Islamic Quiz 150 Qayamat ke Din Momin ka Meezan (Tarazu) me Sab se Wazandar Amal Kaunsa Hoga? A. Doosro ki Zaroorat Poori Karna B. Namaz-e Tahajjud C. Sadqah Khairat D. Acche Akhlaq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Acche Akhlaq Daleel : ۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya – "Qayamath ke Din Momin ke Meezan Mein Akhlaq-e-Hasna se Bhari Koi Cheez Nahi Hogi." 📕 Jame Tirmizi 2002 Allah Taala Hume Kehne Sunne se jyada amal ki toufik de, Hume BaaAkhlakh banaye. Ameen Allahumma Ameen.
Husn-e-Akhlaq ki Ahmiyat aur Fazilat ✦ Neki Acche Akhlaq ka Naam hai : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nawas bin Samaan Ansari (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Neki aur Gunaah ke baare me Poocha tou Aap ne farmaya "Neki Acche Akhlaaq ka Naam hai aur Gunah Jo tere Seeney me Khatke aur tujhe pasand na ho ke log usey jaaney." (Sahih Muslim 2553) ✦ Kaamil Iman ki Alamat : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Momino me Iman ke Aitbar se sabse Kamil Shakhs wo hai jiske Akhlaaq sabse acche hai." (Abu Dawood 4682) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem…
Momin Ka Sab se Bhaari Aamal Husn Akhlaq ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai: “Qayamat Ke Din Jab Tarazu Me Amaal Toley Jayenge Tou (Momin Ka) Sab Se Bhari Aamal Husn Akhlaq Hoga.” - (Ibn Haban, 876) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी ऐ करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है: "क़यामत के दिन जब तराजू में अमाल तोले जायेंगे तो (मोमिन का) सब से भारी अमल हुस्ने अख्लाख होगा." - (इब्ने हब्बान, 876) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Tum me se sab se acche log wah hai jo ... ♥ Hadees-e-Nabvi (ﷺ) : Nabi-e-Kareem (Salallahu Alahi wasallam) farmate hai, “Tum me se sab se acche log wah hai, jo Qarz ki adayegi ke muamle me acche ho” – (Muslim, Hadees: 4195) ♥ हदीसे नबवी (ﷺ) : नबी ऐ करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, “तुम में से सबसे अच्छे लोग वह है, जो क़र्ज़ की अदाएगी के मुआमले में अच्छे हो” – (मुस्लिम, हदीस: 4195)
Subah ke sare Azkar me se Meezan par sabse bhari Azkar ✦ Mafhum-e-Hadees: Ummul Momineen Juwairiyah (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) subah ko unke pass se nikle , wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone kaha, ji haan ! Aap(ﷺ) ne farmaya "Maine tumhare baad chaar kalme 3 baar padhe , agar in kalmo ka wajan kiya jaye un kalmo ke saath jo…
Momino me Kaamil Shakhs Ki Pehchan ,... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.” – (Abu Dawood #4682) • Wajahat: *Beharhaal Yaad Rahe: Akhlaaq Ki Khubsurti Momino Par Faraiz Ko Saaket (Exceptional) Nahi Karti ,. Yaani Ke Bus Namaz, Roza Chorr Do Aur Acche Aklaakh Ikhtiyar Kar Lo,.. Yaad Rakhiye Aisa Nahi Hai Bilkul Bhi ,.. *Namaz, Roza, Hajj, Zakat Jaise Faraiz Ki Pabandi Tou Karni Hi Hai Har Haal Me ,.. Lekin in Saari Baato Ke Saath Akhlaaq Ki Khubsurti…
Hadees: Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko… [tabs] [tab title="Roman Urdu"] ✦ Mafhum-e-Hadees: Abdullah bin Amr (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: 'Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega. Wo Dono aasan hain magar us par Amal karne wale bahut kum hain, 1). Pahli ye ki Har Namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe , rawi kahte hain ki maine RasoolAllah (ﷺ) ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo Zuban par 150 (Yaani 5 waqt ki…
Aulaad ki Tarbiyat – Part 10 Aulaad ki Tarbiyat - Part 10 L). Tarbiyat ka 12th marhala: Dost aur Ahbab ka kirdar Aulad ki Tarbiyat me. Aulaad ki Tarbiyat me dost aur ahbab ka bhi aham role hai warna acche acche bacche bigad jate hain. Yaha walid ka ye kaam hai ki Humare bacche aur bachiyan kaha jate hain aur kaun kaun unka dost hai, unke Akhlaq kya hai unke muamlat kya hai wo kiske bacche hain unki kamayi kaisi hai ispar pura nazar rakhe aur dhyan dene ki zarurat hai. Aaj kal dekha jata hai ke, baaz martaba baccho ko Maa Baap toka karte hain…
Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Bada Martaba Pa Leta… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya: “Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Unn Logon Jaisa Martaba Paa Leta Hai Jo Raaton Ko Ibadat Karte Hai Aur Din Ko Roze Rakhte Hai.” - (Sahih Mustadrak Haakim, 198) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: “मोमिन अपने अच्छे अखलाख की वजह से उन लोगो जैसा मर्तबा पा लेता है जो रातों को इबादत करते है और दिन को रोज़े रखते है.” - (सही मुस्तदरक हाकिम, 198) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Raste se Takleef dene waali Cheez ko hata dena ۞ Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya: ❝Mujh par Meri Ummat ke acche aur burey tamaam Aamal pesh kiye gaye, yahan tak ke Rastey se takleef dene waali cheez ko hata dena maine acche aamal me dekha aur Masjid me Thuka Jaaney wala woh thuk jisey dafn naa kiya gaya ho usey burey aamaal me dekha.❞ 📕 Sahih Al-Muslim; Kitab-Ul-Masaajid; 1135
Beqasoor Musalman Par Ilzam Lagane Ka Gunaah ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - "Kisi Beqasoor Musalman Par Ilzam Lagana Aasman-O-Zameen Se Bhi Bhaari Gunaah Hai". - (Bukhari Vol-1, Page-330)
Al-Quran: Agar tum acche kaam karoge to apne hi fayde ke… Quran: 04-July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me farmata hai: ‟Agar tum acche kaam karoge to apne hi fayde ke liye karoge aur bure kaam karoge to bhi wo tumhare liye hi bura hoga.' 📕 Surah Bani Israil 17:7
Quran Hujjat Hai Tumhare Haq Me Ya Tumhare Khilaf ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Malik Ashari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Puri Tarah Wuzu Karna Emaan Ka Hissa Hai Aur Alhamdulillah Kahne Se Meezan (Nama-e-Amaal Ka Tarazu) Bhar Jata Hai, Tasbeeh (SubhanAllah) Aur Takbir (AllahuAkbar) Se Zameen Aur Aasman Bhar Jate Hain, Namaz Noor Hai Aur Zakaat Daleel Hai, Sabr Roshni Hai Aur Quran Hujjat Hai Tumhare Haq Me Ya Tumhare Khilaf.." - (Sunan Ibn Majah, Vol 1, 280-Sahih) *Quraan Hujjat Hai Se Muraad Roze Qayamat Quran Gawahi Dega Us Shakhs Ke Haq me Jisne Isey padha, Is Se Hidayat Hasil Ki aur…
Sahaba-e-Kiram (RaziAllahu Anhu) Ki Shaan .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Meri Ummat Me Sabse Zyada Reham Dil Abu Bakr (RaziAllahu Anhu) Hai, *Aur Unme Se Allah Ke Deen Ke Bare Me Sabse Zyada Sakht Umar (RaziAllahu Anhu) Hai, *Hayaa Ke Aitbar Se Sabse Sacchhey Usman (RaziAllahu Anhu) Hai, *Aur Sabse Achcha Faisla Karne Waale Ali Ibne Abu Talib (RaziAllahu Anhu) Hai. *Allah Ki Kitab Ko Sabse Umdah Padhne Waale Ubai Bin Ka'ab (RaziAllahu Anhu) Hai, *Aur Sabse Zyada Haraam Aur Halaal Se Waqif Muadh Ibn Jabal (RaziAllahu Anhu) Hai, *Faraiz Me Sabse…