♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Mayyat Ki
Tadfin Se Farigh Ho jatey Tou Uski Qabr Ke Paas Ruktey Aur Farmate:
“Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo
Aur Uske Liye Sabit Qadmi Ki Ilteja Karo,
Kyun Ke Ab Us’sey Sawaal Kiye Jayenge..”
– (Sunan Abu Dawood, Hadith No:3221)
Related Posts:
Murdo Se Ibrat Hasil Kiya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - "Uss Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Me Meri Jaan Hai! Agar Log Murde Ka Thikana Dekh Le Aur Uss Ka Qalaam (Baatein) Sun Le Tou Mayyat Ko Bhul Jayennge Aur Apni Jaano Par Rone Lagenge. - Jab Murde Ko Takht Par Rakha Jata Hai Tou Iss Ki Rooh Far-Farate Huwe Pukarti Hai Ke, Aye Mere Ahlo Ayaal! Duniya Tumhare Saath Iss Tarah Na Khele Jis Tarah Mere Saath Kheli, - Maine Halaal Aur Haraam Maal Jamaa Kiya Phir Woh Maal Dusro Ke Liye Chhod Aaya - Is Ka Nafaa Tumhare…
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai .... ♥ Al-Quraan: Allah Ta'ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. - [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - » Hadees: "Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai". - (Miskat P:24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai". - (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”. - (K.Ummal) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Raat Me…
Qabro Ki Ziyarat Mardo Par Halaal Aurto Par Haraam .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Tum Qabro Ki Ziyarat Kiya Karo Kyunki Wo Tumhey Mout Ki Yaad Dilati Hain" - (Sahih Muslim, Vol2, 2259) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraida (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Mainey Tumhey Mana Kiya Tha Qabro Ki Ziyarat Karney Se Lekin Ab Tum Ziyarat Karo Unki". - (Sahih Muslim, Vol5, 5114) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Qabro Ki Ziyarat Karo Kyunki Ye Tumhey Aakhirat Ki Yaad…
Magfirat ki Dua - Aye Allah! Beshaq Gunahaon ko tere siwa… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Bakr Siddique (RaziAllahu Anhu) ne Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se kaha ki "Mujhe aisee Dua sikha dijiye jo Main namaz me parha karu tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke ye parha karo - اللَّّهُمَّ إني ظَلمتُ نفسي ظُلمًاًًً كثيرًاًً. ولا يغفر الذنوبَ إلّّّا أَنْتَ فاغفر لي مغفرةًًًً من عندك. وارحمني، إنّّكَ أنتَ الغفورُ الرّحيم Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Kaseeran Wala Yaghfiruz-Junuba Illa Anta, Faghfirli Maghfiratan Min Indika War-Hamni, Innaka Antal Ghafur-Ar Rahim." (Aye Allah mainey apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunaahaon ko tere siwa koyi muaf nahi karta! meri magfirat kar!…
Farishte Uss Namazi ke liye Maghfirat ki Dua karte hai Hadeese Nabwi ﷺ Farishte Uss Namazi ke liye Maghfirat ki Dua karte hai Abu Hurirah (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Farishte Tum me se Uss Namazi ke liye Uss Waqt tak Yu hi Dua karte rehte hain Jab tak (Namaz Parhne ke Baad) Wo Apne Musalley par baitha rahe aur Hadas (Hawa Kharij) na karey ki Aye Allah! Iski Maghfirat farma, Aye Allah! ess par reham farma. Tum Main se wo Shakhs Jo sirf Namaz ki wajah se ruka hua hai ghar jane se siwa Namaz ke aur koi cheez Uske liye Aham nahi, tou Uska…
Aasani Paida Karo, Tangi Na Paida Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Anas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Aasani Paida Karo, Tangi Na Paida Karo, Logon Ko Tasalli Aur Tashaffi Do, Nafrat Na Dilao.." - (Urdu Ref: Sahih Bukhari, Vol.7, Hadith no.6125) *Wajahat: is AaHadeese mubarak me Hum me se unn tamam hazrat ke liye Nasihat hai jo Deen me Naye naye Aqaid ijad kar is Deen ko aur bhi jyada mushkil taur se logo me pesh kar rahe hai ,. - Islah ke bajaye log Baddzhn hokar hakiki Deen se Door ho rahe ,. *Allah reham kare jabki ye Deen…
Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - Jab Hazrat-e-Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal Kar Liye Tou Allah Ta'ala Ki Bargaah Me Marooza Kiye - 'Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!' Tabhi Allah Ta'ala Ne Hukm Farmaya - 'Logon Mein Hajj Ka Ailaan Karo" Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.? Allah Ta'ala Ne Irshad Farmaya - 'Aawaz Dena Tumhara Kaam Hai Aur Usey Pahuchana Humare Zimme Hai'. Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya - 'Ilaahi Mai Kin Kalimaat Se Ailaan Karu.?' Allah Ta'ala Ne Farmaya…
Din Ki Shuru Aur Aahiri Me Achay Kaam Kiya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jis Ne Din (Day) Ki Shuruwat Kisi Achay Kaam Se Ki Aur Apne Din (Day) Ko Achay Kaam Hi Par Khatm Kiya Tou Allah Apne Farishtay Se Farmayega, "Inn Dono (Din Ke Shuru Aur Aakhir) Ke Darmiyan Jo Sagheera Gunaah (Kum Darje Ke Gunaah) Hain Unhe Mat Likho". - (Jama-Al-Sagheer Al Suyuti, Page:813, Hadees:8423)
Dua ke Qabuliyat ke liye Rizq-e-Halaal Khaya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - "Agar Tum Chahte Ho Ke Tumhari Her Dua Qabool Ho, Tou Tum Rizq-e-Halaal Khaya Karo.." - (Ziyaul-Quran Jild#1, Page#120)
Maal hote huye bhi Apne rishtedaron ki madad na karne ka… ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Koi bhi rishtedar apne kisi rishtedar ke paas aata hai aur Allah Subhanahu ne usey jo ataa Kiya hai usmein se fazal (jo cheez jarurat se zyada ho) ka sawal karta hai aur wo bukhal (burey Akhlakh / Kanjusi) se pesh aata hai tou Qayamat ke din Uske liye dozakh se ek sanp nikala jaega jisko shuja kaha jata hai wo phunkar raha hoga us se uski gardan me tauk bana kar dal diya jaega." 📕 Al-Silsila-As-Sahiha # 168 Note: Apne Rishtedaro ki Madat karo woh bechare sharam aur izzat ke darr se…
Hazaar Nawafil Rakat Parhne Se Afzal .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Zar (Razi'Allhu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Aaqa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mujhse Farmaya - "Aye Abu Zar! Tum Subha Ke Waqt Kitaab Allah Ki Ek Ayat Sikhlo Tou Ye Tumhare Liye So (100) Nawafil Parhne Se Afzal Hai - Aur Aagar Tum Subha Ke Waqt Ilm Ka Ek Baab(Chapter) Sikhlo Chahe Uss Par Amal Kiya Gaya Ya (Abhi) Amal Na Kiya Jaye (Yaani Sirf Amal Ka Irada Bhi Kiya Jaye) Ye Tumhare Liye Hazaar Rakat (Nawafil) Parhne Se Afzal Hai". - (Sunan Ibne Majah Jild 1, Safha 132, Hadis 219)
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82)
Bhai Ki Mazrat (Muafi) Kabool Kiya Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Tum Dusro Ki Aurato Se Parhez Kar Ke Paak Daman Ho Jao - Aisa Karne Se Tumhari Aurate Paak Daaman Rahegi, *Aur Apne Baap Ke Saath Husn-e-Sulooq Karo - Aisa Karne Se Tumhare Betey Tumhare Saath Accha Sulooq Karenge, *Aur Jis Shakhs Ke Paas Uska Bhai Mazrat (Muafi) Chahta Hai - Tou Usko Mazrat Qabool Kar Leni Cahiye, Wah Haq Par Ho Khawah Naahaq Par. - Agar Kisi Ne Aisa Na Kiya Tou Wah Mere Houz-e-Kousar Par Na Aaye - Yaani Usko Houz-e-Kousar…
Paanch (5) Azeem Nekiyon Ka Hukm .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya - "Kaun Hai Jo Mujhse Ye Baate Sikhey, Phir Unpar Amal Kare Ya Unn Logo Ko Sikhaye Jo Unpar Amal Kare"? *Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain Ki, Maine Arz Kiya: "Ya Rasool'Allah ! Mai Tayyar Hoon". Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mera Haath Apne Mubarak Haath Me Le Liya Aur Gin Kar Ye Paanch (5) Baate Irshaad Farmayi ,... ∗(1) Haraam Se Bacho ! Tum Sabse Bade Ibadat Guzaar Ban Jaoge. ∗(2) Allah Ne Jo Kuch Tumhe Diya Hai Us Par Raazi…
Jisne Jumma Ke Din Gusal Kiya Aur .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Salman Farsi (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, "Jisne Jumma Ke Din Gusl Kiya Aur Khub Paaki Hasil Ki Aur Tel (Oil) Ya Khushbu Istemal Ki Phir Jumma Ke Liye Chala Aur Do Aadmiyon Ke Beech Me Na Ghusa Aur Jitni Uski Kismat Me Thi Namaz Parhi Phir Jab Imaam Bahar Aaya Aur Khutba Shuru Kiya Tou Khamosh Ho Gaya, Uske Iss Jumma Se Guzre (Past) Jumma Tak Ke Tamam Gunaah Baksh Diye Jayengey". - (Sahih Bukhari, Vol 2, 910 )