♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurera (Razi’Allah Anhu) Riwayat Karte Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jab Tum Jannat Ke Baago Me Se Guzro Tou Phal Khao”.
*Logo Ne Arz Kiya – “Ya Rasool’Allah ! Jannat Ke Baag Kya Hai? Aur Uss Se Kya Muraad Hai?”
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jannat Ke Baag Masajid Hai Aur Phal ‘Subhan’Allah Alhamdulillah Allahu Akbar’ Ki Tasbih Hai”.
– (Mishkat Sharif Part 1 Hadis#674, Page No.156)
Related Posts:
Padosi ko Takleef denewala Musalman Jannat me Nahi Jayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Rivayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya, Wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho (Chahe uska padosi kafir bhi kyu na ho ).." - (Sahih Muslim, Hadith No. 79)
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai .... ♥ Al-Quraan: Allah Ta'ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. - [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - » Hadees: "Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai". - (Miskat P:24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai". - (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”. - (K.Ummal) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Raat Me…
Jannat Me Dakhil Karne Waali Cheez ..... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Tirmizi Wa Ibne Majah Ne Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jo Cheez Insan Ko Sab Se Zyada Jannat Me Dakhil Karne Waali Hai - Wah Taqwa Aur Husn-e-Khulk (Accha Akhlaq) Hai *Aur Jo Cheez Insan Ko Sabse Zyada Jahannum Me Le Jaane Waali Hai - Wah Joufdar (Khukkal) Cheeze Hai Mooh Aur Sharmgah". - (Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No.184, Hadees-3) - @[156344474474186:]
Jannat me Jaane se Koun Inkaar Karega ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallaho Alayhe Wasallam) Farmatey Hai - "Meri Saari Ummat Jannat Me Chali Jayegi Siwaye Uske Jisney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya.." Sahaaba (RaziAllahu Anhu) Ne Pucha - "Aye Allah Ke Rasool! Jannat Me Jaaney Se Tou Koi Bad-Bakht Hi Inkaar Karega". Aap (Sallallaho Alayhe Wasallam) Ne Farmaya: "Jisne Meri Ita'at Ki Wo Jannat Me Gaya Aur Jisne Meri Nafarmani Ki Usney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya.." - (Sahi Bhukhari, Kitaab Ahkam) ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez!!! # Allah Ta’ala Humey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye, # Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sacchi Mohabbat…
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Momeen Dozakh aur Jannat ke darmiyan rok liye jayenge Jabtak… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye zulmo ka badla liya jayega jo duniya mein unke darmiyan huye they , jab sab kuch saaf aur paak ho jayega (yaani sabko badla mil jayega) uske baad unhe jannat me dakhil hone ki ejazat milegi,. Uss Zaat ki Qasam jiske haath me Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki jaan hai jannaatiyo mein se har koi…
Jo Shakhs Apne Betey ko apni Beti par Tarjeeh nahi dega ♥ Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai: "Jo Shakhs Apne betey ko apni beti par tarjeeh (badhawa) nahi dega tou woh jannat me dakhil hoga" - (Abu Dawood: Hadith no. 5146) » Jannat ke liye Iman shart hai. ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: रसूलअल्लाह (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है: "जो शख्स अपने बेटे को अपनी बेटी पर तरजीह(बढ़ावा) नहीं देगा तो वो जन्नत में दाखिल होगा" - (अब दावुद, हदीस 5146) » जन्नत के लिए ईमान शर्त है. For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Raaii Ke Daane Barabar Emaan Wala Bhi Dozakh Se Aazad Kar… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Said Al-Khudri (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jab Ahal-e-Jannat Jannat Me Aur Ahal-e-Jahannam Jahannam Me Dakhil Ho Jayengey Tou Allah Ta'ala Farmayega Ki - 'Jiskey Dil Me Raaii Ke Daaney Ke Barabar Bhi Emaan Ho Tou Usey Dojakh Se Nikal Lo, Aur Uss Waqt Wo Log Nikaal Liye Jayengey Jo Jalkar Koyele Ki Tarah Ho Gaye Hongey, - Uskey Baad Unhey Nahar-e-Hayat Me Daala Jayega Jiski Wajah Se Wo Iss Tarah Tar-O-Taaza (Fresh) Ho Jayengey Jaisey Sailab Ki Jagah Par Kachrey Me Se Daana(Seed) Ugg Jata Hai', *Rasool'Allah (Sallallahu…
Husn-e-Akhlaq ki Ahmiyat aur Fazilat ✦ Neki Acche Akhlaq ka Naam hai : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nawas bin Samaan Ansari (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Neki aur Gunaah ke baare me Poocha tou Aap ne farmaya "Neki Acche Akhlaaq ka Naam hai aur Gunah Jo tere Seeney me Khatke aur tujhe pasand na ho ke log usey jaaney." (Sahih Muslim 2553) ✦ Kaamil Iman ki Alamat : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Momino me Iman ke Aitbar se sabse Kamil Shakhs wo hai jiske Akhlaaq sabse acche hai." (Abu Dawood 4682) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem…
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada ki tou… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat is tarah hain • 2 Rakat Fajr se pahle, • 4 Rakat Zuhar ki farz namaz se pahle , •…
Sabr Ka Badla .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki: Allah Ta'ala Farmata Hai: "Mere Uss Momin Bandey Ka Jiska Main Koi Aziz Duniya Se Utha Lu Aur Wo Uss Par Sawaab Ki Niyat Se Sabr Kar Le Tou Uska Badla Mere Yahan Jannat Ke Siwa Aur Kuch Nahi.." - (Sahih Bukhari, Vol 7, Hadith no.6424) ♥ Subhan'Allah ! Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki taufik Dey ,..
Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection)… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Aisha (RaziAllahu Anha) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (SalAllahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare tou wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi.." - Sahih Muslim, Vol 6, 6693 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Aisha (RaziAllahu Anha) se rivayat hai ki, ek miskeena (fakeer Aurat) mere paas Aayee apni 2 betiyon ko liye huye mainey usko 3 khajurain dee, usney har ek beti ko ek ek khajur dee aur teesri khajur khaney ke liye munh se lagayee itney mein uski betiyon ne wo khajur bhi mangi usney us khajur ke isey…
Apni Aulaad Ka Naam Behtar Rakha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne Naamo Aur Apne Baapo Ke Naamo Se Pukare Jaoge Tou Apne(Baccho Ke) Naam Ache Rakha Karo.." - (Imaam Ahmed, Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aadat-e-Kareema Thi Ki, Aap Burey Naam Badal Diya Karte They. - (Tirmizi, Jild, Safa 301, Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1517, Safa 551) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibne Umar (Razi'Allaho Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ko Tamaam Naamo Me Se…
6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat Hadees of the Day 6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya - "Tum Apni taraf se Mujhe Chhe (6) Baato ki Zamanat de do, Mai Tumhe Jannat ki Zamanat deta hoon." (1). Jab Baat karo tou Sach Bolo.(2). Jab Wadaa karo tou Poora Karo.(3). Jab Tumhare Paas koi Amanat rakhe tou Uske Maangne par Wapas Do.(4). Apni Sharmgaaho ki Hifaazat karo.(5). Apni Aankho ko Niche rakho. (Gair Galat Cheeze dekhne se bacho)(6). Apne Haatho ko (Zulm se) roke raho. 📕 Ibn Habban : 271📕 Ahmad : 5/323 📕 Haakim : 4/358,359
Jab Jannati Bandey Allah ka Deedar Karenge ♥ Mafhoom-e-Hadees: Suhaib (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Irshad farmaya: Jab Jannati Jannat me paunch jayenge, To Allah Ta'ala Unse Irshad farmayenge: "Kya Tum Chahte ho ki Mai Tumko Mazeed Ek Cheez Ata karun Yani Tumko jo kuch ab tak Ata hua hai us par Mazeed Ek khaas Cheez Inayat karun ?.." *Wo Kahenge: "Kya Aap ne Hamare Chehre Roshan nahi kar diye Aur kya Aapne Hame Dozakh se Bacha kar Jannat me Dakhil Nahi kar diya ? (Ab Iske Alawa Aur kya Cheez ho sakti hai jiski Hum Khawaish Karein!,.. Bandon ke Is…