Ba’Qoul Qurane Majid: “Iqra’ Bi’asmi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa.”
– Bus Fir Musalmano Ki Aaneywali Naslo Ne Apne Rabb Ka Naam Lekar Aisa Ilm Haasil Kiya Jo Rehti Duniya Tak Logon Ke Liye Faydemand Sabit hua. Phir Chahey Wo Shariyat Ka Ilm Ho Ya Fir Duniyawi Ilm, (Religious Knowledge or Universal Knowledge) Bina Tafrik Aur Fark Kiye Rab Ka Naam Letey Aur Har Uloom Ko Padh Letey.
Aur Naa Sirf Padhtey Balki Har Uloom me Maharat Haasil Kar Li, Balke Inhone Kayi Naye Uloom Aur Fun Dunia Ko Diye Aur Bataya Yeh Hota Hai Knowledge Yeh Hota Hai Ilm !!!
Isi Tarha Quraane Majid me Allah Ta’ala farmata hai:
Allah Ta’ala, Farishtey Aur Ahal-e-Ilm Iss Baat Ki Gawaahi Detey Hai Ke Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Woh Adal Ko Qayam Rakhne Wala Hai Uss Ghalib Aur Hikmat Waley Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi.
Al Quran, Aale Imran; 3:18
* Tou Iss Ayat Me Allah Ta’ala Ne Yeh Kaha Ke: “Allah Gawahi Deta Hai Ke Wo(Allah) Ek Hai.”
Fir Farishtey Gawahi Dete Hai Ke – “Wo(Allah) Ek Hai.”
Aur Ahle Ilm Ka Maqaam Bataya Gaya Hai, Ke Ahle Ilm Ko Allah Rabbul Izzat Farishto Ke Baad Ginwa Raha Hai Iss Liye Ke Yeh Gawahi Detey Hai Ke Qaynaat Ka Rab, Wo Allah Ek Hai.
* Aur Zaahir Si Baat Hai Ke Ilm Waley Isliye Gawaahi Detey Hai Kyunki Wo Ilm Haasil Karte Hai, Sikhtey Hai, Wo Jantey Hai Ke Yakinan Iss Qaaynat Ko Bananey Wala Koi Ek Mabood Hai Wo Ek Hi Hai, aur Agar Ek Se Jyada Hotey Tou Qaaynat Ka Nizam Chal Hi Nahi Sakta.
# Tou Yaha Bhi Iss Ayat Me Ilm Walo Ki Fazilat Pata Chal Rahi Hai Ke Allah Rabbul Izzat Kehta Hai Ke Yeh Gawahi Dete Hai Uss Rabb Ke (Yaani Allah) Ke Ek Hone Ki.
Ek Aur Aayat Me Ilm Walo Ke Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai:
Allah Se Uskey Wohi Bandey Dartey Hain Jo Ilm Rakhtey Hain.
Al Quran, Surah Fatir 35:28
Zaahir Si Baat Hai, Aaj Humne Allah Ka Darr (Taqwa) Ikhtiyaar Nahi Kiya Isliye Ke Hum Ilm Hi Nahi Rakhtey Uskey Talluk Se,.. Naa Jantey Hai Usney Kya Diya , Naa Jantey Hai Humare Liye Usney Kya Kiya , Naa Jantey Hai Ke Wo Humse Kya Chahta Hai , Buss!! Zindagi Guzaar Rahe Hai, Tou Kaha Se Allah Ka Darr, Wo Taqwa Aayega.
Jabke Allah Farmata Hai Ke Uska Taqwa, Uski Farmabardari Wohi Bandey Karte Hai Jo Uskey Talluk Se Ilm Rakhte Hai.
# Lihaja Hume Chahiye Ke Har Haal Me Ilm Haasil Karey.
Sharayi Ilm Aur Kouneni Ilm (Religious Knowledge and Universal Knowledge) …
Fir In’sha’Allah Har Kism Ka Jayaz Ilm Hume Apney Rab Ki Taraf Ruju Karwayega ,..
To Be Continue …