Momin Ki Hurmat Kaabe Se Bhi Badhkar ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Muslim blood more sacred than the Ka`ba Musharrafa”
*Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne
Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya:
“Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain. “
(Tabarani: Chapter-‘Ikramul Muslimeen’)

*Isi Aahadeese Mubarak Ke Tehat Likhney Walo Ne Bada Behtareen Qaul Likha Ke –
“Chahe Kaaba Dha Do Lekin Kisi Momin Ka Dil Mat Todo ,..”
.. Kyunki Kaaba Tou Ek Kibla Hai,.. Agar Ek Baar Dha Diya Jaaye Tou Dubara Ban Bhi Jayega!!

*Yakinan Kaabe Ki Hurmat Apni Jagah Hai Lekin Rab Ke Nazdik Uss’sey Jadaa Hurmat Zinda Momin Ki Hai ,..
Kyunki Shariyat Me ‘Haqooq Ul Ibad’ Ki Bohot Badi Ahmyat Hai ,..
* * * * *

*Yaani Allah Ke Huquq Ke Baad Bando Ke Huquq Ki Bohot Badi Ahmiyat Hai ,..
» Hatta Ke Ek Hadees Ka Mafhoom Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
“Meri Ummat Ka Muflis Wo Hai Jo Apni Tamam Nekiya Lekar Aayega
Lekin Unn Tamaam Mazloomo Me Uss Aadmi Ki Nekiyan Baanti Jaane Lagengi, Jinpar Usney Kabhi Zulm Kiya Ho!
Aur Nekiya Khatm Hone Par Usey Jahannum Me Fenk Diya Jayega” – (Muslim Sharif Kitab-32, Hadees-6251)
* * * * *

*Illah Ke Fir Agar Allah Uspar Reham Karey Ye Allah Ki Marzi hogi ,..
Lekin Umooman Aise Zalimo Ko Allah Ki Taraf Se Ruswayi hi Nasib Hogi Jo Uskey Bando Par Zulm Karte ho”.
*Aur Iskey Talluk Se kayi Aahadeese Sharifa Bhi Milti Hai-

*Lihaja Hum Tamam Ko Chahiye Ke Aapas Me Ek Dusre Ka Ikram Karey ,..
*Ek Dusrey Par Zulm Se Ahtiyat Karey ,..
*Ek Dusrey ki Izzato Ahtraam Karey aur Jitna ho Sakey Sunnat-e-Nabvi Ko Aam Karey ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Humey Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..
# Hum Tamam Ko Ek aur Nek Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply