le Kar Darwaze Band kiya karo,
Kyunki Shaitan Aise band Darwaze ko Nahi khol Sakta.”
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Koi din aisa nahi jata ke jab bandey subah ko uthte hai tou 2 farishtey aasmaan se na utarte ho, ek Farishta yeh kehta hai ke Aye Allah! (Khairat/Zakaat/Sadaqat) kharch karne wale ko is ka badla de, aur dusra farishta kehta hai, Aye Allah! Kanjush (Baqeel) ke maal ko barbaad karde.”
Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jab Tum me se kisi ko Gussa aaye to usey chahiye khamoshi ikhtiyar kare.”
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo, ki ye Agarchey Maal ko tou Bikwa deti hai, magar Barkat ko khatm kar deti hai.”
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya –
“Tum Apni taraf se Mujhe Chhe (6) Baato ki Zamanat de do,
Mai Tumhe Jannat ki Zamanat deta hoon.”
(1). Jab Baat karo tou Sach Bolo.
(2). Jab Wadaa karo tou Poora Karo.
(3). Jab Tumhare Paas koi Amanat rakhe tou Uske Maangne par Wapas Do.
(4). Apni Sharmgaaho ki Hifaazat karo.
(5). Apni Aankho ko Niche rakho. (Gair Galat Cheeze dekhne se bacho)
(6). Apne Haatho ko (Zulm se) roke raho.
Jareer (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Shakhs Narmi se mehroom raha wo saari Bhalayi se mehrum raha.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai:
“Har Taraf Phaili hui Qatl-o-Ghaarat giri Mein Ibaadat Karna Meri taraf Hijrat Karne ki tarah hai.”
Hadees of the Day
RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke:
“Khabardar! Jab bhi koi Mard kisi Aurat ke sath Khilwat (tanhaayi) me hota hai to Unke sath teesra Shaitaan hota hai.”
📕 Jame Tirmizi 2165
📕 Sunan Tirmizi 1171
Hadees of the Day
Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwaayat hai ke,
Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya:
“Chhota bade ko Salaam kare, Guzarne waala baithe hue ko Salaam kare aur thode aadmi Zyaada Aadmiyon ko Salaam Karein.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Ek Jummah Dusre Jumuah tak ke Gunahon ka Kaffara hai Jab tak Kabeera Gunahon ka Irtikaab na kiya jaye.”
Hadees of the Day
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Ghanti Shaitan ka Baaja hai.”
Ek aur riwayat me Biwi Hazrate Umme Salamah (R.A) riwayat karti hai ke:
Maine Rasool’Allah (ﷺ) ko ye farmate huye suna ki,
“Farishte (Rehmat ke) Un Gharon me nahi daakhil hote Jinme Ghunghroo ya Ghanti ho,
aur farishtey (Rehmat ke) Un Kaafilon ke saath nahi jaate jinme Ghanti ho”
📕 Sahih Muslim, Hadees 5548
📕 Sunan An-Nasayi , Hadees 5224
Hadees of the Day
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
Kaamil imaan waale woh log hain, jin ke akhlaaq sab se achchhe hain aur tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain.
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jab koi shakhs haraam luqma pet mein daalta hai, to Allah Ta’ala us ka koi amal chaalees din tak qubool nahi karta.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Har Shakhs ko usi Kaifiyat me uthaya jayega jis par usko mout aayi thi.”
Hadees of the Day
Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Koi Shakhs kisi Aurat ke Paas Nikah ka Paighaam na bheje agar Uss Shakhs ka Bhai Uss hi Aurat ke Paas pehle se hi Shaadi ka Paighaam bhej chuka ho.”
Hadees of the Day Insan Roz-e-Qayamat Uske Sath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai …
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut (Death) ho Jayein to Allah Ta’ala us Rahmat ke Nateeje mein jo un Bachchon se Woh Rakhta hai Usey Jannat mein Daakhil karega.“
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Main Us Shakhs Ke Liye Jannat Mein Ek Mahel Ka Zimmedar Hun Jo Haq Par Hote Hue Zagda Chhod De.”
📕 Sunan Abu Dawood: 4800 (Sahih)
Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada
amal ki taufiq de. ameen! Allahumma ameen.
Hadees of the Day
Abu Talha (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
❝ Farishte us Ghar me dakhil nahi hote jaha Kutta aur (Jandar ki) tasweer ho.❞
📕 Sahih al-Bukhari 5949 & 3322
📕 Sahih Muslim 2106 a
📕 Sunan an-Nasa’i 4276 & 4282
Hadees of the Day
Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya:
“Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon.
Deney wala to Allah hi hai
Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega
Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega,
yaha tak ke Allah ka hukm (Qayamat) aa jaye (aur yeh aalam fana ho jaye).”
Hadees of the Day
Abd al-Rahman bin Abi Bakrah (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Faisla karne wala 2 (Aadmiyon ya 2 fareeqon) ke darmiyan gusse ki halat me faisla na kare.”