Hadees: Zulm ke Badley Nek Amal le liya jayega

Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –

“Agar kisi Shakhs ne kisi Dusre ki Izzat ya koi aur Cheez par Zulm kiya ho
Tou Us se Aaj hi Uss din (Qayamt) ke Aane se pahle Muaf karwa le!
Jis Din na Deenar honge na Dirham balki Uska koi Nek amal hoga
Tou Uss Zulm ke badle Wohi le liya Jayega aur
Agar koi Neik Amal uske paas nahi hoga tou Uss Mazloom
(Jispar Zulm hua us) ki Buraiyan Uss par daal di jayegi.”

📚 Sahih Bukhari, Vol 3, 2449

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufiq dey,
– Hum Tamam kism ke Zulm se bachaye ,
– Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey ,
– Khatma Humara Imaan par ho ,
*Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen, Ameen …

Read More

Leave a Reply