Ikhlas e Niyat ki Ahmiyat Hadees

Ikhlas e Niyat ki Ahmiyat Hadees

Ikhlas e Niyat ki kya Ahmiyat hai aayiye jante hai Hadees ki roshni mein, Shaheed, Aalim aur Maaldar ka anjam mehaz unki niyat me Ikhlas na honey ki wajah se.

Ikhlas e Niyat ki Ahmiyat Hadees

Ikhlas e Niyat ki Ahmiyat Hadees

Hadees: Abu Huraira (R.A) Riwayat Karte hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

Ek Shaheed Allah ke saamne Qayamat ke din laaya jayega, Allah usey puchega ke “Tuney kya Amal kiya ?”
Woh kahega ke Mai teri raah me ladh kar Shaheed hua,

Allah farmayega:
“Tu jhoota hai, balke tu iss liye ladha ke tujhe bhahadoor kaha jaye, yaani teri Niyat Duniya me poori ho gayi ab mujh se kya chahata hai, phir mooh ke bal ghasit kar aag me fenk diya jayega.

Essi tarah ek Aalim jisney ilm ko charcha ki niyat se padha aur padhaya tha, Allah ke saamne pesh ho kar jahannum me jhok diya jayega.

Phir ek naam ke garz se Sakhawat Sadqa karne wala maaldar ka bhi yahi anjam hoga.”

📕 Muslim, Kitab-Ul-Imarat Hadees 1905

Sabaq: lihaza hume chahiye ke ikhtiyaraat ke niyat se neki na karey, ke beshaq Allah Ta’ala hamare har kism ki niyato se bakhubi wakib hai, isiliye zaruri hai ke hum apne saare jayaz kaamo me sab se pahle ikhlaas ke saath niyat kar liya karey kyon ke jaisi niyat hogi waisa hi azr milega, aur beshaq tamam aamaal ke sawaab ka daromadar niyato par hai.

In sha Allah-Ul-Azeez! Allah Hume kehhne Sun’ne se jyada Amal ki toufiq de. Ameen..


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *