Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa

♥ Mafhoom-e-Hadees: Sa’ad Bin Ubadah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, Maine Aap (Sallallahu Alayhi Wa Sallam) se poochha “Kaunsa Sadqa Afzal hai..”
Aap (Sallallahu Alayhi Wa Sallam) ne farmaya “Paani Pilana”
–  [Sunan Ibn e Maja,  Jild : 3, Kitabul-Aadab; Bab No.8; Hadith No.3684, Page No.265]

# Wajahat: Jahan par logo ko Pani ki Haajat ho waha “Sabeel rakhna” Ya Kuwa Ya Hauz bana dena.
– Isi tarah Jahan jis cheez ki Musalmano ko Zarurat ho aur takleef ho rahi ho , waha usi ka Sadqa Afzal Hoga.

*Aur Hasil yeh hai ke Allah ki Makhlookh ko Rahat Pahuchana. Is se Jyada Sawab Kisi Cheez me nahi, yaha tak ke Janwaro ko Rahat Pahuchane me bhi Bada Ajar Hai.

♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
Allah Taala hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik dey.. Ameen ..

 

 

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: