Waswasao Ka Bayan ….

Waswasao Ka Bayan ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Kuch Sahaba Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Hazir Huey Aur Aap Se Puchne Lage Ke Hum Apne Dilo Me Aise Khayal (Waswase) Mehsoos Karte Hai Ke Inhe Bayan Karna Bahut Bada Gunaah Maloom Hota Hai,

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmaya Ke – ‘Kya Tum Ne Ye Baat Payi Hai? ‘
Arz Kiya – ‘Haan !’
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – ‘Ye Khula Hua Emaan Hai’.
(Muslim, Miratul Manaji Jild 1, Safa 87, Waswasao (Burey Khayalaat) Ka Baab)

# Wajahat:
∗1. Ye Sahaba-e-Kiram Ke Kamal-e-Emaan Ki Daleel Hai Ke Waswasao Per Amal Karna Tou Kya Isey Zubaan Per Laate Bhi Ghabrate Hai.
∗2. Waswase Ko Badaa Bura Samajhna.
∗3. Yaani Waswase Aana Kamal-e-Emaan Ki Daleel Hai Kyunke Chor Bhare Ghar Me Hee Hamla Karta Hai Aur Shaitaan Momin Ke Emaan Par Hamla Karne Ke Firaaq Me Hee Zyada Laga Rehta Hai.

Allah Taala Humare Emaan Ki Salamti Ata Farmaye…

Leave a Comment