Hadees: Iman ka Sabse kam Darja

Hadees: Iman ka Sabse kam Darja

✦ Hadees: Roman Urdu ✦

Iman ka Sabse kam Darja

Abu Saeed Khudri (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Tum Mein se jo Shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo Shaksh (zimmey se) bari ho gaya, Agar usmein itni Taqat na ho aur wo Zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi Taqat na ho to wo Dil se bura Samjhey to wo bari ho gaya ye imaan ka Sabse kum darja hai.

📕 Sunan Nasaii, Vol 3, Hadees: 1310-Sahih © www.ummat-e-nabi.com/home

Read More

5/5 - (4 votes)
Emanwale Ki Pareshani Door Karne Ka Silaah Hadees

Emanwale ki Pareshani Door Karne ka Silaah

Hadees of the Day

Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah

Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki –

“Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega.

Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele’n Aasaan bana deta hai.

Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo Banda Apne Bhai ki Madad Karta rehta hai”

📕 Sahih Muslim 6853

Read More

5/5 - (3 votes)
26 Muharram | Sirf Paanch Minute ka Madarsa

26. मुहर्रम | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा

हज़रत इस्हाक़ (अ.स) की खुसूसियत व अज़मत, मुअजिजा : हज़रत फातिमा (र.अ) के चेहरे का रोशन हो जाना, एक फ़र्ज़ : तमाम रसूलों पर ईमान लाना, एक सुन्नत : कनाअत और सब्र हासिल करने की दुआ, अहेम अमल : तकलीफों पर सब्र करना, नाप तौल में कमी करने का गुनाह …

Hadees Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

Hadees of the Day

Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

۞ Hadees: Hazrate Samrah (R.A.) ne farmaya,
Hum Darbaar-e-Nabuwat (ﷺ) me haazir they ke, Ek Shakhs haazir hua aur arz kiya
“Ya Rasool’Allah (ﷺ) ! Allah Ta’ala ke Qareeb tar Aamal kya hain?

Aap (ﷺ) ne farmaya “Sach Bolna aur Amanat ka Aada karna.”

Arz kiya gaya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye! ”

Aap (ﷺ) ne farmaya :
“Tahajjud ki Namaz aur Garmiyon ke Roze.”

Phir Maine arz kiya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye!”

Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Zikr-e-Elahi ki Qasrat karna aur Mujh par Durood-e-Paak Padhna tangdasti ko door karta hai.”

Mai ne arz kiya “Kuch aur Irshaad farmaiye.”

Aap (ﷺ) ne farmaya
“Jo kisi Qoam ka Imaam baney tou Halki Namaz parhaye, Kyun ki Muqtadion me Burhay(Oldage) bhi hotey hai, Bimaar bhi, Bacche bhi aur Kaam kaaj wale bhi.”

📕 Al-Qawl Al-Bade’e, Pg 129
📕 Sa’adat Al-Daarain, Pg-714

4.6/5 - (14 votes)

Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta …

Hadees: Jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye

Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:

‟Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta
jo khud pait bhar ke khaye aur
uska padosi bhuka reh jaye.

📕 Shoaib Ul Iman 5660

5/5 - (4 votes)
Taqdeer par iman lana

Hadees: Chaar baato par Iman Lana Farz hai

  [bs-heading title=”Roman Urdu” show_title=”1″ title_link=”#RomanUrdu” heading_color=”#ef4e56″ heading_style=”t6-s9″ heading_tag=”h4″ custom-css-class=”_h_lang”][/bs-heading] ۞ Hazrat Ali (R.A) se …

Read More

Waswasao Ka Bayan ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Kuch Sahaba Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay …

Read More