Padosi ko Takleef na Pahuchaye:
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Aur Jo Koi Allah Aur Aakhirat ke Din par Imaan rakhta hai Wo Apne Padosi (Neighbour) ko takleef Na pahunchaye.
Aur Jo koi Allah aur Aakhirat ke Din par Yakeen Rakhta ho Wo Apney Mehmaan ki Izzat karey.
Jo Koi Allah Aur Aakhirat ke Din par Imaan rakhta hai Usey chahiye Ki Acchi Baat kahey warna Khamosh rahey.“
Maloom Hua ki Iman ka Takaza hai ki Padosi Ko Dukh Na Diya Jaye ! Mehman Ki Ijjat Ki Jaye , Zuban Ko Kabu Me Rakha Jaye, Warna Iman ki Khair manani chahiye !
Mehman Nawazi kare:
Abu Shuraih Adavi (R.A) ne bayan kiya, Unhone Kaha Ki mere Kano ne Suna aur meri Aankho ne dekha Jab RasoolAllah ﷺ Baatchit farma rahe they !
Aahajarat ﷺ ne farmaya ki –
“Jo Shakhs Allah aur Akhirat ke din par Iman Rakhta ho tou wo apne Padosi ka Ikram kare, aur Jo Shakhs Allah aur Akhirat ke din par Iman rakhta ho tou apne Mehman ki Dastoor ke Muwafik har tarah se Ijjat kare.“
Puchha “Ya RasoolAllah ﷺ ! Dastoor ke mutabik kab tak hai ?”
Aap ﷺ ne farmaya:
“Ek Din aur Ek raat aur Mezbaani Teen din ki hai aur Jo Uske Baad ho wo Uske liye Sadqa hai aur Jo Allah aur aakhirat ke din par Iman rakhta ho tou wo behtar baat kahe ya khamosh rahe.”