Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Hadees of the Day

Apne Bhai ki Madad karo,
Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom.”

Tou ek shakhs ne pucha “Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?”

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke
“Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai.”

📕 Sahih al-Bukhari 2444

5/5 - (5 votes)
Hadees : Allah Ta'ala Zalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai

Allah Ta’ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai

Hadees of the Day

Allah Ta’ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai

✦ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

Allah Ta’ala Zaalim ko chand roz duniya me muhlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta. Rawi ne bayan kiya ke phir Aap (ﷺ) ne is aayat ki tilawat ki:

‏{‏ وَكَذَلِكَ أَخْذُ رَبِّكَ إِذَا أَخَذَ الْقُرَى وَهْىَ ظَالِمَةٌ إِنَّ أَخْذَهُ أَلِيمٌ شَدِيدٌ‏ }‏

“Aur tere Parwardigar ki pakad issi tarha hai, jab wo basti walo ko pakadta hai Jo zulm karte rehte hain, beshak iski pakad badi takleef dene waali aur badi hi sakht hai.” (Surah Hud 11:102)

📕 Sahih al-Bukhari;  © www.ummat-e-nabi.com/home | Arabic ref: Book 65, Hadith 4686

Read More

5/5 - (1 vote)

Zulm Ki Pairvi Na Karo

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Bakr Siddiq (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) …

Read More

Badzubani Zulm Hai ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (Razi’Allah Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey …

Read More