Shawwal ke rozo ki Fazilat

Shawwal ke 6 Rozo ki Fazilat

Hadees of the Day

Shawwal ke 6 Rozo Ki Fazilat

Abu-Ayyub-Ansari (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :

“Jo Roze Rakhe Ramzan ke aur iske sath lagaye 6 Roze Shawwal ke tou isko humesha ke Rozon ka Sawaab milega.”

📕 Sahih-Muslim, Hadees#2758
📕 Sunan-Ibn-Majah, Hadees#1716


Ek aur Riwayat me aata hai ke –

Rasol’Allah (ﷺ) ke Aazad karda Ghulaam Hazrate Sobaan (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –

“Jo Eid-Ul-Fitr ke Baad 6 Din ka Roza rakhe isko purey Saal ke Rozon ka Sawaab milega, Jo ek neki laye isko iska 10 Gunaa ajar milega.”

📕 Sunan-Ibn-Majah; Hadees no.1715

5/5 - (2 votes)
5 रजब | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा

5 रजब | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा

मोर की खूबसूरती, सुबह की नमाज़ अदा करने पर हिफ़ाज़त का जिम्मा, हाथ पाँव की उंगलियों का खिलाल करना, अल्लाह के वास्ते मुहब्बत करना, कर्ज अदा न करने का गुनाह, माल की हालत, जन्नत में मेहमान नवाजी, बीमारी से बचने की तदबीर, नेकी की नसीहत करो और खुद भी अमल करो

Emanwale Ki Pareshani Door Karne Ka Silaah Hadees

Emanwale ki Pareshani Door Karne ka Silaah

Hadees of the Day

Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah

Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki –

“Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega.

Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele’n Aasaan bana deta hai.

Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo Banda Apne Bhai ki Madad Karta rehta hai”

📕 Sahih Muslim 6853

Read More

5/5 - (3 votes)
Raston par Baithne ka Haq Ada karo Hadees

Raston par Baithne ka Haq Ada karo

Hadees of the Day

Raaston par Baithne ka Haq Ada karo

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Sadko (Rasto) par baithane se bacho.”

Sahaba ne kaha ki “hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain.” is par, Nabi (ﷺ) ne kaha –

“Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo.”

Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha,

“Apni Nigaahein nichee rakho, kisi ko chot pahunchaane se bacho, Salaam ka jawaab do, logon ko achchhe kaam karne ka hukm do aur unhen bure kaam karne se roko.”

📕 Sahih al-Bukhari 2465

4.8/5 - (33 votes)
Neki ka Sawaab 10 se lekar 700 Guna

Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou Aye Farishto! Iski 1 Neki likho

Hadees of the Day

Neki ka Sawaab 10 se lekar 700 Guna

Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai ke –
Allah Ta’ala farmata hai aur Iska Farmaan-e-Haq hai ke,

“Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou (Aye Farishto)! Iski 1 Neki likho.
Phir agar Woh ker Chuke tou Iski 10 Nekiyan Likh lo,

Agar Woh Burayi ka Iraada kare tou Kuch na likho,
Agar Kar Chuke Tou 1 Hee Burayi Likho,
Aur agar Na kare tou Iske Liye bhi 1 Neki Likho”

📕 Tirmizi Sharif

Phir Aap (ﷺ) ne ye Aayat Tilawat farmaayi –

Read More

4.9/5 - (11 votes)
Sabse Behtar Amal (Neki)

Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye

Hadees Of The Day

Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke:

“Beshaq Allah Taala ke Nazdeeq Sabse Behtareen Amal (Neki) wo hai jo humesha kiya jaye chahe wo kum hi kyun na ho.”

📕 Sahih Bukhari: 6464

5/5 - (1 vote)
5 Zil Hijjah जिल हिज्जा

5. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा

सीरत – इमाम अबू दाऊद (रहमतुल्लाहि अलैहि), अल्लाह की कुदरत – बिजली कुंदना, एक फर्ज – नेकियों का हुक्म और बुराइयों से रोकना, अच्छे अखलाक़ वाले का मर्तबा, नमाज़ से मुंह मोड़ने का गुनाह …

Nek mard ke liye Nek Aurat is aayat ka kya Matlab hai

Nek Mard ke liye Nek Aurat is aayat ka kya Matlab hai

Nek Mard ke liye Nek Aurat

Quran-e-Majid ke mutabik Nek Mard ke liye Nek Aurat aur Nek Aurat ke liye Nek Mard is Aayat ka kya Matlab hai.

Janne ke liye Ahle Sunnat Wal Jamat ke Aalim Adv Faiz Syed ki mukhtsar si video clip ka mutala kare.

Aur isey jyada se jyada logon tak pohchane me humara tawoon kare. JazakAllah khair.

Speaker: Advocate Faiz Sayed (Islamic Reserch Center Aurangabad)

3/5 - (8 votes)

Kisi bhi neki ko Mamuli mat samjho

अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: ❝नेकी के किसी काम को हक़ीर मत समझो।❞ – …

Read More