Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Ek Aurat Hamesha Jab Apne Ghar Waalo Ke Liye Roti Pakaati Tou Ek Roti Khidki Ke Bahar Rakh Deti, Yeh Soch Kar Ki Koi Bhuka Faqir Aayega Tou Ye Roti Utha Kar Le Jayega Aur Dua Dega. Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Ek Faqir Waha Par Aata Aur Uss Roti Ko Utha Kar Chal Deta. Aur Bolte Jaata Ki "Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega". Din Guzarte Gaye Aur Ye Silsila Chalta Raha, Woh Faqir Roti Le Kar Jata Aur Yehi Baat Bad-badata. Jab Uss…
♥ Mohabbat Ki Haqeeqat Lafz-e-Mohabbat Hum Apni Zindagi Anginat martaba Sun'te Rehte hai , Jabki Iske Haqiki Maane Aur Mafhoom se Hum Bekhabar hai, Tou Lihaja Is Post Ke Waseele Se Aayiye Ek Misal Ke Tehat Ye Wajeh Kar Dete Hai Ke Aakhir me "♥ Hai Kya Ye Mohabbat ?…" *Yaad Rahe Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai "Ita-at ,.." Maslan: Agar Mai Aapse Ye Kahu Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya Tasawwur Karoge Aap Mere Baare Me ? - Ke Shayad Walidain ki Khidmat Karta Ho, Raato Me Uthkar Pair Dabata…
Al-Quran: Jab koi baat kaho to insaf se kaam lo, chaahe… Quran: 3-May: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quran me farmata hai: ‟Jab koi baat kaho to insaf se kaam lo, chaahe muamla apne qareebi rishtedaar hi ka ho. -Surah Al-Anam 6:152
Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Ambiya (Alahi Salam) Ki Sunnat ... !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Ambiya (Alahi Salato Salam) Ke Bheje Jaane Ka Maksad Allah Ka Paigaam Uske Bando Tak Pohochana Hota hai,.. Aur Allah Rabbul Izzat Ne Roo-e-Zameen Par Kamosbesh 1 Lakh 24 Hazar Nabi aur Rasool Maboos Kiye Taaki Apne Hukm Ko Deen-e-Tawheed Ka Paigaam Apne Bando Tak Pohchaya Jaye,.. *Aur Tamam Tar Ambiyao ne Ta-Waqte-Hayat Apni Zimmedariya Bakhubi Nibhayi ,.. Hatta Ke Haalat-e-Wafat Ke Kareeb Hai Fir Bhi Apni Naslo Ko Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Farma Rahe Hai .. Aisa hi Ek Wakya Rabbul Izzat Ne Quran Me Bayan Kiya Aur Farmaya - ♥ Al-Quran: (Aye Yahood!!) Kya Tum Uss…
Sabko Allah Hi Ki Taraf Loutna Hai Allah Rabbul Izzat Ek Ayat Me Farmata Hai: ♥ Al-Quran: Aye Wo Logon Jo Imaan Laye Ho! Gour Se Suno Ke Allah Aur Uskey Rasool Jis Taraf Tumhe Bulatey Hai Uss Taraf Jao, Jab Ki Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uss Cheez Ki Taraf Tumhe Bulatey Hai Jo Tumhe Zindagi Deti Hai Duniya Aur Aakhirat Ki,.. Agar Tum Aisa Na Karoge Tou Jaan Lo Ke Allah Insan Aur Uskey Dil Ke Bich Me Aad Ban Jata Hai , Usko Hidayat Se Door Kar Deta Hai.. Aur Yaad Rakho Ke Palat Kar Allah Hi Ki Taraf Jana Hai Tum Sabko..”…
Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Uqba-Bin-Aamir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Ek Roz Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Nikle Aur Uhad Ke Shaheedon Par Namaz Parhi Jaise Janaze Ki Namaz Parhte Hain Phir Minbar Ki Taraf Aaye Aur Farmaya - "Main Tumhara Paish Khaima Hunga Aur Gawah Hunga Aur Qasam Allah Ki - Main Hauz Ko Iss Waqt Dekh Raha Hoon Aur Mujhko Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Ata Ki Gayee Hain, - Yaa Zameen Ki Kunjiya Aur Qasam Allah Ki Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge - Balki Ye Darr Hai Ki Tum Duniya Ki Lalach Me Aakar…
Al-Quran: Neki aur Buraai baraabar nahi hoti Quran: 29 - July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Aur Neki aur Buraai baraabar nahi hoti, is liye turn buraai ka jawaab aise tariqe se do jo behtareen ho. Nateeja yeh hoga ke tumh me aur jis me dushmani thi, woh dekhte hi dekhte (tumhaara) jigri dost ban jaayega.❞ 📕 Surah Fussilat 41:34
Agar Tum Sabr karo aur Allah se darte raho tou [ Al-Quran;… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Agar Tum Sabr karo aur Allah se Darte raho tou Inn (Mushriko, Dushmanan-e-Deen) ka Makkar Tum ko Zara sa bhi Nuqsaan nahi pohnchaa sakta." [ Al-Quran; 3:120 ]
Hadees: Quran ki Shifarish Tilawat karne wale ke haq me Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilaawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilaawat karne waalon ke haq mein Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804 Recite the Qur'an, for on the Day of Resurrection it will come as an intercessor for those who recite It
Dua Ki Wajah Se Allah Apne Bande ko 3 Cheezo Se Zaroor… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - "Koi Aisa Musalman Nahi Jo Koi Dua Kare Jisme Gunaah Aur Kitta Rehmi Na Ho Magar Allah Uss Dua Ki Wajah Se Uss Ko 3 Cheezo Se Zaroor Nawaz Deta Hai". (1). Ya Tou Filhaal Wohi Cheez De Deta Hai,.. (2). Aur Uski Aakhirat Ke Liye Zakhira Deta Hai (Aakhirat Ke Liye Uss Dua Ko Baaki Rakhta Hai), (3). Ya Koi Aisi Hi Burayi Uss Se Hataa Deta Hai (Uss Dua Ke Badley Koi Musibat Taal Deta Hai). *Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Farmaya - "Iss Haalat Me Tou…
Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me) *Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta'ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge. - (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din Sifarish… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ❝Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. aur tum jo kuch kharch karoge Allah Ta'ala bakhoobi janta hai.❞ 📕 Al-Quran; Surah Aal-e-Imran 3:92 हिंदी ❝ तुम नेकी और वफ़ादारी के दर्जे को नहीं पहुँच सकते, जब तक कि उन चीज़ो को (अल्लाह के मार्ग में) ख़र्च न करो, जो तुम्हें प्रिय है। और जो चीज़ भी तुम ख़र्च करोगे, निश्चय ही अल्लाह को उसका ज्ञान होगा❞ 📕 हिंदी अनुवाद: अल क़ुरआन ३:९२ मराठी ❝ तुम्ही जोपर्यंत (अल्लाहच्या मार्गात) तुमच्या सर्वाधिक प्रिय वस्तू खर्च करत नाही; तोपर्यंत…
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6 Mohabbat Kisko Kahte hai ? Aayiye Ek Misal De Du Mohabbat Ki… Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Mohabbat!! ,.. - Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai Ita'at ,.. *Agar Mai Ye Kahu Aapse Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya Tasawwur Karoge Aap Mere Baare Me ? - Shayad Unki Khidmat Karta Ho, Raato Me Uthkar Pair Dabata Ho, Kabhi Arey-Turey Na Kahta Ho, Uff Bhi Na Karta Ho! - Yahi Saari Baate Khayal Karoge Na Aap Mere Baare Me ? ,.. - Matlab Meri Mohabbat Ko Ita'at Me Aap Tasawwur Karoge .. *Lekin…