Hadees of the Day
Ek Jummah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Ek Jummah Dusre Jumuah tak ke Gunahon ka Kaffara hai Jab tak Kabeera Gunahon ka Irtikaab na kiya jaye.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Ek Jummah Dusre Jumuah tak ke Gunahon ka Kaffara hai Jab tak Kabeera Gunahon ka Irtikaab na kiya jaye.”
Hadees of the Day
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
Kaamil imaan waale woh log hain, jin ke akhlaaq sab se achchhe hain aur tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain.
Aaj ki Aayat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Har Shakhs ko usi Kaifiyat me uthaya jayega jis par usko mout aayi thi.”
Hadees of the Day
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Shakhs har mahine 3 din subah ke waqt Shehad chatega, toh usey koi badi beemari nahi hogi.”
Allah Taala Quran me farmata hai:
“Apne Rab ki Bakhshish aur Jannat ki taraf Daudo, Jiski Chaudaai Aasmano aur Zameen ke Barabar hai jo Parhezgaaro ke liye Muhayya ki gayi hai.”
Hadees of the Day
Abu Usaid (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne Aurto se farmaya ke:
“Aurtein raston ke darmiyan na chalein balke kinaaro par chalein.”
Hadees of the Day
Hazrate Jundub (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke:
‟Jo Shakhs Shohrat ke liye koi Kaam karega tou Allah Taala uske Aib Mash’hoor kar dega.”
New Year ki Sharayi Haisiyat NAYE SAAL KI AAMAD!Josh se Nahi Hosh se Kaam Lein. …
Qaul-e-Mubarak
Hazrate Ali (R.A) ka Mashoor aur maruf qoul hai ke –
“Agar Tum Mout Ki Raftar Ko Dekh Lete Tou Tum Zaroor Ummeedo Aur Umango Se Nafrat Karte. Aur Hargiz Inn Me Maghroor Na Hote..”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
‟Momin Aurto se keh do ke woh Apni Nigaahein nichi rakhe aur apne Sharmgah ki hifazat kare aur apni Zeenat ko kisi par Zaahir na kare.”
Hadees of the Day
Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitha karo.”
Hadees of the Day
Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‟Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho.
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
❝Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhare tamam kaamo se poori tarah ba khabar hai.❞
Hadees of the Day
Ibne Abi Husain (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
❝ Tum Paani Choos kar piyo aur gataagat naa piyo, is (gataagat peene) ki wajah se jigar ki beemari hoti hai.
Hadees of the Day
Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
‟Insan me paayi jaani waali sabse buri aadatein;
intehayi darje ka lalach aur buzdili hai.
Hadees of the Day
Abu Umamah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:
❝Logo! Ilm ke wapas liye jaane aur utha liye jane se pehle ilm hasil kar lo.❞
Hadees of the Day
Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai ke, Allah Ta’ala farmaata hai:
“Main 2 saath mil kar kaam karne walon ke saath hota hoon jab tak ke koi sathi khayanat na kare, jab koi ek bhi khayanat karta hai to meri madad uthh jati hai.”
📕 Sunan Abu Dawud 3383 © www.ummat-e-nabi.com/home
Hadees of the Day
RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke:
“Logo me Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de.”
Hadees of the Day
Abdullah Ibne Masood (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
‟Allah se Darte raho aur apne Rishtedaro ke sath Husn-e-Sulooq karo.
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Kisi Qoum ki Dushmani tumhe (un ke sath) Na Insaafi karne par naa ubhare, (balke is waqt bhi tum) insaf se kaam lo. yahi tareeka Taqwa se ziyada qareeb hai.”
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
‟Maa Baap ke liye yeh Dua karo ke
‘Aye mere Rab! Jis tarah unhone mere bachpan me
mujhe pala hai tu bhi unke saath rehmat ka
muamla farma.’
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
❝Allah ne tumhe jo kuch de rakha hai, uske zariye Aakhirat waala ghar banaane ki koshish karo aur duniya me se bhi apne hisse ko nazar andaaz na karo.❞
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Har Deen Mein Koi na Koi Imtiyazi aur Akhlaqi Khoobi hoti hai aur Islam ki Imtiyazi Khoobi Haya hai.”
Hadees of the Day
Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
❝ Agar Tumhare paas 4 Cheezein ho tou duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hoga: 1) Amanat ki Hifazat, 2) Baat me Sachhai, 3) Achchi Aadate, 4) Pakeeza Rozi.❞
Hadees of the Day
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya –
“Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye.”
Hadees of the Day
Abdullah Ibne Amr (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
‟Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai.”
Hadees of the Day
۞ Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke
“(Bagair majboori ke) Qarz lene se bacho, is liye ke Qarz raat mein ranj wa Gham aur din mein Zillat wa Ruswaayi ka Sabab hai.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:
“Badi kharaabi hai aise shakhs ke liye, jo peeth pichhe dusron par Aib lagaane waala (aur) munh par taana dene ka aadi ho.”
۞ Roman Urdu ۞
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Jo Zakaat tum Allah ki khushnoodi haasil karne ke iraade se dete ho, to jo log bhi aisa karte hain, woh (apne maal ko) kayi guna badha lete hain.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke,
Allah Taala farmata hai –
“Mera Banda Farz ada karne ke Baad Nafeel Ibadatein Karke Mujhse Itna Qareebho jata hai ki Main Us se Mohabbat karne lag jata hu.”
Hadees of the Day
Abdullah Bin Salaam (R.A) Se Mairwi hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya –
“Jab Koi Banda Allah Ta’ala ke Hazoor Taubah Karta hai aur Apne Gunaah par Nadamat Mehsoos karta hai tou Uskey Nadeem hone se pehle hee uske Tamaam Gunaah muaf farma diye jate hain.”
“Qabiliat aur Kirdaar Zindagi me Saath Saath chalte hain,
Qabliat Aap ko Bulandi tak Pohnchati hai.
Jab ke Accha Kirdar Aap ko Humesha Buland rakhta hai.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Ek Momeen dusre Momin ke liye Imarat ki tarah hai, Uska ek hissa dusre hisse ko Quwwat pahuchata hai.”
Mafhoom-e-Hadees
Hazarte Malik bin Deenar ne apne Daamaad
Mughera bin Shoba se farmaya: Aye Mughera!
“Jis Bhai Ya Saathi ki Dosti tumhe Deeni Fayda na pohanchey
Tum Uski Dosti se bacho taa ke Tum Mehfooz-wa-Salamat raho.”
Hadees of the Day
Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jab Koi Shakhs Namaz ke liye Khada hota hai,
tou goya wo Apne Rab ke Saath Sargoshi (yaani baate) karta hai.
Ya Yu farmaya ki Uska Rab uskey aur
Qibley ke darmiyan hota hai.”
Hadees of he Day
“Tabahi wa Barbadi hai us shakhs ke liye jo
aisi baat kehta hai ki log sun kar hasein
halanki woh baat jhooti hoti hai.”