Bewajah logo se Bheek Mangna Hadees ki roshni mein jaaney.
Bheek Mangna Hadees ki roshni mein anjaam
Hadees: Hazrate Abdullah ibn Masud (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “jo shakhs maaldar honey ki halat me bhi sawaal kare (maange) tou wo Qayamat ke din iss tarah aayega ki uska mooh kharocha hua ya kata ya phata hoga.”
Sahaba ne pucha “insan kitne maal se maaldar kehlata hai?”
Tou Aap (ﷺ) ne farmaya “50 dirham ya uski qeemat ka sona (rakhne wala).”
📕 Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadees 1613-Sahih
Hadees: Hazrate Samurah bin Jundub (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Kisi se kuch maangna apne mooh par zakhm lagane ke barabar hai, ab jo chahe apne mooh (chehre) ko sahi rakhe aur jo chahe aisa hi chhodh de, haan! uss shakhs ke liye maangna jayaz hai jo behad majbur ho ya jo haakim-e-waqt se mangta ho.”
📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees 1626-Sahih
Related Hadees:
- Qarz ki Hadees
- Qarz ki Adayegi se Muhh na phero
- Bagair Majboori Qarz lene se bacho
- Qarzdar ko mohlat do ya Qarz muaf kar do
- Qarz ki Hadees: Tum Qarz lena kum kar do, Aazadi ke sath Zindagi Guzaroge
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.