Hadees: Zulm ke Badley Nek Amal le liya jayega ⭐ Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Agar kisi Shakhs ne kisi Dusre ki Izzat ya koi aur Cheez par Zulm kiya hoTou Us se Aaj hi Uss din (Qayamt) ke Aane se pahle Muaf karwa le!Jis Din na Deenar honge na Dirham balki Uska koi Nek amal hogaTou Uss Zulm ke badle Wohi le liya Jayega aur Agar koi Neik Amal uske paas nahi hoga tou Uss Mazloom (Jispar Zulm hua us) ki Buraiyan Uss par daal di jayegi." 📚 Sahih Bukhari, Vol 3, 2449 ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez !!!- Allah Rabbul…
Momeen Dozakh aur Jannat ke darmiyan rok liye jayenge Jabtak… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye zulmo ka badla liya jayega jo duniya mein unke darmiyan huye they , jab sab kuch saaf aur paak ho jayega (yaani sabko badla mil jayega) uske baad unhe jannat me dakhil hone ki ejazat milegi,. Uss Zaat ki Qasam jiske haath me Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki jaan hai jannaatiyo mein se har koi…
Hadith: Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur… Hadith: 27-April: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur ke saath akad kar chalta hai, Qayamat ke din woh Allah Taala se is haal me milega ke Allah Taala us se Naraz hoga. 📕 Al-Adab al-Mufrad 549
Hadees: Qarz ki adaaigi par qudrat ke bawajood taal matol… Hadith: 18-April: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Qarz ki adaaigi par qudrat ke bawajood taal matol karna Zulm hai. 📕 Muslim 4085
Puraa Badla De Diya Jayega .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Sa'ad Bin Abi Waqqas (RaziAllahu Anhu) Bayan Farmate Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Allah Ki Raza (Allah Ko Raazi Karne) Ke Liye Jo Bhi Tumne Kharch Kiya Uska Tumhe Allah Se Pura Pura Badla De Diya Jayega, Yaha Tak Ki Agar Tumne Apni Biwi Ke Mooh Me Niwala Bhi Rakha Hoga Tou Uska Bhi". - (Sahih Bukhari Book 2, Hadees-53)
Her Ek Se Uske Jimmedariyo Ke Baare Me Pucha Jayega .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Ibne-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Mairvi Hai Ke, Huzur-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Tum Sab Nigran (Responsible) Ho, Tum Me Se Her Ek Se Iske Matahat Afrad Ke Baare Me Pucha Jayega. - Baadshah Nigran (Jimmedar) Hai, Iss Se Iss Ki Riaaya (Kingdom) Ke Baare Me Pucha Jayega. - Aadmi Apne Ahl-O-Ayaal (Family) Ka Nigran Hai, Iss Se Iss Ke Ahl-O-Ayal Ke Baare Me Pucha Jayega. - Aurat Apne Khawind (Shohar) Ke Ghar Aur Aulaad Ki Nigran Hai Iss Se Inke Baare Me Pucha Jaega". - Sahih Bukhari Volume 007, Book 062, Hadith no. 116 (English Translation)
Padosi ko Takleef denewala Musalman Jannat me Nahi Jayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Rivayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya, Wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho (Chahe uska padosi kafir bhi kyu na ho ).." - (Sahih Muslim, Hadith No. 79)
Na Kisi Par Zulm Karo Na Kisiko Zalim Ke Hawale Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - *Musalman Musalman Ka Bhai Hai, Na Tou Uss Par Zulm Kare, Aur Na Usko Zalim Ke Hawale Kare, (Ke Uss Par Zulm Ho Sake) *Aur Jo Shakhs Apne Bhai Ki Hajat Ravayi Ki Fikr Me Hota Hai, Allah Ta'ala Uski Hajat Rawayi Karta Hai, *Aur Jo Shakhs Kisi Musalmaan Se Uski Musibat Door Kare, Tou Allah Ta'aala Qayamat Ki Musibate Us'sey Door Karega, *Aur Jis Shakhs Ne Kisi Musalman Ki Aib Poshi Ki (Aib Chupana), Tou Allah Qayamat Ke Din…
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se… Hadith: 10-June: Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo. 📕 Abu Dawood 4948
Allah Ki Panah Maango Mohtaaji, Zillat aur Zulm Se ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Allah Ki Panah Maango Mohtaaji Se Aur Kami Aur Zillat Se Aur Zulm Karne Se Aur (Apne Upar) Zulm Kiye Jane Se." - Sunan Ibn Majah , Hadith no. 3842 ♥ In'sha'Allah ul Azeez ! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne Se jyada Amal ki taufik Dey ,..
Hadees: Qayamat ke din Allah ke nazdeek (Shirk ke baad)… Hadith: 11-April: Amr bin Hazm (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Qayamat ke din Allah ke nazdeek (Shirk ke baad) sabse bada Gunah Sood khana hai. 📕 Mustadrak 1447
Apne Amaal Ko Ikhlas Ke Sath Riyaa Se Paak Rakhey .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Ek Shaheed Allah Ke Saamne Qayamat Ke Din Laaya Jayega!!! Allah Usey Puchega Ke: "Tuney Kya Amal Kiya ? " - Woh Kahega Ke Mai Tere Raah Me Ladh Kar Shaheed Hua, Allah Farmayega: "Tu Jhoota Hai!!! Balke Tu Iss Liye Ladha Ke Tujhe Bhahadoor Kaha Jaye, Yaani Teri Niyat Duniya Me Poori Ho Gayi Ab Mujh Se Kya Chahata Hai Phir Mooh Ke Bal Ghasit Kar Aag Me Fenk Diya Jayega, *Issi Tarah Ek Aalim Jisney Ilm Ko Charcha Ki Niyat Se…
Sharaabi Jahalat Ki Mout Marega .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya: "Sharaab Khabaasatoun Ki Jarr Hai, Jis Ne Sharaab Pee, 40 Roz Uski Namaz Qabool Nahi Hogi. Wo Aadmi Jahliyat Ki Mout Marega Jiske Pait Me Marte Waqt Sharaab Hogi." - (Tabrani, Awst. Sahihah: 1636)
Hadees: Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega tou ye… Hadith: 22-April: Anas bin Malik (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟ Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega tou ye Qayamat ke din uske liye wabal hogi. 📕 Shoaib Ul Iman 10710
Diwaliya aur Muflis Kaun hai? (Gaali Galaoch aur Geebat ka… ✦ Mafhum-e-Hadith : Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne sahaba se farmaya 'Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ' Sahaba ne arz kiya ki 'Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!' Aap (Sallallahu alaihay wasallam) ne farmaya ❝ Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath lekar hazir hoga, magar uske sath wo log bhi hazir honge, jin me se kisi ko usney duniya me Gaali di hogi,…