Halaal Aur Haraam Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees 52

Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain …

Hadees of the Day

Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain

Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,
Mai ne Rasool’Allah (ﷺ) se suna ki –

“Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey.”

*Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya.

Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey ki hai Jo kisi ki Charagah ke Aas-Paas apney Janwaron ko charaye aur Kareeb hai ki Uskey Jaanwar Usmein chale jaye,

*Sun Lo! har Baadshah ki Ek Charagah hoti hai, Allah ki Chaaragah Uski Zameen par Haraam Cheezain hain.

Sun Lo! Badan me Ek Ghosht ka tukda hai Jab Wo Durast Hoga tou Sara Badan Durast Hoga
Aur Agar wo Bigad haya tou Sara Badan bigad gaya aur Wo Tumhara Dil hai.”

📕 Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees: 52

3.4/5 - (10 votes)
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

Hadees of the Day

Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai.”

📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6592

Read More

5/5 - (6 votes)
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda wo hai jo badla lene ki Quwwat ke bawajud Muaf kar de

Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda

Hadees of the Day

Allah ke Nazdeek Izzat wala banda

Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?

Allah Taala ne farmaya ke:
“Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de.”

📕 Sho’abul Iman 8327

5/5 - (10 votes)
Hadees : Sab se bada Sood

Sabse bada sood

Aaj ki Hadees | Hadees of the Day

Sabse bada sood

✦ Said ibn Zayd (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Sab se bada sood ye hai ke Aadmi Nahaq kisi musalman ki Beizzati kare.”

📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1448-Sahih

5/5 - (3 votes)