Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa

Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa

Hadees of the Day

Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa

Sa’d Bin Ubadah (R.A) se riwayat hai, 
Maine Nab-e-Kareem (ﷺ) se poochha

Kaunsa Sadaqah Afzal hai?”

Aap (ﷺ) ne farmaya

“Paani Pilana”

📕 Sunan Ibn e Maja, Hadith 3684


# Wajahat: 

Jahan par logo ko Paani ki Haajat ho waha “Sabeel rakhna” Ya Kuwa Ya Hauz bana dena.

Isi tarah Jahan jis cheez ki Musalmano ko Zarurat ho aur takleef ho rahi ho , waha usi ka Sadqa Afzal Hoga.

Aur Hasil yeh hai ke Allah ki Makhlookh ko Rahat Pahuchana. Is se Jyada Sawab Kisi Cheez me nahi, yaha tak ke Janwaro ko Rahat Pahuchane me bhi Bada Ajar hai.

♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!

Allah Taala hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik dey. Ameen.

4.5/5 - (8 votes)
Hadees about Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat

Kharch karnewalo ke liye Farishton ki Dua

Hadees of the Day

Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Koi din aisa nahi jata ke jab bandey subah ko uthte hai tou 2 farishtey aasmaan se na utarte ho, ek Farishta yeh kehta hai ke Aye Allah! (Khairat/Zakaat/Sadaqat) kharch karne wale ko is ka badla de, aur dusra farishta kehta hai, Aye Allah! Kanjush (Baqeel) ke maal ko barbaad karde.”

📕 Bukhari Shareef, 1442

4.9/5 - (21 votes)
Allah Taala ne tumpar Maa Ki Nafarmani Tum Par Haraam Ki - Sahih Bukhari; Hadees: 5975

Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki

Hadees of the Day

Allah Taala ne Tumpar Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki

Al-Mughira (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –

“Allah Ta’ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur ( walidain ke haqooq ) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna ( bhi haraam qarar diya hai ) aur Kil wa qail ( fuzool bateen ) kasrat se sawal (Unnecessary Demand) aur maal ki barbadi ko bhi napasand kya hai.”

📕 Sahih Bukhari; Hadees: 5975

: WAJAHAT :

Yaani Allah Ta’ala ne Maa ki Nafrmani aur Betiyonko Zinda Dafnana bhi Haraam Karar kar diya,

– Aur Kisiko na dena Matlab Sadqa-Khairaat na karna aur beja Sawal (Mangna) karna bhi Haraam thehraya,

– Aur Fizul baate karna, Zaroorat se jyada mangna, Maal ko barbad karna Inn Saari baton ko bhi Haraam me Shumar kiya hai.

Ameen ! Allahumma Ameen

5/5 - (3 votes)
Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Unki Misaal Jo Apne Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai Uss Dane ki tarah hai Jisko 7 Baali nikley Aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou Daane nikle Aur Allah Uss se bhi Zyada Barhaaye jiske liye chahe aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala hai.”

📕 Sureh Baqrah 02:261

» Wajahat: *Allah ki Raah me Kharch Karnewale ke Talluk se Iss Ayat me Allah Ta’ala Ek Misaal ke Tehat Farmata hai –
“Ke Koi Shakhs Ek Dana(Beej) Zameen Me Boye aur Uss Daane se 7 Baliya Nikal aayi aur Har Baaliyon me 100-100 Daane hai.

Matlab Agar Isey 7 Se Multiple karey Tou 700 Gunaa Azr Yaa Uss se bhi Jayada Uss Beej Bone Wale (Yaani Allah Ki Raah Me Kharch Karnewale) ko milta hai … ” (Subhan’Allah!!!)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!! Allah Rabbul Izzat Hume kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufeeq dey. Ameen

5/5 - (2 votes)
Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai

Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge.”

📕 Surah Baqrah 2:262

Read More

5/5 - (3 votes)
Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota

Allah ki Raah me Kharch Karne ki Fazilat

Hadees of the Day

✦ Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota

Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ki, Allah Subhanahu Ta’ala farmata hai

“Aye Aadam ke Betey! Kharch kar ki Mai bhi Tujh par kharch Karunga” aur Rasool’Aallah (ﷺ) ne farmaya “Allah ka Haath (Dast-e-Qudrat) bharaa hua hai (Raah-e-Haq Par) Raat Din Kharch karney se kuch kum nahi hota.”

📕 Sahih Muslim, Vol 3, Hadees no. 2308

Read More

5/5 - (5 votes)
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

Hadees of the Day

Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai.”

📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6592

Read More

5/5 - (6 votes)
Sadaqat ul Fitra

Zakat-ul-Fitr ke Ahkaam

Zakat-ul-Fitr Ke Ahkaam : Quran wa Sunnat ki Roshni mein, Sadqat ul Fitr ki Farziyyat, Fitrane ki Hikmat aur Shartein, Fitrana kinko diya jaaye…

Zakat Sadqa aur Fitre ke Masail

Zakat Saqda aur Fitre ke Masail Adv Faiz Sayed

01. Zakat Sadqa aur Fitre me Kya Farq hai
02. Zakat Ka Nisab Kya hai aur Kab Di Jayengi
03. Zakat Kisko De ?
04. Kya Aurat ko Apne Zewar ki Zakat Dena Padegi agar Sohar Na de tou
05. Khawateen – Aurat – Women Zakat Kaise De Jabke Wo Kamti Nahi Hai
06. Kya Syed ko Zakat De Sakte Hai
07. Fitra(Sadqe Fitr) kaise dena Chahiye
08. Sadqa e Fitr Koun de Kab de aur kisko Dena Chaiye
09. Zakat Koun de aur Kitni de – Who Should Give Zakah & How Much
10. Zakat Kisko Dein – to Whom we Should Give our Zakah

5/5 - (3 votes)