♥ Mafhoom-e-Hadees: Tameem Dari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Bandey Se Qayamat Ke Roz Sabse Pahle Namaz Ka Hisaab Hoga !!
*Agar Uski Namazein Puri Hongi Tou Uske Nawafil Alag Se Likh Diye Jayenge
*Aur Agar Usne Namazein Puri Nahi Ki Hongi Tou Allah Ta’ala Apne Farishton Se Farmayega –
‘Dekho Kya Mere Bande Ke Pass Nawafil Hain ? ‘
*Tou Unn Nawafil Ke Zariye Jo Faraaiz Usney Zaaya Kar Diye
Unki Takmeel Kar Do Phir Baaqi Aamal Ka Hisaab Bhi Isi Tarah Hoga,..”
– (Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426)
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Taala Hume Tamam Faraiz Sunnato Aur Nawafil Ka Ahtmam Karne Ki Taufik Ata Farmaye,..