Shawwal ke rozo ki Fazilat

Shawwal ke 6 Rozo ki Fazilat

Hadees of the Day

Shawwal ke 6 Rozo Ki Fazilat

Abu-Ayyub-Ansari (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :

“Jo Roze Rakhe Ramzan ke aur iske sath lagaye 6 Roze Shawwal ke tou isko humesha ke Rozon ka Sawaab milega.”

📕 Sahih-Muslim, Hadees#2758
📕 Sunan-Ibn-Majah, Hadees#1716


Ek aur Riwayat me aata hai ke –

Rasol’Allah (ﷺ) ke Aazad karda Ghulaam Hazrate Sobaan (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –

“Jo Eid-Ul-Fitr ke Baad 6 Din ka Roza rakhe isko purey Saal ke Rozon ka Sawaab milega, Jo ek neki laye isko iska 10 Gunaa ajar milega.”

📕 Sunan-Ibn-Majah; Hadees no.1715

5/5 - (2 votes)
Neki ka Sawaab 10 se lekar 700 Guna

Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou Aye Farishto! Iski 1 Neki likho

Hadees of the Day

Neki ka Sawaab 10 se lekar 700 Guna

Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai ke –
Allah Ta’ala farmata hai aur Iska Farmaan-e-Haq hai ke,

“Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou (Aye Farishto)! Iski 1 Neki likho.
Phir agar Woh ker Chuke tou Iski 10 Nekiyan Likh lo,

Agar Woh Burayi ka Iraada kare tou Kuch na likho,
Agar Kar Chuke Tou 1 Hee Burayi Likho,
Aur agar Na kare tou Iske Liye bhi 1 Neki Likho”

📕 Tirmizi Sharif

Phir Aap (ﷺ) ne ye Aayat Tilawat farmaayi –

Read More

4.9/5 - (11 votes)
Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota

Allah ki Raah me Kharch Karne ki Fazilat

Hadees of the Day

✦ Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota

Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ki, Allah Subhanahu Ta’ala farmata hai

“Aye Aadam ke Betey! Kharch kar ki Mai bhi Tujh par kharch Karunga” aur Rasool’Aallah (ﷺ) ne farmaya “Allah ka Haath (Dast-e-Qudrat) bharaa hua hai (Raah-e-Haq Par) Raat Din Kharch karney se kuch kum nahi hota.”

📕 Sahih Muslim, Vol 3, Hadees no. 2308

Read More

5/5 - (5 votes)

Sabr Ka Badla ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne …

Read More

Paani Pilaney Ka Sawaab

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Kehte Hain Ke, Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) …

Read More

Nafeel Roze Ka Sawaab

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) Irshad Farmate Hai …

Read More