Islamic Quiz 134 in me se Kiske Zariye Allah Subhanahu kisi Qaum ko Bulandi ya Zillat deta hain? A. Namaz B. Roza C. Quraan D. Hajj GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Quraan Daleel : Syedna Umar bin Khattab (R.A) bayan karte hain ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Allah Subhanahu taala is Kitaab (yaani Quraan) ke zariye baaz Qaumon ko rifaten (bulandi/heights) ataa karta hain aur baaz ko zaleel kar deta hain.” 📕 Musnad Ahmed; Hadees:8326-Sahih
Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Islamic Quiz 133 Wo kya hain jo kuch log ussey durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein hi chahenge? A. Namaz B. Zikr C. Amaal D. Quraan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Quraan Daleel : Hadees: Jabir (R.A) bayan karte hain, RasoolAllah (ﷺ) hamarey paas tashreef laaye to hum Quran padh rahe they aur hum mein Arabi aur ajmi bhi they, Aap (ﷺ) ne farmaya padho sab theek hain anqareeb aisey log aayenge jo usse is terhan (mubaligha ke saath) durust karenge jaisay teer durust kiya jata hain.…
Islamic Quiz 203 Wo Kounsa Gunaah tha Jiski Wajah se Allah Rabbul Izzat ne Looth (Alaihi Salam) ki Qoum ko Halaaq kiya? A. Zina B. Sood Khori C. Lawatat (Homo-Sexuality) D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Lawatat (Homo-Sexuality) Daleel : ۞ Tafseeli Wakaye Ke liye is link par click kare -https://ummat-e-nabi.com/history-of-dead-sea-by-holy-quraan
Islamic Quiz 142 Wo Kounsi Surah hai Jiski Tilawat 1/3 Quraan Padhne ke Barabar hai? A. Surah Al-Fatiha (1) B. Surah Yasin (36) C. Surah Al-Mulk (67) D. Surah Al-Ikhlas (112) GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Surah Al-Ikhlas (112) Daleel : Hadees: Abu darda (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Kya thak jata hai tum mein se koi is baat se ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ?"Sahaba ne arz kiya ki 'Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey padhh saktey hain ?'Aap (ﷺ) ne farmaya: "Qul Huwallahu Ahad…
Quraan-e-Kareem ..... ♥ Quraan-e-Kareem ♥ 22 Saal, 2 Maah, 22 Din Me Nazil Hua aur Isme Siparey → 30 Sajdey → 14 Manzil → 7 Surtein → 114 Makki → 86 Madni → 28 Ruku → 540 Aayat → 6236 Huroof → 323760 Zabar → 53243 Zer → 39582 Pesh → 8804 Madd → 1771 Tashadid → 1243 Nuqtey → 105681 1. Sawaal: Quraan Majid Me Waqfe Laazim ( ﻡ) Kitne Hain ? » Jawaab: Quraan Majid Me Kul 87 Waqfe Laazim Hai. Waqfe Laazim Ka Matlab Ye Hai Ki Quraan Shareef Ki Jis Aayat Me Memm (ﻡ) Ki Shakal Me Nishaani…
Tum me se Behtareen Shakhs woh hai jisne Quraan sikhe aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❖ Roman Urdu ❖ Farmane Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) hai ke – ❝ Tum me se behtareen shakhs woh hai jisne Quraan sikha aur dusro ko sikhaya.❞ 📚📚Sahih Bukhari J:3 ❖ हिंदी हदिस ❖ फरमाने मुस्तफा (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) है के - ❝ तुम में से बेहतरीन शख्स वो है जिसने क़ुरआन सीखा और दुसरो को सिखाया। ❞ 📚 सहीह बुखारी ज.३ For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Wasiyat Ka Huqm Quraan-e-Kareem Ki Roushni Me ..... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Tum Par Farz Kiya Jata Hai Ki Jab Tum Me Se Kisi Ke Maut Ka Waqt Aa Jaye Tou Agar Wo Kuch Maal Chorh Janey Wala Ho Tou Maa Baap Aur Rishtedaron Ke Liye Dastur Ke Mutabiq Wasiyat Kar Jaye Ye Laazim Hai Parhezgaron Par. Phir Jo Koi Usey Sun'ne Ke Baad Badal Daaley Uska Gunaah Usi Par Hoga Jo Usey Badlega, Beshaq Allah Bada Sun'ney Wala Aur Jan'ney Waala Hai". - (Surah 2. Al-Baqara, Aayat : 180-181)
Islamic Quiz 173 Fizool Kharchi Karnewalo ko Allah Ta’ala Ne Quraan me kya kaha hai? A. Shaitan ka Bhai B. Momino ka Dushman C. Bakhilo ka Sardar D. Sahih Jawab Ka Intezar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Shaitan ka Bhai Daleel : ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta'ala Qurane Kareem me farmata hai – "Aur Rishtedaro aur Mohtajo aur Musafiro ko Unka Haq ada karo aur Fizul Kharchi se Maal naa udaao. ki Fizool Kharchi karne waale tou Shaitan ke Bhai hain aur Shaitan Apne Parwardigaar ki Neyamato ka Nashukri Karnewala hai.” 📕 Quran 17:26-27
Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Islamic Quiz 154 Allah Ta'ala ne Quraan me Shohar aur Biwi ke Rishtey ki Misaal kis Cheez ki tarha bayaan Ki hai? A. Chand aur Suraj B. Khajur ka Darakht C. Libaas D. Samandar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Libaas Daleel : ۞ Allah Rabbul Izzat Quraan me Shohar aur Biwi ke Rishtey ki Misaal Bayan karte hue farmata hai – “Wo (Biwi) Tumhari Libaas hai aur Tum Unkey Libaas.” 📕 Al-Quran 2:187 🌟 WAZAHAT 🌟 Libaas Insan ki Zeenat Badhata hai aur Uske Aib Chupata hai, Isi Tarah Shohar aur Biwi ko bhi Ek Dusre ke…
Quraan Me Por (Finger Prints) Ki Kyun Baat Ki ? .... Allah Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai - ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Kya Insan Yeh Khayal Karta Hai Ki Hum Uski Haddiyon Ko Hargiz Ikhat'ta Nahi Karenge' Kiyon Nahi ! Ham Tou Uss Baat Par Bhi Qaadir Hain Ke Uski Ungliyon Ke Poron(Finger Print) Tak Ko Durust Kar Denge" - (Surah: Al'qayamah : Ayat 3/4). • Sabak: Quraan Me Allah Ne Por (Finger Prints) Ki Kiyon Baat Ki ? 1980 Me Sir France Golt Ne Tahqeeq Sar Anjaam Di Aur Us Tahqeeq Ki Raushni Me Finger Prints Ko Shanaakht(Identity) Ka Ek Ek Science Tareqa Qarar Diya Gaya Tha. Duniya…
Rasool'Allah Se Mohabbat Dono Jahaa Me Azmat .... ♥ Al-Quraan: Tumharey Pass Tum Hi Me Se Ek Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aaye Hai Tumhari Takleef Unko Gira'ah (Apni Takleef) Maloom Hoti Hai, Aur Tumhari Bhalayi Ke KhwahishMand Hai Aur Momeeno Par Nihayat Shafqat Karney Waley (Aur) Meharbaan Hai. - (Surah At-Taubah (9), Aayat-128) ♥ Al-Quraan: Aur Hum(Allah)ne Aap(Sallallahu Alaihay Wasallam)Ko Tamaam Jahaan Ke Liye Rehmat Banakar Bheja Hai - (Surah Al-Anbiya (21), Aayat-107) ♥ Al-Quraan: Humney Aapko Tamam Insaano Ke Liye Khushkhabri Sunaney Wala Aur Daraney Wala Banakar Bheja Hai Lekin Aksar Log Nahi Samajhtey. - (Surah Saba (34) , Aayat-28) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allahu (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne…
Islamic Quiz 229 Allah Ta’ala ko Humaari Qurbaniyon ka kounsa hissa pahunchta hai? Options Are 👇 A. Khoon B. Gosht C. Taqwa D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Taqwa Allah Ta’ala ko Humhari Qurbaniyon se Sirf Taqwa (Parhezgaari) Pohochta hai. Daleel : ۞ Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai: “Allah Ta’ala ko Tumhari Qurbaniyon ka Gosht nahi pahunchta, Na un ke khoon balki usey to tumhaare dil ki parhezgaari (Taqwa) pahunchti hai.” 📕 Surah Al-Hajj; 22:37 Download Reel Coming Soon ...
Islamic Quiz 182 Wo Kaunsi Surah Hain Jiske Bagair Namaz Mukammal Nahi Hoti? A. Surah Ikhlas B. Surah Yasin C. Surah Fateha D. Surah Falaq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Surah Fateha Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Surah Fateha na padhi uski Namaz nahi hui." 📕 Sahih Bukhari 756