Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti
Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ki:
“Agar koi Musalman kisi Majoosi (Qaahin) ke paas jakar kuch daryaft karta hai tou uski 40 din ki namaz qubool nahi hoti.”
📕 Muslim Sharif; Vol 2 Page-233
Ek aur riwayat me aata hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jisne Sharab pi li uski 40 din tak Namaz kubool nahi hogi, phir agar woh Tauba karle tou allah mu’af farma dega, phir usne Sharab pi tou 40 din tak namaz kubul nahi hogi aur agar usne taub karli tou Allah muaf farma dega.” is tarah teen martaba aap ne farmaya.
Phir farmaya ki “Agar woh 4thi baar Sharab piyega tou uski 40 din tak Namaz Qubul nahi hogi aur woh Tauba karega tou Tauba kubul na hogi aur usey Qayamat ke roz Jahannamio ka peep pilaya jayega.“
Note: Beharhaal Namaz ki Ahmiyat kya hai hum me se aksariyat jaanti hai aur Namaz ko chorrna Kabeera Gunaah me se hai.
lekin Allah Rabbul Izzat aise Shakhs ki Namaz 40 din tak qabool nahi farmata
“jo kisi Qaahin ke paas ja kar kuch daryaft karta ho aur jo Sharab pita ho.”
Kyunki ye dono Gunaah itney sangeen hai ke Allah Rabbul aise musalmaan ki ibadate bhi qabool nahi farmata.
Ek aur baat wajeh kar de ki iss Aahadeese Mubarak me 40 din ki Namaz Qabool na honey se muarad yeh nahi ke 40 din Namaz chorr de, bal ki Namaz tou padhna hai, lekin afsos ke woh 40 din tak qabool na hongi. Ella Masha Allah
♥ Allah hume bachaye Qaahino aur majusiyo ke fitno, Sharrpasando ke Sharr se.
(Ameen Allahumaa Ameen).