Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta
Ek doosre ki pehchan aur ek doosre ka ta’arruf ho isliye Allah ﷻ ne insano ko mukhtalif ansaab (khandano) me baant diya hai. Agar koi Shakhs Iman na laye, Naik Amal na kare, Roza, Namaz ki pabandi na kare aur kahe ke mai Aala Nasab (Khandan) ka hu,
Mai Quraishi/Sayyed Khandan se ta’alluq rakhta hun tab bhi uska ye kehna Allah ke yahan usey koi fayda pohchane wala nahi. Allah ke samne koi ye uzr nahi pesh kar sakta ke Aye Allah mai falan khandan ka hun mujhe bakhsh de, hargiz nahi!
Quran e majeed me Allah Rabbul Izzat ka irshaad hai:
〘 فلا انساب بين هم 〙
Un ke beech Nasab baqi na rahenge.
(23:101)
Yaani, Jab Qayamat qayam hogi, kisi ka Nasab baqi nahi rahega. Amal ki buniyaad per hisab-kitab hoga.
Chunanche Nabi-e-Kareem ﷺ ka farman hai:
〘 و من بطا به عمله لم يسرع به نسبه 〙
jis ko Amal (jannat me dakhile se) peeche karde us ka Nasab us ko aage nahi kar sakta.
(Hadees: Sahih Muslim, 2699)
Aur Aap ﷺ ne apne lakhte jigar Fatima (Raziyallahu Anha) aur digar Rishtedario se farmaya,
❝ Mai Allah ke muqabil tumhe kisi cheez ka ikhtiyar nahi rakhta, jo tum chaho mujhe se manglo jo meri duniyawi chize hain.
(Hadees: Muslim, 205)
Aahadees ke Mutabik Abu talib Nabi (ﷺ) ke chacha hone ke bawajood jahannam me jayenge kyun ke wo Imaan nahi laye. Haan Nabi aur islam se humdardi karne ki bina per jahannam ke saqt Azaab se bach jayenge, lekin jahannam me halka sa Azaab jo unhe diya jayega wo jahannam ke do jute (shoes) pehnaye jayenge jis ki wajah se dimagh pakne lagega (jis tarah haandi mai sallan khal khalata hai). (Hadees: Sahih Muslim, 212)
Abu lahab bhi Nabi (ﷺ) ka chacha tha. Nabi (ﷺ) ki mukhalifat kiya aur iman na laya so wo jahannam ki aag me jayega, aur Allah ne is ke naam se ek puri surat surah “Al-lahab” nazil ki hai.
✦ SABAQ:
Al-gharz Allah ke yahan Nasab aur khandan ke bina per ikram nahi hota balke Taqwa aur Naik Amal ki buniyaad per ikram hota hai. Chahe kale rang ka habshi ghulam hi kyun na ho.
Allah Rabbul Izzat hume Kehne sunne se jyada amal ki taufik de…