Ek Sahaabi They! Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko 2 Din Dikhayi Na Diye.
tou Aap ﷺ Ne Kaha – ‘Ke Uski Khabar Laao! Wo Kaha Hai?’
Ek Shakhs Nikley aur Unke Ghar Gaye aur Pucha Ke – ‘Wo Kaha Hai ?.’
Tou Unki Biwi Ne Kaha Ke – ‘Wo 2 Din Se Ghodo ke Astabal me Rotey Hue Baithey Hai,, Aap Jakar Samjhaiye Unhe…’
Jab Unke Paas Pohchey aur Pucha Ke – ‘Tumahara Kya Mu’amla Hai ? Kyu Ro Rahe Ho ?’
Tou Unohne Kaha Ke – ‘Rabbul Izzat ne Quraan Ki Aayat Nazil Kar Di Ke
“Jo Log Rasool’Allah ki Moujudgi Me Apni Aawazo Ko Buland Karte Hai, Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Gaarat Na Ho Jaye!..”
– (Al-Quran; Surah(49) Huzraat; Ayat 1-2)
Aur Meri Aawaz tou Bohot Unchi Hua Karti Thi, aur Maine Tou Rasool’Allah ﷺ Se Aisi Tez Awaaz me Kayi Baar Baat Ki. Lihaja Mere Amal tou Gaarat Ho Gaye! Ab Tum Chale Jao! Mai Tou Halaaq aur Barbaad Ho Gaya, Mujhe Chorr Do Isi Haal Me.!!
* * * *
Tou Yeh Darr Rakhte They Sahaba – “Ke Rasool’Allah ﷺ Ki Moujudgi me Awaaz Bhi Buland Ho Jaye tou Wo Yeh Tasawwur Karte ke Amaal Gaarat (Barbaad) Ho Gaye..
Haala Ki Yeh Aayat Baad Me Nazil Hui. Lekin Uske Baad Kabhi Unhone Tez Awaz Me Baat Na Ki..
* Yeh Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Adab Hai Ke –
Aapki Aawaz Se Unchi Awaz Na Karna Hai,
Aapke Kadam Se Kadam Aagey Na Badhana Hai,
Lekin Humara Mu’mla Tou Yeh Hai Ke –
* Zindagi Ke Tamam Shobey, Kadam aur Aawaz tou Door, Har Mua’mle me Barkhilaf Jaa Kar Usko Apna Aizaaz, Apna Sha’ar, aur Apna Alam Samjhtey Hai ke – Haa! Yeh Khilaaf Karke Hum Sahi Musalman Ho Gaye,..
* Zindagi Ke Kayi Shobey, Subha Se Lekar Shaam Tak, Shaadi Se Lekar Mout Tak Sab Me Khilafwarji aur Fir Hum Musalman ke Musalman Rahey.. Subhaan Allah !! ,..
# Sabaq: Lihaja Hume Chahiye Ke Zindagi Ke Tamaam Shobo Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Apna Usma-tul-Hasna (Ideal aur Role Model) Maaney aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnato Par Amal Ko Lazim aur Farz Jaaney ,..
♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!