Sabke Liye Reham ki Dua Kiya Kare
Hazrat Abu Hurairah (R.A) ne Bayan kiya ki,
RasoolAllah (ﷺ) Ek Namaz ke liye Khade hue aur Hum bhi Aahajarat ﷺ ke saath khade hue ! Namaz Padhte Hi Ek Dehati ne kaha “Aye Allah ! Mujhpar Raham kar aur Muhammad ﷺ par, aur Hamare Sath kisi aur par Raham naa kar!”
Jab Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ne Salam phera tou Dehati se Farmaya ki
“Tumne Ek Wasi’a Chiz Ko Tang Kar Diya”
Aap ﷺ ki Murad Allah Ki Rahamat se thi !
Uss Dehati Ki Dua Gair Munasib Thi Usne Rahmate Ilahi Ko Makhsoos Kar Diya Jab ki Sabke Liye Reham ki Dua karna Chahiye.