Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah
Hadees: Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki –
“Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega.
Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele’n Aasaan bana deta hai.
Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo Banda Apne Bhai ki Madad Karta rehta hai”
# WAJAHAT:
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Neki aur Bhalayi ke Kaamo me Ek-Dusre ki Madad karo aur Gunaah aur Jurm ke Kaamo me Ek Dusre ka Saath Na do aur Allah se daro. Beshaq, Allah (Gunahgaro ko) Sakht Sazaa dene wala hai.”
♥ in’sha’Allah Ul Azeez !!! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik dey. Ameen !!!