Deen me Naye Aqeede (Biddat) Ijad karne se Bachna

Hadees Of The Day

Deen me Naye Aqeede (Biddat) Ijad karne se Bachna

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke:

“Deen me nikali gayi Nayi Baaton se bachte rehna, kyunki har nayi baat Biddat hai aur Har Biddat Gumrahi hai.”

📕 Abu Dawood: 4607-Sahih


Ek riwayat me aata hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) Apney Khutbe me farmaya karte they –

Fa-Inna Khairal Hadeesi Kitabullahi,
Wa Khairal Hadyi-Hadyu Muhammadin (ﷺ),
Wa-Shar-Ral Umoori Muh-Dasaa-Tuha,
Wa-Kul-La-Muh-Da-Satin Bid-Atun,
Wa-Kul-Lu Bid-Atun Zala-La-Tun,
Wa-Kul-Lu Zala-La-Tin Fin-Naar

TARJUMA

Sab se Behtareen Baat Allah ki Kitaab ki Baat hai,
Sab se Behtareem Tareeka, Tareeka-e-Muhammad (ﷺ) ka hai,
Aur Deen me Badtareen Kaam Ijad karda Cheeze hai,
Aur har Ijad kardi Cheeze Biddat hai,
Aur har Biddat Gumraahi hai,
Aur har Gumraahi ka Thikana Jahannum ki Aag hai.

📕 Nisai, Abu Dawood
📕 Sunan Ibn Majah, Vol 1, 45

Wajahat: 

Iss AaHadees-e-Mubarak se yeh baat wajeh hoti hai ke, Aap (ﷺ) ne Biddato ke kisi bhi Aksam ka Zikr nahi kiya, ke Falah Falah “Biddate Hasna” aur Falah Falah “Biddate Sayya” hai.

Balki Aap (ﷺ) Apne Tamam Khutbe me yahi farmaya karte ke “Wa-Kul-Lu Bid-Atun Zala-La” yaani (Deen me) har Biddat gumraahi hai.

Afosos ki baat hai ke –

Aaj Hum Mohabbate Rasool ka Dawa karte hai magar humarey tamam aamal RasoolAllah (ﷺ) ki Wasiyat ke barkhilaf hotey hai.

Aur La-ilmi Wa Jahalat me humne aisi aisi Biddate Izad kar di ke Jo RasoolAllah(ﷺ) ki Sunnat ki Mukhalifat karti hai.

Aur phir Hum Jannat ke Mustahik hone ka dawa karte hai. MashaAllah !!!

Beharhaal Biddat ke Talluk se Tafseeli Jankari ke liye is link par Click karey
› Biddat ki Hakikat

Aakhir me Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –

♥ Allah Hum Sabko Hidayat Dey ,..
# Humey Haq Sun’ne Samjhne aur Uss par Amal ki taufiq ata farmaye.
# Tamam kism ki Gumrahi se Hum sabke Iman ki Hifazat farmaye.
# Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey…
# Khatma Humara Imaan par ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply