Hadees: Tum Qarz lena kum kar do, Aazadi ke sath Zindagi… Hadith: 4-April: Amar (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Tum Qarz lena kum kar do, Aazadi ke sath Zindagi Guzaroge. 📕 Shoaib Ul Iman 5557
Hadees: Jo koi apne Ghulam ko Zulm se marega tou Qayamat ke… Hadith: 16-April: Ammar bin Yasir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo koi apne Ghulam (naukar wagaira) ko Zulm se marega tou Qayamat ke din maalik se badla liya jayega. 📕 Musnade Ahmed 1399
Maaldaar ki taraf se Qarz ke Ada Karne me deri na kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Maaldaar Ki Taraf Se Qarz Ke Ada Karne me Deri Karna Zulm aur Zyadati Hai.” - (Sahih Al-Bukhari, 2400) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू हुरैरा (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फरमाया, “मालदार की तरफ से क़र्ज़ अदा करने में देरी करना ज़ुल्म और ज्यादती है” - (सही अल-बुखारी, 2400) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Hadees: Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke… Hadith: 10-July: Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai." 📕 Abu Dawood 3597
Allah Ki Panah Maango Mohtaaji, Zillat aur Zulm Se ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Allah Ki Panah Maango Mohtaaji Se Aur Kami Aur Zillat Se Aur Zulm Karne Se Aur (Apne Upar) Zulm Kiye Jane Se." - Sunan Ibn Majah , Hadith no. 3842 ♥ In'sha'Allah ul Azeez ! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne Se jyada Amal ki taufik Dey ,..
7 Azeem Nekiyo Ka Hukm ♥ Mafhoom-e-Hadees: Bara bin Azib (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, unhone kaha ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne humey saat cheezon ka hukm diya: 1. Janazon ke saath jaana. 2. Mareez ki Beemar pursi karna. 3. Chheenkne waale ko Dua dena (yaani Yarhamuk Allah kehna). 4. Daawat dene waale ki Daawat kubool karna. 5. Mazloom ki Madad karna. 6. Kasam khaane waale ki kasam ko poora karna. 7. Salam ka Jawab dena. - (Sunan An-Nasayi, Hadith no. 3809) # Takhreej: 'Kasam poori karna' yaani agar kisi shakhs ne kisi doosre shakhs ke baare me koi kasam khaa li hai…
Gunaah Karna Apne Nafs Pe Zulm Karna Hai .... Aaj ki Aayat | Verse of the day Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ "Allah Tou Hargiz Bando Par Kuch Bhi Zulm Nahi Karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm Kiya Karte Hai". 📕 Al-Quran; Surah Yunus 10:44 » Beshaq Gunaah Karna Apne Nafs Pe Zulm Karna Hai. Allah Ta'ala Hume Tamam Kism Ke Sagira aur Kabira Gunaah se Bachney Bachaaney ki taufiq ata farmaye...Ameen Allahuma Ameen !!!!
Hadees: Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey saaf… Hadith: 17-April: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey saaf kar ke kha le, shaitan ke liye naa chhode. 📕 Sahih Muslim 2034 In-book reference : Book 36, Hadith 180 USC-MSA web (English) reference : Book 23, Hadith 5049 (deprecated numbering scheme)
Neki Ke Elawa Koi Cheez Umr Me Zyadati Nahi Karti ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - "Neki Ke Elawa Koi Cheez Umr Me Zyadati(Badhotari) Nahi Karti, Aur Taqdeer Ko Dua Ke Siwa Koi Cheez Nahi Taal Sakti ,.. Aur Insan Apna Aaya Huwa Rizq Apne Gunaaho Se Taal Deta Hai.." - (Ibne Majah, Jild : 2, Page-497, Hadith no.1821) *Ab Sawal Ye Aata hai ke "humari Taqdeer me Jo Umr pahle se likhi gayi Hai kya usme Ijafa hoga ?" tou ispar Ulamao Ki Raay hai ke Umr Me Barqat se muraad Allah humari isi umr me Jyada se jyada nekiyo ka sila ata karega ,.. *Lihaja…
Hadith: Aisi baatein na kaho jo dusro ko sunne me buri lage Hadith: 24-April: Aas bin Amr Tufaawi (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Aisi baatein na kaho jo dusro ko sun'ne me buri lage. -Musnade Ahmed 16701
Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ✦ Hadees: Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Muhammad bin jahsh (R.A.) farmate hain ki hum Rasool'Allah ﷺ ke paas baithey hue they, Aap ne apna Sir Aasman ki taraf uthaya, phir haath apni peshani par rakha, phir farmaya: "Subhan Allah! kitni sakhti nazil hui hai? " hum log khamosh rahe aur dar gaye, jab dusra din huwa to maine Aap se poocha: "Allah ke Rasool! woh kya sakhti hai jo nazil hui ?" Aap ﷺ ne farmaya: "Qasam hai is Zaat ki, jis ke haath me meri jaan hai! agar ek shakhs…
Hadith: Allah se darte raho aur apne rishtedaro ke sath… Hadith: 7-April: Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah se darte raho aur apne rishtedaro ke sath Husne Sulooq karo. -Shoaib Ul Iman 7950
Hadees: Zulm ke Badley Nek Amal le liya jayega ⭐ Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Agar kisi Shakhs ne kisi Dusre ki Izzat ya koi aur Cheez par Zulm kiya hoTou Us se Aaj hi Uss din (Qayamt) ke Aane se pahle Muaf karwa le!Jis Din na Deenar honge na Dirham balki Uska koi Nek amal hogaTou Uss Zulm ke badle Wohi le liya Jayega aur Agar koi Neik Amal uske paas nahi hoga tou Uss Mazloom (Jispar Zulm hua us) ki Buraiyan Uss par daal di jayegi." 📚 Sahih Bukhari, Vol 3, 2449 ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez !!!- Allah Rabbul…
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445