Islamic Quiz 210 Inmein se kin kin Gunah ko RasoolAllah (ﷺ) ne Kabira Gunah kaha hai ? A. Waldein ki nafarmani karna B. Allah ke saath kisi ko Sharik karna C. Kisi ki nahaq jaan lena D. Saare Jawab Sahih GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Saare Jawab Sahih Daleel : Hazrate Anas (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) se bade (Kabira ) Gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap (ﷺ) ne farmaya: "ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna, Waaldein ki nafarmani karna,Kisi ki (nahaq) jaan lena,aur Jhooti gawahi dena." 📕 Sahih Bukhari, Vol 4,2653
Islamic Quiz 179 Kaunse shakhs ke liye irshad farmaya gaya hai ke wo Allah Subhanahu se bahut door hain? A. Na shukri karne wale B. Bahut ziyada behas karne wale C. Jiska Dil Sakht ho D. Inmein se koi nahi GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Jiska Dil Sakht ho Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Allah Subhnahu ke Zikr ke siwa ziyada baatein na kiya karo kuyke Allah Subhanahu ke zikr ke siwa ziyada baatein dil ki sakhti Qasadat (yani Sakhti) ka baais hain aur Sakht Dil shakhs Allah Subhnahu se koso door hain.“ 📕 Mishkat…
Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Islamic Quiz 215 Surah Al Kausar me Kausar se muraad kya hai? Options Are 👇 A. Jannat ka ek Ghar B. Jannat ki ek Nahar (Hauz) C. Jannatul Firdaus D. Inmein se koi nahi GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Jannat ki ek Nahar (Hauz) Daleel : Allah Taala Quran me farmata hai: "Beshak humne Aapko (O Muhammad ﷺ) Al-kauther Ata farmayee, So Apne RAB ke liye namaz parha karo aur Qurbani kiya karo , Beshak Aapka Dushman hi Be Naam-O-Nishan rahega." 📕 Surah Al-Kauther (108) ✦ Mafhoom-e-Hadees hai ke:Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ)…
Islamic Quiz 238 Inmein se Shaitaan kis ke Kaan me Peshaab kar deta hai? Options Are 👇 A. Jo Salam ka Jawab na de B. Jo Sadqa na de C. Jiski Fazar Choot Jaye D. Jo Napaak Rahe GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Jiski Fazar Choot Jaye Daleel : ۞ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya: “Nabi-e-Akram (ﷺ) ke Samne EK Shakhs ka Zikr Aaya ki Woh Subha tak Sotaa Pada raha aur Farz (Fajr) Namaz ke Liye bhi Nahi Uthaa, Ye Sunkar Aap (ﷺ) ne farmaya ki Shaitaan ne uske Kaan me…
Islamic Quiz 269 inmein se Quran ki wo kaunsi surah hai jiski "pahli aayat uske naam se shuru hoti hai ?" Options Are 👇 A. Surah As-saff B. Surah Taha C. Surah Nooh D. Surah Al Qiyamah GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Surah Taha ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Surah Taha Quran ki 20th Surah hai jiski pahli aayat ki shuruwat me hi Taha ka lafz aata hai." 📕 Surah Taha 20
Islamic Quiz 224 Inmein se wo kaun hai jisko Aadhi raat ibadat karne ka Sawab milta hai? Options Are 👇 A. Raat ko 10 aayat padh kar sone wala B. Miskeen ki madad karne wala C. Raat ko Wuzu karke Sone wala D. Isha ki Namaz jamat se padhne wala GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Isha ki Namaz jamat se padhne wala Daleel : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Jisne Isha ki namaz jamaat se ada ki to wo aisa hai jaise ki aadhi raat tak namaz padhta raha aur jisne subah ki…
Islamic Quiz 137 Inmein se Jannat ke beech ka darwaza kise kaha gaya hai? A. Maa B. Baap C. Bada Bhai D. Allah ke Wali GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Baap Daleel : ۞ Hadith: Abu Abdur-Rahman As-Sulami riwayat kartey hain Abu Darda (R.A) se ki unhoney kaha RasoolAllah (ﷺ) ne faramaya: “Walid (father) jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai , isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh.” 📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1959 ( Hasan) ۞ Hadith: Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Allah subhanahu ki raza walid…
Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Islamic Quiz 229 Allah Ta’ala ko Humaari Qurbaniyon ka kounsa hissa pahunchta hai? Options Are 👇 A. Khoon B. Gosht C. Taqwa D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Taqwa Allah Ta’ala ko Humhari Qurbaniyon se Sirf Taqwa (Parhezgaari) Pohochta hai. Daleel : ۞ Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai: “Allah Ta’ala ko Tumhari Qurbaniyon ka Gosht nahi pahunchta, Na un ke khoon balki usey to tumhaare dil ki parhezgaari (Taqwa) pahunchti hai.” 📕 Surah Al-Hajj; 22:37 Download Reel Coming Soon ...
Islamic Quiz 182 Wo Kaunsi Surah Hain Jiske Bagair Namaz Mukammal Nahi Hoti? A. Surah Ikhlas B. Surah Yasin C. Surah Fateha D. Surah Falaq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Surah Fateha Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Surah Fateha na padhi uski Namaz nahi hui." 📕 Sahih Bukhari 756
Islamic Quiz 172 Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain? A. Fajr aur Zohar B. Fajr aur Asr C. Fajr aur Maghrib D. Fajr aur Isha GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Fajr aur Isha Daleel : ۞ Hadees: Ubayy ibn Ka’b (R.A) se rivayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Ye do Namazein ( Fajar aur Isha ) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do Namazon ka kitna Sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey.” 📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan
Islamic Quiz 143 In me se Imaan aur Kufr ke Darmiyaan Farq karne waali Cheez kya hai ? A. Roza Chorrna B. Hajj Nahi Karna C. Sadqa Nahi Dena D. Namaz Ka Chorna GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Namaz Ka Chorna Daleel : Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Iman aur Kufr ke Darmiyan farq karne waali cheez Namaz hai." 📕 Jami At-Tirmidhi: 2618
Islamic Quiz 206 Apne Walid ko Chod ke Kisi aur ko Walid Kehna kaisa hain? A. Bola Ja sakta hai B. Saghirah Gunah hai C. Sab se bada Bohtan hai D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Sab se bada Bohtan hai Daleel : Wasila bin asqa bayan karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sab se bada Bohtan aur Jhut ye hai ki aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna Baap kahe." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3509
Islamic Quiz 140 Qayamat ke Din Kaun Hain Jiski Zuban Aag ki Hogi? A. Sood Khor B. Rishwat Khor C. Dogla Insaan D. Walidain Ka Nafarman GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Dogla Insaan Daleel : Nabi e Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Jo Shaqs Duniya mein Dogla hoga Roz-e-Qayamat Uski Zuban Aag ki Hogi." 📕 Mishkaat Ul Masabeeh 4846