Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees

Hadees of the Day

Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“Tumhara Rab bahuth Ba’haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai.”

📕 Sunan Abu Dawud 1488-Sahih


WAJAHAT:

Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke –

Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmatey hai ke –

“Koi aisa Musalman nahi jo koi Dua kare jisme Gunaah aur kitta rehmi na ho Magar Allah uss dua ki wajah se uss ko 3 cheezo se zaroor nawaz deta hai.”

(1). Ya tou filhaal wohi cheez de deta hai,
(2). Aur uski Aakhirat ke liye Zakhira deta hai (Aakhirat ke liye uss Dua ko baaki rakhta hai),
(3). Ya koi Aisi hi Burayi uss se hataa deta hai (uss Dua ke badley koi musibat taal deta hai)
.

Sahaba ne farmaya –
“Iss Haalat me tou Hum phir Khoob Kasrat (Continuously) se Dua kiya karenge.”

Aap (ﷺ) ne farmaya –

“Allah ke yahan ess se bhi Ziyada ata ki kasrat hai.”

(Yaani tum Dua mangney me kasrat karoge woh phir ata karne me tum se zyada kasrat karega).

📕 Ahmed Bin Hanbal

SubhanAllah ! Allah Ta’ala hume kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik dey. Ameen

Leave a Reply